Marqus 4

41un par saḵẖt ḵẖauf tārī ho gayā aur vah ek dūsre se kahane lage, “āḵẖir yah kaun hai? havā aur jhīl bhī us kā hukm māntī haiṅ.”

Mattī 3

yahayā baptismā dene vāle kī ḵẖidmat

1un dinoṅ meṅ yahayā baptismā dene vālā āyā aur yahūdiyā ke registān meṅ elān karne lagā, 2“taubā karo, kyūṅki āsmān kī bādshāhī qarīb ā gaī hai.”

Mattī 3

5log yarūshalam, pūre yahūdiyā aur daryā-e-yardan ke pūre ilāqe se nikal kar us ke pās āe. 6aur apne gunāhoṅ ko taslīm karke unhoṅ ne daryā-e- yardan meṅ yahayā se baptismā liyā.

Marqus 1

7us ne elān kiyā, “mere bād ek āne vālā hai jo mujh se baṛā hai. maiṅ jhuk kar us ke jūtoṅ ke tasme kholne ke bhī lāiq nahīṅ. 8maiṅ tum ko pānī se baptismā detā hūṅ, lekin vah tumheṅ rūh-ul-quds se baptismā degā.”

Marqus 1

īsā kā baptismā aur āzmāish

9un dinoṅ meṅ īsā nāsrat se āyā aur yahayā ne use daryā-e-yardan meṅ baptismā diyā. 10pānī se nikalte hī īsā ne dekhā ki āsmān phaṭ rahā hai aur rūh-ul-quds kabūtar kī tarah mujh par utar rahā hai. 11sāth sāth āsmān se ek āvāz sunāī dī, “tū merā piyārā farzand hai, tujh se maiṅ ḵẖush hūṅ.”