Ahabār 6

1rabb ne mūsā se kahā, 2“ho saktā hai kisī ne gunāh karke beīmānī kī hai, maslan us ne apne paṛosī kī koī chīz vāpas nahīṅ kī jo us ke sapurd kī gaī thī yā jo use girvī ke taur par milī thī, yā us ne us kī koī chīz chorī kī, yā us ne kisī se koī chīz chhīn lī, 3yā us ne kisī kī gumshudā chīz ke bāre meṅ jhūṭ bolā jab use mil gaī, yā us ne qasam khā kar jhūṭ bolā hai, yā is tarah kā koī aur gunāh kiyā hai. 4agar vah is tarah kā gunāh karke qusūrvār ṭhahare to lāzim hai ki vah vahī chīz vāpas kare jo us ne chorī kī yā chhīn lī yā jo us ke sapurd kī gaī yā jo gumshudā ho kar us ke pās ā gaī hai 5yā jis ke bāre meṅ us ne qasam khā kar jhūṭ bolā hai. vah us kā utnā hī vāpas karke 20 fīsad ziyādā de. aur vah yah sab kuchh us din vāpas kare jab vah apnī qusūr kī qurbānī pesh kartā hai. 6qusūr kī qurbānī ke taur par vah ek beaib aur qīmat ke lihāz se munāsib meṅḍhā imām ke pās le āe aur rabb ko pesh kare. us kī qīmat maqdis kī sharah ke mutābiq muqarrar kī jāe. 7phir imām rabb ke sāmne us kā kaffārā degā to use muāfī mil jāegī.”

bhasam hone vālī qurbānī

8rabb ne mūsā se kahā, 9“hārūn aur us ke beṭoṅ ko bhasm hone vālī qurbāniyoṅ ke bāre meṅ zail kī hidāyāt denā : bhasm hone vālī qurbānī pūrī rāt subah tak qurbāngāh kī us jagah par rahe jahāṅ āg jaltī hai. āg ko bujhne na denā. 10subah ko imām katān kā libās aur katān kā pājāmā pahan kar qurbānī se bachī huī rākh qurbāngāh ke pās zamīn par ḍāle. 11phir vah apne kapṛe badal kar rākh ko ḵẖaimāgāh ke bāhar kisī pāk jagah par chhoṛ āe. 12qurbāngāh par āg jaltī rahe. vah kabhī bhī na bujhe. har subah imām lakṛiyāṅ chun kar us par bhasm hone vālī qurbānī tartīb se rakhe aur us par salāmatī kī qurbānī kī charbī jalā de. 13āg hameshā jaltī rahe. vah kabhī na bujhne pāe.

ġallā kī nazar

14ġallā kī nazar ke bāre meṅ hidāyāt yah haiṅ : hārūn ke beṭe use qurbāngāh ke sāmne rabb ko pesh kareṅ. 15phir imām yādgār kā hissā yānī tel se milāyā gayā muṭṭhī bhar behtarīn maidā aur qurbānī kā tamām lubān le kar qurbāngāh par jalā de. is kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 16hārūn aur us ke beṭe qurbānī kā bāqī hissā khā leṅ. lekin vah use muqaddas jagah par yānī mulāqāt ke ḵẖaime kī chārdīvārī ke andar khāeṅ, aur us meṅ ḵẖamīr na ho. 17use pakāne ke liye us meṅ ḵẖamīr na ḍālā jāe. maiṅ ne jalne vālī qurbāniyoṅ meṅ se yah hissā un ke liye muqarrar kiyā hai. yah gunāh kī qurbānī aur qusūr kī qurbānī kī tarah nihāyat muqaddas hai. 18hārūn kī aulād ke tamām mard use khāeṅ. yah usūl abad tak qāim rahe. jo bhī use chhuegā vah maḵẖsūs-o-muqaddas ho jāegā.”

19rabb ne mūsā se kahā, 20“jab hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām kī zimmādārī uṭhāne ke liye maḵẖsūs karke tel se masah kiyā jāegā to vah ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā pesh kareṅ. us kā ādhā hissā subah ko aur ādhā hissā shām ke vaqt pesh kiyā jāe. vah ġallā kī yah nazar rozānā pesh kareṅ. 21use tel ke sāth milā kar tave par pakānā hai. phir use ṭukṛe ṭukṛe karke ġallā kī nazar ke taur par pesh karnā. us kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 22yah qurbānī hameshā hārūn kī nasal kā vah ādmī pesh kare jise masah karke imām-e-āzam kā uhdā diyā gayā hai, aur vah use pūre taur par rabb ke liye jalā de. 23imām kī ġallā kī nazar hameshā pūre taur par jalānā. use na khānā.”

gunāh kī qurbānī

24rabb ne mūsā se kahā, 25“hārūn aur us ke beṭoṅ ko gunāh kī qurbānī ke bāre meṅ zail kī hidāyāt denā : gunāh kī qurbānī ko rabb ke sāmne vahīṅ zabah karnā hai jahāṅ bhasm hone vālī qurbānī zabah kī jātī hai. vah nihāyat muqaddas hai. 26use pesh karne vālā imām use muqaddas jagah par yānī mulāqāt ke ḵẖaime kī chārdīvārī ke andar khāe. 27jo bhī is qurbānī ke gosht ko chhū letā hai vah maḵẖsūs-o-muqaddas ho jātā hai. agar qurbānī ke ḵẖūn ke chhīṅṭe kisī libās par paṛ jāeṅ to use muqaddas jagah par dhonā hai. 28agar gosht ko haṅḍiyā meṅ pakāyā gayā ho to us bartan ko bād meṅ toṛ denā hai. agar us ke liye pītal kā bartan istemāl kiyā gayā ho to use ḵẖūb māṅjh kar pānī se sāf karnā. 29imāmoṅ ke ḵẖāndānoṅ meṅ se tamām mard use khā sakte haiṅ. yah khānā nihāyat muqaddas hai. 30lekin gunāh kī har vah qurbānī khāī na jāe jis kā ḵẖūn mulāqāt ke ḵẖaime meṅ is liye lāyā gayā hai ki maqdis meṅ kisī kā kaffārā diyā jāe. use jalānā hai.