Mattī 24

bait-ul-muqaddas par āne vālī tabāhī

1īsā bait-ul-muqaddas ko chhoṛ kar nikal rahā thā ki us ke shāgird us ke pās āe aur bait-ul-muqaddas kī muḵẖtalif imāratoṅ kī taraf us kī tavajjuh dilāne lage. 2lekin īsā ne javāb meṅ kahā, “kyā tum ko yah sab kuchh nazar ātā hai? maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki yahāṅ patthar par patthar nahīṅ rahegā balki sab kuchh ḍhā diyā jāegā.”

musībatoṅ aur īzārasāniyoṅ kī peshgoī

3bād meṅ īsā zaitūn ke pahāṛ par baiṭh gayā. shāgird akele us ke pās āe. unhoṅ ne kahā, “hameṅ zarā batāeṅ, yah kab hogā? kyā kyā nazar āegā jis se patā chalegā ki āp āne vāle haiṅ aur yah duniyā ḵẖatm hone vālī hai?”

4īsā ne javāb diyā, “ḵẖabardār raho ki koī tumheṅ gumrāh na kar de. 5kyūṅki bahut se log merā nām le kar āeṅge aur kaheṅge, ‘maiṅ hī masīh hūṅ.’ yūṅ vah bahutoṅ ko gumrāh kar deṅge. 6jaṅgoṅ kī ḵẖabreṅ aur afwāheṅ tum tak pahuṅcheṅgī, lekin muhtāt raho tāki tum ghabrā na jāo. kyūṅki lāzim hai ki yah sab kuchh pesh āe. to bhī abhī āḵẖirat nahīṅ hogī. 7ek qaum dūsrī ke ḵẖilāf uṭh khaṛī hogī, aur ek bādshāhī dūsrī ke ḵẖilāf. kāl paṛeṅge aur jagah jagah zalzle āeṅge. 8lekin yah sirf dard-e-zah kī ibtidā hī hogī.

9phir vah tum ko baṛī musībat meṅ ḍāl deṅge aur tum ko qatl kareṅge. tamām qaumeṅ tum se is liye nafrat kareṅgī ki tum mere pairokār ho. 10us vaqt bahut se log īmān se bargashtā ho kar ek dūsre ko dushman ke havāle kareṅge aur ek dūsre se nafrat kareṅge. 11bahut se jhūṭe nabī khaṛe ho kar bahut se logoṅ ko gumrāh kar deṅge. 12bedīnī ke baṛh jāne kī vajah se beshatar logoṅ kī muhabbat ṭhaṅḍī paṛ jāegī. 13lekin jo āḵẖir tak qāim rahegā use najāt milegī. 14aur bādshāhī kī is ḵẖushḵẖabarī ke paiġām kā elān pūrī duniyā meṅ kiyā jāegā tāki tamām qaumoṅ ke sāmne us kī gavāhī dī jāe. phir hī āḵẖirat āegī.

bait-ul-muqaddas kī behuramtī

15ek din āegā jab tum muqaddas maqām meṅ vah kuchh khaṛā dekhoge jis kā zikr dānyāl nabī ne kiyā aur jo behuramtī aur tabāhī kā bāis hai.” (qārī is par dhyān de!) 16“us vaqt yahūdiyā ke rahane vāle bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ. 17jo apne ghar kī chhat par ho vah ghar meṅ se kuchh sāth le jāne ke liye na utre. 18jo khet meṅ ho vah apnī chādar sāth le jāne ke liye vāpas na jāe. 19un ḵẖavātīn par afsos jo un dinoṅ meṅ hāmilā hoṅ yā apne bacchoṅ ko dūdh pilātī hoṅ. 20duā karo ki tum ko sardiyoṅ ke mausam meṅ yā sabat ke din hijrat na karnī paṛe. 21kyūṅki us vaqt aisī shadīd musībat hogī ki duniyā kī taḵẖlīq se āj tak dekhne meṅ na āī hogī. is qism kī musībat bād meṅ bhī kabhī nahīṅ āegī. 22aur agar is musībat kā daurāniyā muḵẖtasar na kiyā jātā to koī na bachtā. lekin allāh ke chune huoṅ kī ḵẖātir is kā daurāniyā muḵẖtasar kar diyā jāegā.

23us vaqt agar koī tum ko batāe, ‘dekho, masīh yahāṅ hai’ yā ‘vah vahāṅ hai’ to us kī bāt na mānnā. 24kyūṅki jhūṭe masīh aur jhūṭe nabī uṭh khaṛe hoṅge jo baṛe ajīb-o-ġarīb nishān aur mojize dikhāeṅge tāki allāh ke chune hue logoṅ ko bhī ġalat rāste par ḍāl deṅ - agar yah mumkin hotā. 25dekho, maiṅ ne tumheṅ pahale se is se āgāh kar diyā hai.

26chunāṅche agar koī tum ko batāe, ‘dekho, vah registān meṅ hai’ to vahāṅ jāne ke liye na nikalnā. aur agar koī kahe, ‘dekho, vah andrūnī kamroṅ meṅ hai’ to us kā yaqīn na karnā. 27kyūṅki jis tarah bādal kī bijlī mashriq meṅ kaṛak kar maġrib tak chamaktī hai usī tarah ibn-e-ādam kī āmad bhī hogī.

28jahāṅ bhī lāsh paṛī ho vahāṅ giddh jamā ho jāeṅge.

ibn-e-ādam kī āmad

29musībat ke un dinoṅ ke ain bād sūraj tārīk ho jāegā aur chāṅd kī raushnī ḵẖatm ho jāegī. sitāre āsmān par se gir paṛeṅge aur āsmān kī quvvateṅ hilāī jāeṅgī. 30us vaqt ibn-e-ādam kā nishān āsmān par nazar āegā. tab duniyā kī tamām qaumeṅ mātam kareṅgī. vah ibn-e-ādam ko baṛī qudrat aur jalāl ke sāth āsmān ke bādloṅ par āte hue dekheṅgī. 31aur vah apne farishtoṅ ko bigal kī ūṅchī āvāz ke sāth bhej degā tāki us ke chune huoṅ ko chāroṅ taraf se jamā kareṅ, āsmān ke ek sire se dūsre sire tak ikaṭṭhā kareṅ.

anjīr ke daraḵẖt se sabaq

32anjīr ke daraḵẖt se sabaq sīkho. jūṅ hī us kī shāḵẖeṅ narm aur lachakdār ho jātī haiṅ aur un se koṁpleṅ phūṭ nikaltī haiṅ to tum ko mālūm ho jātā hai ki garmiyoṅ kā mausam qarīb ā gayā hai. 33isī tarah jab tum yah vāqiāt dekhoge to jān loge ki ibn-e-ādam kī āmad qarīb balki darvāze par hai. 34maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki is nasal ke ḵẖatm hone se pahale pahale yah sab kuchh vāqe hogā. 35āsmān-o-zamīn to jāte raheṅge, lekin merī bāteṅ hameshā tak qāim raheṅgī.

kisī ko bhī us kī āmad kā vaqt mālūm nahīṅ

36lekin kisī ko bhī ilm nahīṅ ki yah kis din yā kaun sī ghaṛī rūnumā hogā. āsmān ke farishtoṅ aur farzand ko bhī ilm nahīṅ balki sirf bāp ko. 37jab ibn-e-ādam āegā to hālāt nūh ke dinoṅ jaise hoṅge. 38kyūṅki sailāb se pahale ke dinoṅ meṅ log us vaqt tak khāte-pīte aur shādiyāṅ karte karāte rahe jab tak nūh kashtī meṅ dāḵẖil na ho gayā. 39vah us vaqt tak āne vālī musībat ke bāre meṅ lāilm rahe jab tak sailāb ā kar un sab ko bahā na le gayā. jab ibn-e-ādam āegā to isī qism ke hālāt hoṅge. 40us vaqt do afrād khet meṅ hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā. 41do ḵẖavātīn chakkī par gandum pīs rahī hoṅgī, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsrī ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.

42is liye chaukas raho, kyūṅki tum nahīṅ jānte ki tumhārā ḵẖudāvand kis din ā jāegā. 43yaqīn jāno, agar kisī ghar ke mālik ko mālūm hotā ki chor kab āegā to vah zarūr chaukas rahatā aur use apne ghar meṅ naqab lagāne na detā. 44tum bhī tayyār raho, kyūṅki ibn-e-ādam aise vaqt āegā jab tum us kī tavaqqo nahīṅ karoge.

vafādār naukar

45chunāṅche kaun sā naukar vafādār aur samajhdār hai? farz karo ki ghar ke mālik ne kisī naukar ko bāqī naukroṅ par muqarrar kiyā ho. us kī ek zimmādārī yah bhī hai ki unheṅ vaqt par khānā khilāe. 46vah naukar mubārak hogā jo mālik kī vāpsī par yah sab kuchh kar rahā hogā. 47maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki yah dekh kar mālik use apnī pūrī jāydād par muqarrar karegā. 48lekin farz karo ki naukar apne dil meṅ soche, ‘mālik kī vāpsī meṅ abhī der hai.’ 49vah apne sāthī naukroṅ ko pīṭne aur sharābiyoṅ ke sāth khāne-pīne lage. 50agar vah aisā kare to mālik aise din aur vaqt āegā jis kī tavaqqo naukar ko nahīṅ hogī. 51in hālāt ko dekh kar vah naukar ko ṭukṛe ṭukṛe kar ḍālegā aur use riyākāroṅ meṅ shāmil karegā, vahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.