Ḵẖurūj 21

1isrāīliyoṅ ko yah ahkām batā,

ibrānī ġulām ke huqūq

2‘agar tū ibrānī ġulām ḵẖarīde to vah chhah sāl terā ġulām rahe. is ke bād lāzim hai ki use āzād kar diyā jāe. āzād hone ke liye use paise dene kī zarūrat nahīṅ hogī.

3agar ġulām ġairshādīshudā hālat meṅ mālik ke ghar āyā ho to vah āzād ho kar akelā hī chalā jāe. agar vah shādīshudā hālat meṅ āyā ho to lāzim hai ki vah apnī bīvī samet āzād ho kar jāe. 4agar mālik ne ġulām kī shādī karāī aur bacche paidā hue haiṅ to us kī bīvī aur bacche mālik kī milkiyat hoṅge. chhah sāl ke bād jab ġulām āzād ho kar jāe to us kī bīvī aur bacche mālik hī ke pās raheṅ.

5agar ġulām kahe, “maiṅ apne mālik aur apne bīvī bacchoṅ se muhabbat rakhtā hūṅ, maiṅ āzād nahīṅ honā chāhatā” 6to ġulām kā mālik use allāh ke sāmne lāe. vah use darvāze yā us kī chaukhaṭ ke pās le jāe aur sutālī yānī tez auzār se us ke kān kī lau chhed de. tab vah zindagī bhar us kā ġulām banā rahegā.

7agar koī apnī beṭī ko ġulāmī meṅ bech ḍāle to us ke liye āzādī milne kī sharāit mard se farq haiṅ. 8agar us ke mālik ne use muntaḵẖab kiyā ki vah us kī bīvī ban jāe, lekin bād meṅ vah use pasand na āe to lāzim hai ki vah munāsib muāvazā le kar use us ke rishtedāroṅ ko vāpas kar de. use aurat ko ġairmulkiyoṅ ke hāth bechane kā iḵẖtiyār nahīṅ hai, kyūṅki us ne us ke sāth bevafā sulūk kiyā hai.

9agar lauṅḍī kā mālik us kī apne beṭe ke sāth shādī karāe to aurat ko beṭī ke huqūq hāsil hoṅge.

10agar mālik ne us se shādī karke bād meṅ dūsrī aurat se bhī shādī kī to lāzim hai ki vah pahalī ko bhī khānā aur kapṛe detā rahe. is ke ilāvā us ke sāth hambistar hone kā farz bhī adā karnā hai. 11agar vah yah tīn farāiz adā na kare to use aurat ko āzād karnā paṛegā. is sūrat meṅ use muft āzād karnā hogā.

zaḵẖmī karne kī sazā

12jo kisī ko jān-būjh kar itnā saḵẖt mārtā ho ki vah mar jāe to use zarūr sazā-e-maut denā hai. 13lekin agar us ne use jān-būjh kar na mārā balki yah ittifāq se huā aur allāh ne yah hone diyā, to mārne vālā ek aisī jagah panāh le saktā hai jo maiṅ muqarrar karūṅgā. vahāṅ use qatl kie jāne kī ijāzat nahīṅ hogī. 14lekin jo dīdā-dānistā aur chālākī se kisī ko mār ḍāltā hai use merī qurbāngāh se bhī chhīn kar sazā-e-maut denā hai.

15jo apne bāp yā apnī māṅ ko mārtā pīṭtā hai use sazā-e-maut dī jāe.

16jis ne kisī ko aġvā kar liyā hai use sazā-e-maut dī jāe, chāhe vah use ġulām banā kar bech chukā ho yā use ab tak apne pās rakhā huā ho.

17jo apne bāp yā māṅ par lānat kare use sazā-e-maut dī jāe.

18ho saktā hai ki ādmī jhagṛeṅ aur ek shaḵẖs dūsre ko patthar yā mukke se itnā zaḵẖmī kar de ki go vah bach jāe vah bistar se uṭh na saktā ho. 19agar bād meṅ marīz yahāṅ tak shifā pāe ki dubārā uṭh kar lāṭhī ke sahāre chal phir sake to choṭ pahuṅchāne vāle ko sazā nahīṅ milegī. use sirf us vaqt ke liye muāvazā denā paṛegā jab tak marīz paise na kamā sake. sāth hī use us kā pūrā ilāj karvānā hai.

20jo apne ġulām yā lauṅḍī ko lāṭhī se yūṅ māre ki vah mar jāe use sazā dī jāe. 21lekin agar ġulām yā lauṅḍī piṭāī ke bād ek yā do din zindā rahe to mālik ko sazā na dī jāe. kyūṅki jo raqam us ne us ke liye dī thī us kā nuqsān use ḵẖud uṭhānā paṛegā.

22ho saktā hai ki log āpas meṅ laṛ rahe hoṅ aur laṛte laṛte kisī hāmilā aurat se yūṅ ṭakrā jāeṅ ki us kā bacchā zāe ho jāe. agar koī aur nuqsān na huā ho to zarb pahuṅchāne vāle ko jurmānā denā paṛegā. aurat kā shauhar yah jurmānā muqarrar kare, aur adālat meṅ is kī tasdīq ho.

23lekin agar us aurat ko aur nuqsān bhī pahuṅchā ho to phir zarb pahuṅchāne vāle ko is usūl ke mutābiq sazā dī jāe ki jān ke badle jān, 24āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt ke badle dāṅt, hāth ke badle hāth, pāoṅ ke badle pāoṅ, 25jalne ke zaḵẖm ke badle jalne kā zaḵẖm, mār ke badle mār, kāṭ ke badle kāṭ.

26agar koī mālik apne ġulām kī āṅkh par yūṅ māre ki vah zāe ho jāe to use ġulām ko āṅkh ke badle āzād karnā paṛegā, chāhe ġulām mard ho yā aurat. 27agar mālik ke pīṭne se ġulām kā dāṅt ṭūṭ jāe to use ġulām ko dāṅt ke badle āzād karnā paṛegā, chāhe ġulām mard ho yā aurat.

nuqsān kā muāvazā

28agar koī bail kisī mard yā aurat ko aisā māre ki vah mar jāe to us bail ko saṅgasār kiyā jāe. us kā gosht khāne kī ijāzat nahīṅ hai. is sūrat meṅ bail ke mālik ko sazā na dī jāe. 29lekin ho saktā hai ki mālik ko pahale āgāh kiyā gayā thā ki bail logoṅ ko mārtā hai, to bhī us ne bail ko khulā chhoṛā thā jis ke natīje meṅ us ne kisī ko mār ḍālā. aisī sūrat meṅ na sirf bail ko balki us ke mālik ko bhī saṅgasār karnā hai. 30lekin agar faislā kiyā jāe ki vah apnī jān kā fidyā de to jitnā muāvazā bhī muqarrar kiyā jāe use denā paṛegā.

31sazā meṅ koī farq nahīṅ hai, chāhe beṭe ko mārā jāe yā beṭī ko. 32lekin agar bail kisī ġulām yā lauṅḍī ko mār de to us kā mālik ġulām ke mālik ko chāṅdī ke 30 sikke de aur bail ko saṅgasār kiyā jāe.

33ho saktā hai ki kisī ne apne hauz ko khulā rahane diyā yā hauz banāne ke liye gaṛhā khod kar use khulā rahane diyā aur koī bail yā gadhā us meṅ gir kar mar gayā. 34aisī sūrat meṅ hauz kā mālik murdā jānvar ke liye paise de. vah jānvar ke mālik ko us kī pūrī qīmat adā kare aur murdā jānvar ḵẖud le le.

35agar kisī kā bail kisī dūsre ke bail ko aise māre ki vah mar jāe to donoṅ mālik zindā bail ko bech kar us ke paise āpas meṅ barābar bāṅṭ leṅ. isī tarah vah murdā bail ko bhī barābar taqsīm kareṅ. 36lekin ho saktā hai ki mālik ko mālūm thā ki merā bail dūsre jānvaroṅ par hamlā kartā hai, is ke bāvujūd us ne use āzād chhoṛ diyā thā. aisī sūrat meṅ use murdā bail ke ivz us ke mālik ko nayā bail denā paṛegā, aur vah murdā bail ḵẖud le le.