Lūqā 5

pahale shāgirdoṅ kī bulāhaṭ

1ek din īsā galīl kī jhīl gannesarat ke kināre par khaṛā hujūm ko allāh kā kalām sunā rahā thā. log sunte sunte itne qarīb ā gae ki us ke liye jagah kam ho gaī. 2phir use do kashtiyāṅ nazar āīṅ jo jhīl ke kināre lagī thīṅ. machhere un meṅ se utar chuke the aur ab apne jāloṅ ko dho rahe the. 3īsā ek kashtī par savār huā. us ne kashtī ke mālik shamāūn se daraḵẖwāst kī ki vah kashtī ko kināre se thoṛā sā dūr le chale. phir vah kashtī meṅ baiṭhā aur hujūm ko tālīm dene lagā.

4tālīm dene ke iḵẖtitām par us ne shamāūn se kahā, “ab kashtī ko vahāṅ le jā jahāṅ pānī gaharā hai aur apne jāloṅ ko machhliyāṅ pakaṛne ke liye ḍāl do.”

5lekin shamāūn ne etirāz kiyā, “ustād, ham ne to pūrī rāt baṛī koshish kī, lekin ek bhī na pakṛī. tāham āp ke kahane par maiṅ jāloṅ ko dubārā ḍālūṅgā.” 6yah kah kar unhoṅ ne gahare pānī meṅ jā kar apne jāl ḍāl die. aur vāqaī, machhliyoṅ kā itnā baṛā ġol jāloṅ meṅ phaṅs gayā ki vah phaṭne lage. 7yah dekh kar unhoṅ ne apne sāthiyoṅ ko ishārā karke bulāyā tāki vah dūsrī kashtī meṅ ā kar un kī madad kareṅ. vah āe aur sab ne mil kar donoṅ kashtiyoṅ ko itnī machhliyoṅ se bhar diyā ki āḵẖirkār donoṅ ḍūbne ke ḵẖatre meṅ thīṅ. 8jab shamāūn patras ne yah sab kuchh dekhā to us ne īsā ke sāmne muṅh ke bal gir kar kahā, “ḵẖudāvand, mujh se dūr chale jāeṅ. maiṅ to gunāhgār hūṅ.” 9kyūṅki vah aur us ke sāthī itnī machhliyāṅ pakaṛne kī vajah se saḵẖt hairān the. 10aur zabdī ke beṭe yāqūb aur yūhannā kī hālat bhī yahī thī jo shamāūn ke sāth mil kar kām karte the.

lekin īsā ne shamāūn se kahā, “mat ḍar. ab se tū ādmiyoṅ ko pakṛā karegā.”

11vah apnī kashtiyoṅ ko kināre par le āe aur sab kuchh chhoṛ kar īsā ke pīchhe ho liye.

koṛh se shifā

12ek din īsā kisī shahar meṅ se guzar rahā thā ki vahāṅ ek marīz milā jis kā pūrā jism koṛh se mut’assir thā. jab us ne īsā ko dekhā to vah muṅh ke bal gir paṛā aur iltijā kī, “ai ḵẖudāvand, agar āp chāheṅ to mujhe pāk-sāf kar sakte haiṅ.”

13īsā ne apnā hāth baṛhā kar use chhuā aur kahā, “maiṅ chāhatā hūṅ, pāk-sāf ho jā.” is par bīmārī fauran dūr ho gaī. 14īsā ne use hidāyat kī ki vah kisī ko na batāe ki kyā huā hai. us ne kahā, “sīdhā bait-ul-muqaddas meṅ imām ke pās jā tāki vah terā muāinā kare. apne sāth vah qurbānī le jā jis kā taqāzā mūsā kī sharīat un se kartī hai jinheṅ koṛh se shifā miltī hai. yūṅ alāniyā tasdīq ho jāegī ki tū vāqaī pāk-sāf ho gayā hai.”

15tāham īsā ke bāre meṅ ḵẖabar aur ziyādā tezī se phailtī gaī. logoṅ ke baṛe guroh us ke pās āte rahe tāki us kī bāteṅ suneṅ aur us ke hāth se shifā pāeṅ. 16phir bhī vah kaī bār unheṅ chhoṛ kar duā karne ke liye vīrān jagahoṅ par jāyā kartā thā.

maflūj ke liye chhat kholī jātī hai

17ek din vah logoṅ ko tālīm de rahā thā. farīsī aur sharīat ke ālim bhī galīl aur yahūdiyā ke har gāoṅ aur yarūshalam se ā kar us ke pās baiṭhe the. aur rabb kī qudrat use shifā dene ke liye taharīk de rahī thī. 18itne meṅ kuchh ādmī ek maflūj ko chārpāī par ḍāl kar vahāṅ pahuṅche. unhoṅ ne use ghar ke andar īsā ke sāmne rakhne kī koshish kī, 19lekin befāidā. ghar meṅ itne log the ki andar jānā nāmumkin thā. is liye vah āḵẖirkār chhat par chaṛh gae aur kuchh ṭāyleṅ udheṛ kar chhat kā ek hissā khol diyā. phir unhoṅ ne chārpāī ko maflūj samet hujūm ke darmiyān īsā ke sāmne utārā. 20jab īsā ne un kā īmān dekhā to us ne maflūj se kahā, “ai ādmī, tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.”

21yah sun kar sharīat ke ālim aur farīsī soch-bichār meṅ paṛ gae, “yah kis tarah kā bandā hai jo is qism kā kufr baktā hai? sirf allāh hī gunāh muāf kar saktā hai.”

22lekin īsā ne jān liyā ki yah kyā soch rahe haiṅ, is liye us ne pūchhā, “tum dil meṅ is tarah kī bāteṅ kyūṅ soch rahe ho? 23kyā maflūj se yah kahanā ziyādā āsān hai ki ‘tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yah ki ‘uṭh kar chal phir’? 24lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki ibn-e-ādam ko vāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḵẖtiyār hai.” yah kah kar vah maflūj se muḵẖātib huā, “uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar apne ghar chalā jā.”

25logoṅ ke dekhte dekhte vah ādmī khaṛā huā aur apnī chārpāī uṭhā kar allāh kī hamd-o-sanā karte hue apne ghar chalā gayā. 26yah dekh kar sab saḵẖt hairatzadā hue aur allāh kī tamjīd karne lage. un par ḵẖauf chhā gayā aur vah kah uṭhe, “āj ham ne nāqābil-e-yaqīn bāteṅ dekhī haiṅ.”

īsā mattī ko bulātā hai

27is ke bād īsā nikal kar ek ṭaiks lene vāle ke pās se guzrā jo apnī chaukī par baiṭhā thā. us kā nām lāvī thā. use dekh kar īsā ne kahā, “mere pīchhe ho le.” 28vah uṭhā aur sab kuchh chhoṛ kar us ke pīchhe ho liyā.

29bād meṅ us ne apne ghar meṅ īsā kī baṛī ziyāfat kī. bahut se ṭaiks lene vāle aur dīgar mehamān is meṅ sharīk hue. 30yah dekh kar kuchh farīsiyoṅ aur un se tālluq rakhne vāle sharīat ke ālimoṅ ne īsā ke shāgirdoṅ se shikāyat kī. unhoṅ ne kahā, “tum ṭaiks lene vāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth kyūṅ khāte-pīte ho?”

31īsā ne javāb diyā, “sehatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko. 32maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ tāki vah taubā kareṅ.”

shāgird rozā kyūṅ nahīṅ rakhte?

33kuchh logoṅ ne īsā se ek aur savāl pūchhā, “yahayā ke shāgird aksar rozā rakhte haiṅ. aur sāth sāth vah duā bhī karte rahate haiṅ. farīsiyoṅ ke shāgird bhī isī tarah karte haiṅ. lekin āp ke shāgird khāne-pīne kā silsilā jārī rakhte haiṅ.”

34īsā ne javāb diyā, “kyā tum shādī ke mehamānoṅ ko rozā rakhne ko kah sakte ho jab dūlhā un ke darmiyān hai? hargiz nahīṅ! 35lekin ek din āegā jab dūlhā un se le liyā jāegā. us vaqt vah zarūr rozā rakheṅge.”

36us ne unheṅ yah misāl bhī dī, “kaun kisī nae libās ko phāṛ kar us kā ek ṭukṛā kisī purāne libās meṅ lagāegā? koī bhī nahīṅ! agar vah aisā kare to na sirf nayā libās ḵẖarāb hogā balki us se liyā gayā ṭukṛā purāne libās ko bhī ḵẖarāb kar degā. 37isī tarah koī bhī aṅgūr kā tāzā ras purānī aur belachak mashkoṅ meṅ nahīṅ ḍālegā. agar vah aisā kare to purānī mashkeṅ paidā hone vālī gais ke bāis phaṭ jāeṅgī. natīje meṅ mai aur mashkeṅ donoṅ zāe ho jāeṅgī. 38is liye aṅgūr kā tāzā ras naī mashkoṅ meṅ ḍālā jātā hai jo lachakdār hotī haiṅ. 39lekin jo bhī purānī mai pīnā pasand kare vah aṅgūr kā nayā aur tāzā ras pasand nahīṅ karegā. vah kahegā ki purānī hī behatar hai.”