Mattī 4

īsā ko āzmāyā jātā hai

1phir rūh-ul-quds īsā ko registān meṅ le gayā tāki use iblīs se āzmāyā jāe. 2chālīs din aur chālīs rāt rozā rakhne ke bād use āḵẖirkār bhūk lagī. 3phir āzmāne vālā us ke pās ā kar kahane lagā, “agar tū allāh kā farzand hai to in pattharoṅ ko hukm de ki roṭī ban jāeṅ.”

4lekin īsā ne inkār karke kahā, “hargiz nahīṅ, kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai ki insān kī zindagī sirf roṭī par munhasir nahīṅ hotī balki har us bāt par jo rabb ke muṅh se nikaltī hai.”

5is par iblīs ne use muqaddas shahar yarūshalam le jā kar bait-ul-muqaddas kī sab se ūṅchī jagah par khaṛā kiyā aur kahā, 6“agar tū allāh kā farzand hai to yahāṅ se chhalāṅg lagā de. kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘vah terī ḵẖātir apne farishtoṅ ko hukm degā, aur vah tujhe apne hāthoṅ par uṭhā leṅge tāki tere pāoṅ ko patthar se ṭhes na lage’.”

7lekin īsā ne javāb diyā, “kalām-e-muqaddas yah bhī farmātā hai, ‘rabb apne ḵẖudā ko na āzmānā’.”

8phir iblīs ne use ek nihāyat ūṅche pahāṛ par le jā kar use duniyā ke tamām mamālik aur un kī shān-o-shaukat dikhāī. 9vah bolā, “yah sab kuchh maiṅ tujhe de dūṅgā, shart yah hai ki tū gir kar mujhe sijdā kare.”

10lekin īsā ne tīsrī bār inkār kiyā aur kahā, “iblīs, dafā ho jā! kyūṅki kalām-e-muqaddas meṅ yūṅ likhā hai, ‘rabb apne ḵẖudā ko sijdā kar aur sirf usī kī ibādat kar’.”

11is par iblīs use chhoṛ kar chalā gayā aur farishte ā kar us kī ḵẖidmat karne lage.

galīl meṅ īsā kī ḵẖidmat kā āġāz

12jab īsā ko ḵẖabar milī ki yahayā ko jel meṅ ḍāl diyā gayā hai to vah vahāṅ se chalā gayā aur galīl meṅ āyā. 13nāsrat ko chhoṛ kar vah jhīl ke kināre par vāqe shahar kafarnahūm meṅ rahane lagā, yānī zabūlūn aur naftālī ke ilāqe meṅ. 14yūṅ yasāyāh nabī kī peshgoī pūrī huī,

15“zabūlūn kā ilāqā, naftālī kā ilāqā,

jhīl ke sāth kā rāstā, daryā-e-yardan ke pār,

ġairyahūdiyoṅ kā galīl :

16aṅdhere meṅ baiṭhī qaum ne ek tez raushnī dekhī,

maut ke sāy meṅ ḍūbe hue mulk ke bāshindoṅ par raushnī chamkī.”

17us vaqt se īsā is paiġām kī munādī karne lagā, “taubā karo, kyūṅki āsmān kī bādshāhī qarīb ā gaī hai.”

īsā chār machheroṅ ko bulātā hai

18ek din jab īsā galīl kī jhīl ke kināre kināre chal rahā thā to us ne do bhāiyoṅ ko dekhā - shamāūn jo patras bhī kahalātā thā aur andriyās ko. vah pānī meṅ jāl ḍāl rahe the, kyūṅki vah māhīgīr the. 19us ne kahā, “āo, mere pīchhe ho lo, maiṅ tum ko ādamgīr banāūṅgā.” 20yah sunte hī vah apne jāloṅ ko chhoṛ kar us ke pīchhe ho liye.

21āge jā kar īsā ne do aur bhāiyoṅ ko dekhā, yāqūb bin zabdī aur us ke bhāī yūhannā ko. vah kashtī meṅ baiṭhe apne bāp zabdī ke sāth apne jāloṅ kī marammat kar rahe the. īsā ne unheṅ bulāyā 22to vah fauran kashtī aur apne bāp ko chhoṛ kar us ke pīchhe ho liye.

īsā tālīm detā, munādī kartā aur shifā detā hai

23aur īsā galīl ke pūre ilāqe meṅ phirtā rahā. jahāṅ bhī vah jātā vah yahūdī ibādatḵẖānoṅ meṅ tālīm detā, bādshāhī kī ḵẖushḵẖabarī sunātā aur har qism kī bīmārī aur alālat se shifā detā thā. 24us kī ḵẖabar mulk-e-shām ke kone kone tak pahuṅch gaī, aur log apne tamām marīzoṅ ko us ke pās lāne lage. qism qism kī bīmāriyoṅ tale dabe log, aise jo shadīd dard kā shikār the, badrūhoṅ kī girift meṅ mubtalā, mirgī vāle aur fālijzadā, ġaraz jo bhī āyā īsā ne use shifā baḵẖshī. 25galīl, dikpulis, yarūshalam, yahūdiyā aur daryā-e-yardan ke pār ke ilāqe se baṛe baṛe hujūm us ke pīchhe chalte rahe.