Ahabār 3

salāmatī kī qurbānī

1agar koī rabb ko salāmatī kī qurbānī pesh karne ke liye gāy yā bail chaṛhānā chāhe to vah jānvar beaib ho. 2vah apnā hāth jānvar ke sar par rakh kar use mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par zabah kare. hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kā ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛkeṅ. 3-4 pesh karne vālā aṅtaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamar ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne vālī qurbānī ke taur par rabb ko pesh kare. in chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai. 5phir hārūn ke beṭe yah sab kuchh bhasm hone vālī qurbānī ke sāth qurbāngāh kī lakṛiyoṅ par jalā deṅ. yah jalne vālī qurbānī hai, aur is kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 6agar salāmatī kī qurbānī ke liye bheṛ-bakriyoṅ meṅ se jānvar chunā jāe to vah beaib nar yā mādā ho.

7agar vah bheṛ kā bacchā chaṛhānā chāhe to vah use rabb ke sāmne le āe. 8vah apnā hāth us ke sar par rakh kar use mulāqāt ke ḵẖaime ke sāmne zabah kare. hārūn ke beṭe us kā ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛkeṅ. 9-10 pesh karne vālā charbī, pūrī dum, aṅtaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamar ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne vālī qurbānī ke taur par rabb ko pesh kare. in chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai. 11imām yah sab kuchh rabb ko pesh karke qurbāngāh par jalā de. yah ḵẖurāk jalne vālī qurbānī hai.

12agar salāmatī kī qurbānī bakrī kī ho 13to pesh karne vālā us par hāth rakh kar use mulāqāt ke ḵẖaime ke sāmne zabah kare. hārūn ke beṭe jānvar kā ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛkeṅ. 14-15 pesh karne vālā aṅtaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamar ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne vālī qurbānī ke taur par rabb ko pesh kare. in chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai. 16imām yah sab kuchh rabb ko pesh karke qurbāngāh par jalā de. yah ḵẖurāk jalne vālī qurbānī hai, aur is kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.

sārī charbī rabb kī hai. 17tumhāre liye ḵẖūn yā charbī khānā manā hai. yah na sirf tumhāre liye manā hai balki tumhārī aulād ke liye bhī, na sirf yahāṅ balki har jagah jahāṅ tum rahate ho.”