Mattī 27

īsā ko pīlātus ke sāmne pesh kiyā jātā hai

1subah-savere tamām rāhanumā imām aur qaum ke tamām buzurg is faisle tak pahuṅch gae ki īsā ko sazā-e-maut dī jāe. 2vah use bāṅdh kar vahāṅ se le gae aur romī gavarnar pīlātus ke havāle kar diyā.

yahūdā kī ḵẖudkushī

3jab yahūdā ne jis ne use dushman ke havāle kar diyā thā dekhā ki us par sazā-e-maut kā fatwā de diyā gayā hai to us ne pachhtā kar chāṅdī ke 30 sikke rāhanumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ko vāpas kar die. 4us ne kahā, “maiṅ ne gunāh kiyā hai, kyūṅki ek bequsūr ādmī ko sazā-e-maut dī gaī hai aur maiṅ hī ne use āp ke havāle kiyā hai.”

unhoṅ ne javāb diyā, “hameṅ kyā! yah terā maslā hai.” 5yahūdā chāṅdī ke sikke bait-ul-muqaddas meṅ phaiṅk kar chalā gayā. phir us ne jā kar phāṅsī le lī.

6rāhanumā imāmoṅ ne sikkoṅ ko jamā karke kahā, “sharīat yah paise bait-ul-muqaddas ke ḵẖazāne meṅ ḍālne kī ijāzat nahīṅ detī, kyūṅki yah ḵẖūṅrezī kā muāvazā hai.” 7āpas meṅ mashvrā karne ke bād unhoṅ ne kumhār kā khet ḵẖarīdne kā faislā kiyā tāki pardesiyoṅ ko dafnāne ke liye jagah ho. 8is liye yah khet āj tak ḵẖūn kā khet kahalātā hai.

9yūṅ yaramiyāh nabī kī yah peshgoī pūrī huī ki “unhoṅ ne chāṅdī ke 30 sikke liye yānī vah raqam jo isrāīliyoṅ ne us ke liye lagāī thī. 10in se unhoṅ ne kumhār kā khet ḵẖarīd liyā, bilkul aisā jis tarah rabb ne mujhe hukm diyā thā.”

pīlātus īsā kī pūchhgichh kartā hai

11itne meṅ īsā ko romī gavarnar pīlātus ke sāmne pesh kiyā gayā. us ne us se pūchhā, “kyā tum yahūdiyoṅ ke bādshāh ho?”

īsā ne javāb diyā, “jī, āp ḵẖud kahate haiṅ.” 12lekin jab rāhanumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne us par ilzām lagāe to īsā ḵẖāmosh rahā.

13chunāṅche pīlātus ne dubārā us se savāl kiyā, “kyā tum yah tamām ilzāmāt nahīṅ sun rahe jo tum par lagāe jā rahe haiṅ?”

14lekin īsā ne ek ilzām kā bhī javāb na diyā, is liye gavarnar nihāyat hairān huā.

sazā-e-maut kā faislā

15un dinoṅ yah rivāj thā ki gavarnar har sāl fasah kī īd par ek qaidī ko āzād kar detā thā. yah qaidī hujūm se muntaḵẖab kiyā jātā thā. 16us vaqt jel meṅ ek badnām qaidī thā. us kā nām bar-abbā thā. 17chunāṅche jab hujūm jamā huā to pīlātus ne us se pūchhā, “tum kyā chāhate ho? maiṅ bar-abbā ko āzād karūṅ yā īsā ko jo masīh kahalātā hai?” 18vah to jāntā thā ki unhoṅ ne īsā ko sirf hasad kī binā par us ke havāle kiyā hai.

19jab pīlātus yūṅ adālat ke taḵẖt par baiṭhā thā to us kī bīvī ne use paiġām bhejā, “is bequsūr ādmī ko hāth na lagāeṅ, kyūṅki mujhe pichhlī rāt is ke bāis ḵẖwāb meṅ shadīd taklīf huī.”

20lekin rāhanumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne hujūm ko uksāyā ki vah bar-abbā ko māṅgeṅ aur īsā kī maut talab kareṅ. gavarnar ne dubārā pūchhā, 21“maiṅ in donoṅ meṅ se kis ko tumhāre liye āzād karūṅ?”

vah chillāe, “bar-abbā ko.”

22pīlātus ne pūchhā, “phir maiṅ īsā ke sāth kyā karūṅ jo masīh kahalātā hai?”

vah chīḵẖe, “use maslūb kareṅ.”

23pīlātus ne pūchhā, “kyūṅ? us ne kyā jurm kiyā hai?”

lekin log mazīd shor machā kar chīḵẖte rahe, “use maslūb kareṅ!”

24pīlātus ne dekhā ki vah kisī natīje tak nahīṅ pahuṅch rahā balki haṅgāmā barpā ho rahā hai. is liye us ne pānī le kar hujūm ke sāmne apne hāth dhoe. us ne kahā, “agar is ādmī ko qatl kiyā jāe to maiṅ bequsūr hūṅ, tum hī us ke liye javābdih ṭhaharo.”

25tamām logoṅ ne javāb diyā, “ham aur hamārī aulād us ke ḵẖūn ke javābdih haiṅ.”

26phir us ne bar-abbā ko āzād karke unheṅ de diyā. lekin īsā ko us ne koṛe lagāne kā hukm diyā, phir use maslūb karne ke liye faujiyoṅ ke havāle kar diyā.

faujī īsā kā mazāq uṛāte haiṅ

27gavarnar ke faujī īsā ko mahal banām praiṭoriyum ke sahan meṅ le gae aur pūrī palṭan ko us ke ird-gird ikaṭṭhā kiyā. 28us ke kapṛe utār kar unhoṅ ne use arġvānī raṅg kā libās pahanāyā, 29phir kāṅṭedār ṭahaniyoṅ kā ek tāj banā kar us ke sar par rakh diyā. us ke dahane hāth meṅ chhaṛī pakṛā kar unhoṅ ne us ke sāmne ghuṭne ṭek kar us kā mazāq uṛāyā, “ai yahūdiyoṅ ke bādshāh, ādāb!” 30vah us par thūkte rahe, chhaṛī le kar bār bār us ke sar ko mārā. 31phir us kā mazāq uṛāne se thak kar unhoṅ ne arġvānī libās utār kar use dubārā us ke apne kapṛe pahanāe aur use maslūb karne ke liye le gae.

īsā ko maslūb kiyā jātā hai

32shahar se nikalte vaqt unhoṅ ne ek ādmī ko dekhā jo libiyā ke shahar kuren kā rahane vālā thā. us kā nām shamāūn thā. use unhoṅ ne salīb uṭhā kar le jāne par majbūr kiyā. 33yūṅ chalte chalte vah ek maqām tak pahuṅch gae jis kā nām gulgutā (yānī khopṛī kā maqām) thā. 34vahāṅ unhoṅ ne use mai pesh kī jis meṅ koī kaṛvī chīz milāī gaī thī. lekin chakh kar īsā ne use pīne se inkār kar diyā.

35phir faujiyoṅ ne use maslūb kiyā aur us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ liye. yah faislā karne ke liye ki kis ko kyā kyā mile unhoṅ ne qur’ā ḍālā. 36yūṅ vah vahāṅ baiṭh kar us kī paharādārī karte rahe. 37salīb par īsā ke sar ke ūpar ek taḵẖtī lagā dī gaī jis par yah ilzām likhā thā, “yah yahūdiyoṅ kā bādshāh īsā hai.” 38do ḍākuoṅ ko bhī īsā ke sāth maslūb kiyā gayā, ek ko us ke dahane hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth.

39jo vahāṅ se guzre unhoṅ ne kufr bak kar us kī tazlīl kī aur sar hilā hilā kar apnī hiqārat kā izhār kiyā. 40unhoṅ ne kahā, “tū ne to kahā thā ki maiṅ bait-ul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar dūṅgā. ab apne āp ko bachā! agar tū vāqaī allāh kā farzand hai to salīb par se utar ā.”

41rāhanumā imāmoṅ, sharīat ke ulmā aur qaum ke buzurgoṅ ne bhī īsā kā mazāq uṛāyā, 42“is ne auroṅ ko bachāyā, lekin apne āp ko nahīṅ bachā saktā. yah isrāīl kā bādshāh hai! abhī yah salīb par se utar āe to ham is par īmān le āeṅge. 43is ne allāh par bharosā rakhā hai. ab allāh ise bachāe agar vah ise chāhatā hai, kyūṅki is ne kahā, ‘maiṅ allāh kā farzand hūṅ’.”

44aur jin ḍākuoṅ ko us ke sāth maslūb kiyā gayā thā unhoṅ ne bhī use lān-tān kī.

īsā kī maut

45dopahar bārah baje pūrā mulk aṅdhere meṅ ḍūb gayā. yah tārīkī tīn ghaṅṭoṅ tak rahī. 46phir tīn baje īsā ūṅchī āvāz se pukār uṭhā, “elī, elī, lamā shabqatanī” jis kā matlab hai, “ai mere ḵẖudā, ai mere ḵẖudā, tū ne mujhe kyūṅ tark kar diyā hai?”

47yah sun kar pās khaṛe kuchh log kahane lage, “vah ilyās nabī ko bulā rahā hai.” 48un meṅ se ek ne fauran dauṛ kar ek isfaṅj ko mai ke sirke meṅ ḍuboyā aur use ḍaṅḍe par lagā kar īsā ko chusāne kī koshish kī.

49dūsroṅ ne kahā, “āo, ham dekheṅ, shāyad ilyās ā kar use bachāe.”

50lekin īsā ne dubārā baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā.

51usī vaqt bait-ul-muqaddas ke muqaddastarīn kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. zalzlā āyā, chaṭāneṅ phaṭ gaīṅ 52aur qabreṅ khul gaīṅ. kaī marhūm muqaddasīn ke jismoṅ ko zindā kar diyā gayā. 53vah īsā ke jī uṭhne ke bād qabroṅ meṅ se nikal kar muqaddas shahar meṅ dāḵẖil hue aur bahutoṅ ko nazar āe.

54jab pās khaṛe romī afsar [a] sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar. aur īsā kī paharādārī karne vāle faujiyoṅ ne zalzlā aur yah tamām vāqiāt dekhe to vah nihāyat dahshatzadā ho gae. unhoṅ ne kahā, “yah vāqaī allāh kā farzand thā.”

55bahut sī ḵẖavātīn bhī vahāṅ thīṅ jo kuchh fāsile par is kā mushāhadā kar rahī thīṅ. vah galīl meṅ īsā ke pīchhe chal kar yahāṅ tak us kī ḵẖidmat kartī āī thīṅ. 56un meṅ mariyam magdalīnī, yāqūb aur yūsuf kī māṅ mariyam aur zabdī ke beṭoṅ yāqūb aur yūhannā kī māṅ bhī thīṅ.

īsā ko dafan kiyā jātā hai

57jab shām hone ko thī to arimatiyāh kā ek daulatmand ādmī banām yūsuf āyā. vah bhī īsā kā shāgird thā. 58us ne pīlātus ke pās jā kar īsā kī lāsh māṅgī, aur pīlātus ne hukm diyā ki vah use de dī jāe. 59yūsuf ne lāsh ko le kar use katān ke ek sāf kafan meṅ lapeṭā 60aur apnī zātī ġairistemālashudā qabr meṅ rakh diyā jo chaṭān meṅ tarāshī gaī thī. āḵẖir meṅ us ne ek baṛā patthar luṛhkā kar qabr kā muṅh band kar diyā aur chalā gayā. 61us vaqt mariyam magdalīnī aur dūsrī mariyam qabr ke muqābil baiṭhī thīṅ.

qabr kī paharādārī

62agle din, jo sabat kā din thā, rāhanumā imām aur farīsī pīlātus ke pās āe. 63“janāb,” unhoṅ ne kahā, “hameṅ yād āyā ki jab vah dhokebāz abhī zindā thā to us ne kahā thā, ‘tīn din ke bād maiṅ jī uṭhūṅgā.’ 64is liye hukm deṅ ki qabr ko tīsre din tak mahfūz rakhā jāe. aisā na ho ki us ke shāgird ā kar us kī lāsh ko churā le jāeṅ aur logoṅ ko batāeṅ ki vah murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai. agar aisā huā to yah āḵẖirī dhokā pahale dhoke se bhī ziyādā baṛā hogā.”

65pīlātus ne javāb diyā, “paharedāroṅ ko le kar qabr ko itnā mahfūz kar do jitnā tum kar sakte ho.”

66chunāṅche unhoṅ ne jā kar qabr ko mahfūz kar liyā. qabr ke muṅh par paṛe patthar par muhar lagā kar unhoṅ ne us par paharedār muqarrar kar die.

[a] sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar.