Ḵẖurūj 12

fasah kī īd

1phir rabb ne misr meṅ mūsā aur hārūn se kahā, 2“ab se yah mahīnā tumhāre liye sāl kā pahalā mahīnā ho.” 3isrāīl kī pūrī jamāat ko batānā ki is mahīne ke dasveṅ din har ḵẖāndān kā sarparast apne gharāne ke liye lelā yānī bheṛ yā bakrī kā bacchā hāsil kare. 4agar gharāne ke afrād pūrā jānvar khāne ke liye kam hoṅ to vah apne sab se qarībī paṛosī ke sāth mil kar lelā hāsil kareṅ. itne log us meṅ se khāeṅ ki sab ke liye kāfī ho aur pūrā jānvar khāyā jāe. 5is ke liye ek sāl kā nar bacchā chun lenā jis meṅ nuqs na ho. vah bheṛ yā bakrī kā bacchā ho saktā hai.

6mahīne ke 14veṅ din tak us kī dekh-bhāl karo. us din tamām isrāīlī sūraj ke ġurūb hote vaqt apne lele zabah kareṅ. 7har ḵẖāndān apne jānvar kā kuchh ḵẖūn jamā karke use us ghar ke darvāze kī chaukhaṭ par lagāe jahāṅ lelā khāyā jāegā. yah ḵẖūn chaukhaṭ ke ūpar vāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzūoṅ par lagāyā jāe. 8lāzim hai ki log jānvar ko bhūn kar usī rāt khāeṅ. sāth hī vah kaṛvā sāg-pāt aur beḵẖamīrī roṭiyāṅ bhī khāeṅ. 9lele kā gosht kacchā na khānā, na use pānī meṅ ubālnā balki pūre jānvar ko sar, pairoṅ aur andrūnī hissoṅ samet āg par bhūnnā. 10lāzim hai ki pūrā gosht usī rāt khāyā jāe. agar kuchh subah tak bach jāe to use jalānā hai. 11khānā khāte vaqt aisā libās pahannā jaise tum safar par jā rahe ho. apne jūte pahane rakhnā aur hāth meṅ safar ke liye lāṭhī liye hue tum use jaldī jaldī khānā. rabb ke fasah kī īd yūṅ manānā.

12maiṅ āj rāt misr meṅ se guzarūṅgā aur har pahalauṭhe ko jān se mār dūṅgā, ḵẖwāh insān kā ho yā haivān kā. yūṅ maiṅ jo rabb hūṅ misr ke tamām devtāoṅ kī adālat karūṅgā. 13lekin tumhāre gharoṅ par lagā huā ḵẖūn tumhārā ḵẖās nishān hogā. jis jis ghar ke darvāze par maiṅ vah ḵẖūn dekhūṅgā use chhoṛtā jāūṅgā. jab maiṅ misr par hamlā karūṅgā to muhalak vabā tum tak nahīṅ pahuṅchegī. 14āj kī rāt ko hameshā yād rakhnā. ise nasal-dar-nasal aur har sāl rabb kī ḵẖās īd ke taur par manānā.

beḵẖamīrī roṭī kī īd

15sāt din tak beḵẖamīrī roṭī khānā hai. pahale din apne gharoṅ se tamām ḵẖamīr nikāl denā. agar koī in sāt dinoṅ ke daurān ḵẖamīr khāe to use qaum meṅ se miṭāyā jāe. 16is īd ke pahale aur āḵẖirī din muqaddas ijtimā mun’aqid karnā. in tamām dinoṅ ke daurān kām na karnā. sirf ek kām kī ijāzat hai aur vah hai apnā khānā tayyār karnā. 17beḵẖamīrī roṭī kī īd manānā lāzim hai, kyūṅki us din maiṅ tumhāre mut’addid ḵẖāndānoṅ ko misr se nikāl lāyā. is liye yah din nasal-dar-nasal har sāl yād rakhnā. 18pahale mahīne ke 14veṅ din kī shām se le kar 21veṅ din kī shām tak sirf beḵẖamīrī roṭī khānā. 19sāt din tak tumhāre gharoṅ meṅ ḵẖamīr na pāyā jāe. jo bhī is daurān ḵẖamīr khāe use isrāīl kī jamāat meṅ se miṭāyā jāe, ḵẖwāh vah isrāīlī shaharī ho yā ajnabī. 20ġaraz, is īd ke daurān ḵẖamīr na khānā. jahāṅ bhī tum rahate ho vahāṅ beḵẖamīrī roṭī hī khānā hai.

pahalauṭhoṅ kī halākat

21phir mūsā ne tamām isrāīlī buzurgoṅ ko bulā kar un se kahā, “jāo, apne ḵẖāndānoṅ ke liye bheṛ yā bakrī ke bacche chun kar unheṅ fasah kī īd ke liye zabah karo. 22zūfe kā gucchhā le kar use ḵẖūn se bhare hue bāsan meṅ ḍubo denā. phir use le kar ḵẖūn ko chaukhaṭ ke ūpar vāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzūoṅ par lagā denā. subah tak koī apne ghar se na nikle. 23jab rabb misriyoṅ ko mār ḍālne ke liye mulk meṅ se guzregā to vah chaukhaṭ ke ūpar vāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzūoṅ par lagā huā ḵẖūn dekh kar un gharoṅ ko chhoṛ degā. vah halāk karne vāle farishte ko ijāzat nahīṅ degā ki vah tumhāre gharoṅ meṅ jā kar tumheṅ halāk kare.

24tum apnī aulād samet hameshā in hidāyāt par amal karnā. 25yah rasm us vaqt bhī adā karnā jab tum us mulk meṅ pahuṅchoge jo rabb tumheṅ degā. 26aur jab tumhāre bacche tum se pūchheṅ ki ham yah īd kyūṅ manāte haiṅ 27to un se kaho, ‘yah fasah kī qurbānī hai jo ham rabb ko pesh karte haiṅ. kyūṅki jab rabb misriyoṅ ko halāk kar rahā thā to us ne hamāre gharoṅ ko chhoṛ diyā thā’.”

yah sun kar isrāīliyoṅ ne allāh ko sijdā kiyā.28phir unhoṅ ne sab kuchh vaisā hī kiyā jaisā rabb ne mūsā aur hārūn ko batāyā thā.