Yashāyāh 50

tum apne zātī gunāhoṅ kī sazā bhugat rahe ho

1rabb farmātā hai, “āo, mujhe vah talāqnāmā dikhāo jo maiṅ ne de kar tumhārī māṅ ko chhoṛ diyā thā. vah kahāṅ hai? yā mujhe vah qarzaḵẖwāh dikhāo jis ke havāle maiṅ ne tumheṅ apnā qarz utārne ke liye kiyā. vah kahāṅ hai? dekho, tumheṅ apne hī gunāhoṅ ke sabab se faroḵẖt kiyā gayā, tumhāre apne hī gunāhoṅ ke sabab se tumhārī māṅ ko fāriġ kar diyā gayā.

2jab maiṅ āyā to koī nahīṅ thā. kyā vajah? jab maiṅ ne āvāz dī to javāb dene vālā koī nahīṅ thā. kyūṅ? kyā maiṅ fidyā de kar tumheṅ chhuṛāne ke qābil na thā? kyā merī itnī tāqat nahīṅ ki tumheṅ bachā sakūṅ? merī to ek hī dhamkī se samundar ḵẖushk ho jātā aur daryā registān ban jāte haiṅ. tab un kī machhliyāṅ pānī se maharūm ho kar gal jātī haiṅ, aur un kī badbū chāroṅ taraf phail jātī hai. 3maiṅ hī āsmān ko tārīkī kā jāmā pahanātā, maiṅ hī use ṭāṭ ke mātmī libās meṅ lapeṭ detā hūṅ.”

rabb ke paiġambar kī rusvāī

4rabb qādir-e-mutlaq ne mujhe shāgird kī sī zabān atā kī tāki maiṅ vah kalām jān lūṅ jis se thakāmāṅdā taqviyat pāe. subah-ba-subah vah mere kān ko jagā detā hai tāki maiṅ shāgird kī tarah sun sakūṅ. 5rabb qādir-e-mutlaq ne mere kān ko khol diyā, aur na maiṅ sarkash huā, na pīchhe haṭ gayā. 6maiṅ ne mārne vāloṅ ko apnī pīṭh aur bāl nochne vāloṅ ko apne gāl pesh kie. maiṅ ne apnā chiharā un kī gāliyoṅ aur thūk se na chhupāyā.

7lekin rabb qādir-e-mutlaq merī madad kartā hai, is liye merī rusvāī nahīṅ hogī. chunāṅche maiṅ ne apnā muṅh chaqmāq kī tarah saḵẖt kar liyā hai, kyūṅki maiṅ jāntā hūṅ ki maiṅ sharmindā nahīṅ ho jāūṅgā. 8jo mujhe rāst ṭhaharātā hai vah qarīb hī hai. to phir kaun mere sāth jhagṛegā? āo, ham mil kar adālat meṅ khaṛe ho jāeṅ. kaun mujh par ilzām lagāne kī jur’at karegā? vah ā kar merā sāmnā kare! 9rabb qādir-e-mutlaq hī merī madad kartā hai. to phir kaun mujhe mujrim ṭhaharāegā? yah to sab purāne kapṛe kī tarah ghis kar phaṭeṅge, kīṛe unheṅ khā jāeṅge.

10tum meṅ se kaun rabb kā ḵẖauf māntā aur us ke ḵẖādim kī suntā hai? jab use raushnī ke baġair aṅdhere meṅ chalnā paṛe to vah rabb ke nām par bharosā rakhe aur apne ḵẖudā par inhisār kare. 11lekin tum bāqī log jo āg lagā kar apne āp ko jalte hue tīroṅ se les karte ho, apnī hī āg ke sholoṅ meṅ chale jāo! ḵẖud un tīroṅ kī zad meṅ āo jo tum ne dūsroṅ ke liye jalāe haiṅ! mere hāth se tumheṅ yahī ajr milegā, tum saḵẖt aziyat kā shikār ho kar zamīn par taṛapte rahoge.