Marqus 2

maflūj ke liye chhat kholī jātī hai

1kuchh dinoṅ ke bād īsā kafarnahūm meṅ vāpas āyā. jald hī ḵẖabar phail gaī ki vah ghar meṅ hai. 2is par itne log jamā ho gae ki pūrā ghar bhar gayā balki darvāze ke sāmne bhī jagah na rahī. vah unheṅ kalām-e-muqaddas sunāne lagā. 3itne meṅ kuchh log pahuṅche. un meṅ se chār ādmī ek maflūj ko uṭhāe īsā ke pās lānā chāhate the. 4magar vah use hujūm kī vajah se īsā tak na pahuṅchā sake, is liye unhoṅ ne chhat khol dī. īsā ke ūpar kā hissā udheṛ kar unhoṅ ne chārpāī ko jis par maflūj leṭā thā utār diyā. 5jab īsā ne un kā īmān dekhā to us ne maflūj se kahā, “beṭā, tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.”

6sharīat ke kuchh ālim vahāṅ baiṭhe the. vah yah sun kar soch-bichār meṅ paṛ gae. 7“yah kis tarah aisī bāteṅ kar saktā hai? kufr bak rahā hai. sirf allāh hī gunāh muāf kar saktā hai.”

8īsā ne apnī rūh meṅ fauran jān liyā ki vah kyā soch rahe haiṅ, is liye us ne un se pūchhā, “tum dil meṅ is tarah kī bāteṅ kyūṅ soch rahe ho? 9kyā maflūj se yah kahanā āsān hai ki ‘tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yah ki ‘uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar chal phir’? 10lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki ibn-e-ādam ko vāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḵẖtiyār hai.” yah kah kar vah maflūj se muḵẖātib huā, 11“maiṅ tujh se kahatā hūṅ ki uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar ghar chalā jā.”

12vah ādmī khaṛā huā aur fauran apnī chārpāī uṭhā kar un ke dekhte dekhte chalā gayā. sab saḵẖt hairatzadā hue aur allāh kī tamjīd karke kahane lage, “aisā kām ham ne kabhī nahīṅ dekhā!”

īsā mattī ko bulātā hai

13phir īsā nikal kar dubārā jhīl ke kināre gayā. ek baṛī bhīṛ us ke pās āī to vah unheṅ sikhāne lagā. 14chalte chalte us ne halfaī ke beṭe lāvī ko dekhā jo ṭaiks lene ke liye apnī chaukī par baiṭhā thā. īsā ne us se kahā, “mere pīchhe ho le.” aur lāvī uṭh kar us ke pīchhe ho liyā.

15bād meṅ īsā lāvī ke ghar meṅ khānā khā rahā thā. us ke sāth na sirf us ke shāgird balki bahut se ṭaiks lene vāle aur gunāhgār bhī the, kyūṅki un meṅ se bahutere us ke pairokār ban chuke the. 16sharīat ke kuchh farīsī ālimoṅ ne use yūṅ ṭaiks lene vāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth khāte dekhā to us ke shāgirdoṅ se pūchhā, “yah ṭaiks lene vāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth kyūṅ khātā hai?”

17yah sun kar īsā ne javāb diyā, “sehatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko. maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ.”

shāgird rozā kyūṅ nahīṅ rakhte?

18yahayā ke shāgird aur farīsī rozā rakhā karte the. ek mauqe par kuchh log īsā ke pās āe aur pūchhā, “āp ke shāgird rozā kyūṅ nahīṅ rakhte jabki yahayā aur farīsiyoṅ ke shāgird rozā rakhte haiṅ?”

19īsā ne javāb diyā, “shādī ke mehamān kis tarah rozā rakh sakte haiṅ jab dūlhā un ke darmiyān hai? jab tak dūlhā un ke sāth hai vah rozā nahīṅ rakh sakte. 20lekin ek din āegā jab dūlhā un se le liyā jāegā. us vaqt vah zarūr rozā rakheṅge.

21koī bhī nae kapṛe kā ṭukṛā kisī purāne libās meṅ nahīṅ lagātā. agar vah aisā kare to nayā ṭukṛā bād meṅ sukaṛ kar purāne libās se alag ho jāegā. yūṅ purāne libās kī phaṭī huī jagah pahale kī nisbat ziyādā ḵẖarāb ho jāegī. 22isī tarah koī bhī aṅgūr kā tāzā ras purānī aur belachak mashkoṅ meṅ nahīṅ ḍāltā. agar vah aisā kare to purānī mashkeṅ paidā hone vālī gais ke bāis phaṭ jāeṅgī. natīje meṅ mai aur mashkeṅ donoṅ zāe ho jāeṅgī. is liye aṅgūr kā tāzā ras naī mashkoṅ meṅ ḍālā jātā hai jo lachakdār hotī haiṅ.”

sabat ke bāre meṅ savāl

23ek din īsā anāj ke khetoṅ meṅ se guzar rahā thā. chalte chalte us ke shāgird khāne ke liye anāj kī bāleṅ toṛne lage. sabat kā din thā. 24yah dekh kar farīsiyoṅ ne īsā se pūchhā, “dekho, yah kyūṅ aisā kar rahe haiṅ? sabat ke din aisā karnā manā hai.”

25īsā ne javāb diyā, “kyā tum ne kabhī nahīṅ paṛhā ki dāūd ne kyā kiyā jab use aur us ke sāthiyoṅ ko bhūk lagī aur un ke pās ḵẖurāk nahīṅ thī? 26us vaqt abiyātar imām-e-āzam thā. dāūd allāh ke ghar meṅ dāḵẖil huā aur rabb ke liye maḵẖsūsashudā roṭiyāṅ le kar khāīṅ, agarchi sirf imāmoṅ ko inheṅ khāne kī ijāzat hai. aur us ne apne sāthiyoṅ ko bhī yah roṭiyāṅ khilāīṅ.”

27phir us ne kahā, “insān ko sabat ke din ke liye nahīṅ banāyā gayā balki sabat kā din insān ke liye. 28chunāṅche ibn-e-ādam sabat kā bhī mālik hai.”