Mattī 26

īsā ke ḵẖilāf mansūbābandiyāṅ

1yah bāteṅ ḵẖatm karne par īsā shāgirdoṅ se muḵẖātib huā, 2“tum jānte ho ki do din ke bād fasah kī īd shurū hogī. us vaqt ibn-e-ādam ko dushman ke havāle kiyā jāegā tāki use maslūb kiyā jāe.”

3phir rāhanumā imām aur qaum ke buzurg kāifā nāmī imām-e-āzam ke mahal meṅ jamā hue 4aur īsā ko kisī chālākī se giriftār karke qatl karne kī sāzisheṅ karne lage. 5unhoṅ ne kahā, “lekin yah īd ke daurān nahīṅ honā chāhie, aisā na ho ki avām meṅ halchal mach jāe.”

ḵẖātūn īsā par ḵẖushbū uṅḍelatī hai

6itne meṅ īsā bait-aniyāh ā kar ek ādmī ke ghar meṅ dāḵẖil huā jo kisī vaqt koṛh kā marīz thā. us kā nām shamāūn thā. 7īsā khānā khāne ke liye baiṭh gayā to ek aurat āī jis ke pās nihāyat qīmtī itr kā itradān thā. us ne use īsā ke sar par uṅḍel diyā. 8shāgird yah dekh kar nārāz hue. unhoṅ ne kahā, “itnā qīmtī itr zāe karne kī kyā zarūrat thī? 9yah bahut mahaṅgī chīz hai. agar ise bechā jātā to is ke paise ġarīboṅ ko die jā sakte the.”

10lekin un ke ḵẖayāl pahachān kar īsā ne un se kahā, “tum ise kyūṅ taṅg kar rahe ho? is ne to mere liye ek nek kām kiyā hai. 11ġarīb to hameshā tumhāre pās raheṅge, lekin maiṅ hameshā tak tumhāre pās nahīṅ rahūṅgā. 12mujh par itr uṅḍelane se us ne mere badan ko dafan hone ke liye tayyār kiyā hai. 13maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki tamām duniyā meṅ jahāṅ bhī allāh kī ḵẖushḵẖabarī kā elān kiyā jāegā vahāṅ log is ḵẖātūn ko yād karke vah kuchh sunāeṅge jo is ne kiyā hai.”

īsā ko dushman ke havāle karne kā mansūbā

14phir yahūdā iskariyotī jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā rāhanumā imāmoṅ ke pās gayā. 15us ne pūchhā, “āp mujhe īsā ko āp ke havāle karne ke ivz kitne paise dene ke liye tayyār haiṅ?” unhoṅ ne us ke liye chāṅdī ke 30 sikke mut’ayyin kie. 16us vaqt se yahūdā īsā ko un ke havāle karne kā mauqā ḍhūṅḍne lagā.

fasah kī īd ke liye tayyāriyāṅ

17beḵẖamīrī roṭī kī īd āī. pahale din īsā ke shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “ham kahāṅ āp ke liye fasah kā khānā tayyār kareṅ?”

18us ne javāb diyā, “yarūshalam shahar meṅ fulāṅ ādmī ke pās jāo aur use batāo, ‘ustād ne kahā hai ki merā muqarrarā vaqt qarīb ā gayā hai. maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth fasah kī īd kā khānā āp ke ghar meṅ khāūṅgā’.”

19shāgirdoṅ ne vah kuchh kiyā jo īsā ne unheṅ batāyā thā aur fasah kī īd kā khānā tayyār kiyā.

kaun ġaddār hai?

20shām ke vaqt īsā bārah shāgirdoṅ ke sāth khānā khāne ke liye baiṭh gayā. 21jab vah khānā khā rahe the to us ne kahā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki tum meṅ se ek mujhe dushman ke havāle kar degā.”

22shāgird yah sun kar nihāyat ġamgīn hue. bārī bārī vah us se pūchhne lage, “ḵẖudāvand, maiṅ to nahīṅ hūṅ?”

23īsā ne javāb diyā, “jis ne mere sāth apnā hāth sālan ke bartan meṅ ḍālā hai vahī mujhe dushman ke havāle karegā. 24ibn-e-ādam to kūch kar jāegā jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, lekin us shaḵẖs par afsos jis ke vasīle se use dushman ke havāle kar diyā jāegā. us ke liye behatar yah hotā ki vah kabhī paidā hī na hotā.”

25phir yahūdā ne jo use dushman ke havāle karne ko thā pūchhā, “ustād, maiṅ to nahīṅ hūṅ?”

īsā ne javāb diyā, “jī, tum ne ḵẖud kahā hai.”

fasah kā āḵẖirī khānā

26khāne ke daurān īsā ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke shāgirdoṅ ko de diyā. us ne kahā, “yah lo aur khāo. yah merā badan hai.”

27phir us ne mai kā piyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur use unheṅ de kar kahā, “tum sab is meṅ se piyo. 28yah merā ḵẖūn hai, nae ahd kā vah ḵẖūn jo bahutoṅ ke liye bahāyā jātā hai tāki un ke gunāhoṅ ko muāf kar diyā jāe. 29maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki ab se maiṅ aṅgūr kā yah ras nahīṅ piyūṅgā, kyūṅki aglī dafā ise tumhāre sāth apne bāp kī bādshāhī meṅ hī piyūṅgā.”

30phir ek zabūr gā kar vah nikle aur zaitūn ke pahāṛ ke pās pahuṅche.

patras ke inkār kī peshgoī

31īsā ne unheṅ batāyā, “āj rāt tum sab merī bābat bargashtā ho jāoge, kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ allāh farmātā hai, ‘maiṅ charvāhe ko mār ḍālūṅgā aur revaṛ kī bheṛeṅ tittar-bittar ho jāeṅgī.’ 32lekin apne jī uṭhne ke bād maiṅ tumhāre āge āge galīl pahuṅchūṅgā.”

33patras ne etirāz kiyā, “dūsre beshak sab āp kī bābat bargashtā ho jāeṅ, lekin maiṅ kabhī nahīṅ hūṅgā.”

34īsā ne javāb diyā, “maiṅ tujhe sacch batātā hūṅ, isī rāt murġ ke bāṅg dene se pahale pahale tū tīn bār mujhe jānne se inkār kar chukā hogā.”

35patras ne kahā, “hargiz nahīṅ! maiṅ āp ko jānne se kabhī inkār nahīṅ karūṅgā, chāhe mujhe āp ke sāth marnā bhī paṛe.”

dūsroṅ ne bhī yahī kuchh kahā.

gatsamanī bāġ meṅ īsā kī duā

36īsā apne shāgirdoṅ ke sāth ek bāġ meṅ pahuṅchā jis kā nām gatsamanī thā. us ne un se kahā, “yahāṅ baiṭh kar merā intizār karo. maiṅ duā karne ke liye āge jātā hūṅ.” 37us ne patras aur zabdī ke do beṭoṅ yāqūb aur yūhannā ko sāth liyā. vahāṅ vah ġamgīn aur beqarār hone lagā. 38us ne un se kahā, “maiṅ dukh se itnā dabā huā hūṅ ki marne ko hūṅ. yahāṅ ṭhahar kar mere sāth jāgte raho.”

39kuchh āge jā kar vah auṅdhe muṅh zamīn par gir kar yūṅ duā karne lagā, “ai mere bāp, agar mumkin ho to dukh kā yah piyālā mujh se haṭ jāe. lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.”

40vah apne shāgirdoṅ ke pās vāpas āyā to dekhā ki vah so rahe haiṅ. us ne patras se pūchhā, “kyā tum log ek ghaṅṭā bhī mere sāth nahīṅ jāg sake? 41jāgte aur duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo. kyūṅki rūh to tayyār hai lekin jism kamzor.”

42ek bār phir us ne jā kar duā kī, “mere bāp, agar yah piyālā mere pie baġair haṭ nahīṅ saktā to phir terī marzī pūrī ho.” 43jab vah vāpas āyā to dubārā dekhā ki vah so rahe haiṅ, kyūṅki nīṅd kī badaulat un kī āṅkheṅ bojhal thīṅ.

44chunāṅche vah unheṅ dubārā chhoṛ kar chalā gayā aur tīsrī bār yahī duā karne lagā. 45phir īsā shāgirdoṅ ke pās vāpas āyā aur un se kahā, “abhī tak so aur ārām kar rahe ho? dekho, vaqt ā gayā hai ki ibn-e-ādam gunāhgāroṅ ke havāle kiyā jāe. 46uṭho! āo, chaleṅ. dekho, mujhe dushman ke havāle karne vālā qarīb ā chukā hai.”

īsā kī giriftārī

47vah abhī yah bāt kar hī rahā thā ki yahūdā pahuṅch gayā, jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā. us ke sāth talvāroṅ aur lāṭhiyoṅ se les ādmiyoṅ kā baṛā hujūm thā. unheṅ rāhanumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne bhejā thā. 48is ġaddār yahūdā ne unheṅ ek imtiyāzī nishān diyā thā ki jis ko maiṅ bosā dūṅ vahī īsā hai. use giriftār kar lenā.

49jūṅ hī vah pahuṅche yahūdā īsā ke pās gayā aur “ustād, asslāmu alaikum!” kah kar use bosā diyā.

50īsā ne kahā, “dost, kyā tū isī maqsad se āyā hai?”

phir unhoṅ ne use pakaṛ kar giriftār kar liyā. 51is par īsā ke ek sāthī ne apnī talvār miyān se nikālī aur imām-e-āzam ke ġulām ko mār kar us kā kān uṛā diyā. 52lekin īsā ne kahā, “apnī talvār ko miyān meṅ rakh, kyūṅki jo bhī talvār chalātā hai use talvār se mārā jāegā. 53yā kyā tū nahīṅ samajhtā ki merā bāp mujhe hazāroṅ farishte fauran bhej degā agar maiṅ unheṅ talab karūṅ? 54lekin agar maiṅ aisā kartā to phir kalām-e-muqaddas kī peshgoiyāṅ kis tarah pūrī hotīṅ jin ke mutābiq yah aisā hī honā hai?”

55us vaqt īsā ne hujūm se kahā, “kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talvāreṅ aur lāṭhiyāṅ liye mujhe giriftār karne nikle ho? maiṅ to rozānā bait-ul-muqaddas meṅ baiṭh kar tālīm detā rahā, magar tum ne mujhe giriftār nahīṅ kiyā. 56lekin yah sab kuchh is liye ho rahā hai tāki nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ darj peshgoiyāṅ pūrī ho jāeṅ.”

phir tamām shāgird use chhoṛ kar bhāg gae.

57jinhoṅ ne īsā ko giriftār kiyā thā vah use kāifā imām-e-āzam ke ghar le gae jahāṅ sharīat ke tamām ulmā aur qaum ke buzurg jamā the. 58itne meṅ patras kuchh fāsile par īsā ke pīchhe pīchhe imām-e-āzam ke sahan tak pahuṅch gayā. us meṅ dāḵẖil ho kar vah mulāzimoṅ ke sāth āg ke pās baiṭh gayā tāki is silsile kā anjām dekh sake. 59makān ke andar rāhanumā imām aur yahūdī adālat-e-aliyā ke tamām afrād īsā ke ḵẖilāf jhūṭī gavāhiyāṅ ḍhūṅḍ rahe the tāki use sazā-e-maut dilvā sakeṅ. 60bahut se jhūṭe gavāh sāmne āe, lekin koī aisī gavāhī na milī. āḵẖirkār do ādmiyoṅ ne sāmne ā kar 61yah bāt pesh kī, “is ne kahā hai ki maiṅ allāh ke bait-ul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar saktā hūṅ.”

62phir imām-e-āzam ne khaṛe ho kar īsā se kahā, “kyā tū koī javāb nahīṅ degā? yah kyā gavāhiyāṅ haiṅ jo yah log tere ḵẖilāf de rahe haiṅ?”

63lekin īsā ḵẖāmosh rahā. imām-e-āzam ne us se ek aur savāl kiyā, “maiṅ tujhe zindā ḵẖudā kī qasam de kar pūchhtā hūṅ ki kyā tū allāh kā farzand masīh hai?”

64īsā ne kahā, “jī, tū ne ḵẖud kah diyā hai. aur maiṅ tum sab ko batātā hūṅ ki āindā tum ibn-e-ādam ko qādir-e-mutlaq ke dahane hāth baiṭhe aur āsmān ke bādloṅ par āte hue dekhoge.”

65imām-e-āzam ne raṅjish kā izhār karke apne kapṛe phāṛ liye aur kahā, “is ne kufr bakā hai! hameṅ mazīd gavāhoṅ kī kyā zarūrat rahī! āp ne ḵẖud sun liyā hai ki is ne kufr bakā hai. 66āp kā kyā faislā hai?”

unhoṅ ne javāb diyā, “yah sazā-e-maut ke lāiq hai.”

67phir vah us par thūkne aur us ke mukke mārne lage. bāz ne us ke thappaṛ mār mār kar 68kahā, “ai masīh, nubuvvat karke hameṅ batā ki tujhe kis ne mārā.”

patras īsā ko jānne se inkār kartā hai

69is daurān patras bāhar sahan meṅ baiṭhā thā. ek naukrānī us ke pās āī. us ne kahā, “tum bhī galīl ke us ādmī īsā ke sāth the.”

70lekin patras ne un sab ke sāmne inkār kiyā, “maiṅ nahīṅ jāntā ki tū kyā bāt kar rahī hai.” yah kah kar 71vah bāhar geṭ tak gayā. vahāṅ ek aur naukrānī ne use dekhā aur pās khaṛe logoṅ se kahā, “yah ādmī īsā nāsrī ke sāth thā.”

72dubārā patras ne inkār kiyā. is dafā us ne qasam khā kar kahā, “maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā.”

73thoṛī der ke bād vahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne patras ke pās ā kar kahā, “tum zarūr un meṅ se ho kyūṅki tumhārī bolī se sāf patā chaltā hai.”

74is par patras ne qasam khā kar kahā, “mujh par lānat agar maiṅ jhūṭ bol rahā hūṅ. maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā!” fauran murġ kī bāṅg sunāī dī. 75phir patras ko vah bāt yād āī jo īsā ne kahī thī, “murġ ke bāṅg dene se pahale pahale tū tīn bār mujhe jānne se inkār kar chukā hogā.” is par vah bāhar niklā aur ṭūṭe dil se ḵẖūb royā.