Mattī 1

īsā masīh kā nasabnāmā

1īsā masīh bin dāūd bin ibrāhīm kā nasabnāmā :

2ibrāhīm ishāq kā bāp thā, ishāq yāqūb kā bāp aur yāqūb yahūdā aur us ke bhāiyoṅ kā bāp. 3yahūdā ke do beṭe fāras aur zārah the (un kī māṅ tamar thī). fāras hasron kā bāp aur hasron rām kā bāp thā. 4rām ammīnadāb kā bāp, ammīnadāb nahson kā bāp aur nahson salmon kā bāp thā. 5salmon boaz kā bāp thā (boaz kī māṅ rāhab thī). boaz obed kā bāp thā (obed kī māṅ rūt thī). obed yassī kā bāp aur 6yassī dāūd bādshāh kā bāp thā.

dāūd sulaimān kā bāp thā (sulaimān kī māṅ pahale ūriyyāh kī bīvī thī). 7sulaimān rahubiām kā bāp, rahubiām abiyāh kā bāp aur abiyāh āsā kā bāp thā. 8āsā yahūsafat kā bāp, yahūsafat yūrām kā bāp aur yūrām uzziyāh kā bāp thā. 9uzziyāh yūtām kā bāp, yūtām āḵẖaz kā bāp aur āḵẖaz hizaqiyāh kā bāp thā. 10hizaqiyāh manassī kā bāp, manassī amūn kā bāp aur amūn yūsiyāh kā bāp thā. 11yūsiyāh yahūyākīn [a] yūnānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai. aur us ke bhāiyoṅ kā bāp thā (yah bābal kī jilāvatanī ke daurān paidā hue).

12bābal kī jilāvatanī ke bād yahūyākīn [b] ibrānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai. siyāltīel kā bāp aur siyāltīel zarubbābal kā bāp thā. 13zarubbābal abīhūd kā bāp, abīhūd iliyāqīm kā bāp aur iliyāqīm āzor kā bāp thā. 14āzor sadoq kā bāp, sadoq aḵẖīm kā bāp aur aḵẖīm ilīhūd kā bāp thā. 15ilīhūd ilīazar kā bāp, alīazar mattān kā bāp aur mattān kā bāp yāqūb thā. 16yāqūb mariyam ke shauhar yūsuf kā bāp thā. is mariyam se īsā paidā huā, jo masīh kahalātā hai.

17yūṅ ibrāhīm se dāūd tak 14 nasleṅ haiṅ, dāūd se bābal kī jilāvatanī tak 14 nasleṅ haiṅ aur jilāvatanī se masīh tak 14 nasleṅ haiṅ

īsā masīh kī paidāish

18īsā masīh kī paidāish yūṅ huī : us vaqt us kī māṅ mariyam kī maṅgnī yūsuf ke sāth ho chukī thī ki vah rūh-ul-quds se hāmilā pāī gaī. abhī un kī shādī nahīṅ huī thī. 19us kā maṅgetar yūsuf rāstbāz thā, vah alāniyā mariyam ko badnām nahīṅ karnā chāhatā thā. is liye us ne ḵẖāmoshī se yah rishtā toṛne kā irādā kar liyā. 20vah is bāt par abhī ġaur-o-fikr kar hī rahā thā ki rabb kā farishtā ḵẖwāb meṅ us par zāhir huā aur farmāyā, “yūsuf bin dāūd, mariyam se shādī karke use apne ghar le āne se mat ḍar, kyūṅki paidā hone vālā bacchā rūh-ul-quds se hai. 21us ke beṭā hogā aur us kā nām īsā rakhnā, kyūṅki vah apnī qaum ko us ke gunāhoṅ se rihāī degā.”

22yah sab kuchh is liye huā tāki rabb kī vah bāt pūrī ho jāe jo us ne apne nabī kī mārifat farmāī thī, 23“dekho ek kuṅvārī hāmilā hogī. us se beṭā paidā hogā aur log us kā nām immānūel rakheṅge.” (immānūel kā matlab ‘ḵẖudā hamāre sāth’ hai.)

24jab yūsuf jāg uṭhā to us ne rabb ke farishte ke farmān ke mutābiq mariyam se shādī kar lī aur use apne ghar le gayā. 25lekin jab tak us ke beṭā paidā na huā vah mariyam se hambistar na huā. aur yūsuf ne bacche kā nām īsā rakhā.

[a] yūnānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai.
[b] ibrānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai.