Mattī 5

pahāṛī vāz

1bhīṛ ko dekh kar īsā pahāṛ par chaṛh kar baiṭh gayā. us ke shāgird us ke pās āe 2aur vah unheṅ yah tālīm dene lagā :

haqīqī ḵẖushī

3“mubārak haiṅ vah jin kī rūh zarūratmand hai, kyūṅki āsmān kī bādshāhī un hī kī hai.

4mubārak haiṅ vah jo mātam karte haiṅ, kyūṅki unheṅ tasallī dī jāegī.

5mubārak haiṅ vah jo halīm haiṅ, kyūṅki vah zamīn virse meṅ pāeṅge.

6mubārak haiṅ vah jinheṅ rāstbāzī kī bhūk aur piyās hai, kyūṅki vah ser ho jāeṅge.

7mubārak haiṅ vah jo rahamdil haiṅ, kyūṅki un par raham kiyā jāegā.

8mubārak haiṅ vah jo ḵẖālis dil haiṅ, kyūṅki vah allāh ko dekheṅge.

9mubārak haiṅ vah jo sulah karāte haiṅ, kyūṅki vah allāh ke farzand kahalāeṅge.

10mubārak haiṅ vah jin ko rāstbāz hone ke sabab se satāyā jātā hai, kyūṅki unheṅ āsmān kī bādshāhī virse meṅ milegī.

11mubārak ho tum jab log merī vajah se tumheṅ lān-tān karte, tumheṅ satāte aur tumhāre bāre meṅ har qism kī burī aur jhūṭī bāt karte haiṅ. 12ḵẖushī manāo aur bāġ bāġ ho jāo, tum ko āsmān par baṛā ajr milegā. kyūṅki isī tarah unhoṅ ne tum se pahale nabiyoṅ ko bhī īzā pahuṅchāī thī.

tum namak aur raushnī ho

13tum duniyā kā namak ho. lekin agar namak kā zāiqā jātā rahe to phir use kyūṅkar dubārā namkīn kiyā jā saktā hai? vah kisī bhī kām kā nahīṅ rahā balki bāhar phaiṅkā jāegā jahāṅ vah logoṅ ke pāoṅ tale rauṅdā jāegā.

14tum duniyā kī raushnī ho. pahāṛ par vāqe shahar kī tarah tum ko chhupāyā nahīṅ jā saktā. 15jab koī charāġ jalātā hai to vah use bartan ke nīche nahīṅ rakhtā balki shamādān par rakh detā hai jahāṅ se vah ghar ke tamām afrād ko raushnī detā hai. 16isī tarah tumhārī raushnī bhī logoṅ ke sāmne chamke tāki vah tumhāre nek kām dekh kar tumhāre āsmānī bāp ko jalāl deṅ.

sharīat

17yah na samjho ki maiṅ mūsvī sharīat aur nabiyoṅ kī bātoṅ ko mansūḵẖ karne āyā hūṅ. mansūḵẖ karne nahīṅ balki un kī takmīl karne āyā hūṅ. 18maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, jab tak āsmān-o-zamīn qāim raheṅge tab tak sharīat bhī qāim rahegī - na us kā koī harf, na us kā koī zer yā zabar mansūḵẖ hogā jab tak sab kuchh pūrā na ho jāe. 19jo in sab se chhoṭe ahkām meṅ se ek ko bhī mansūḵẖ kare aur logoṅ ko aisā karnā sikhāe use āsmān kī bādshāhī meṅ sab se chhoṭā qarār diyā jāegā. is ke muqāble meṅ jo in ahkām par amal karke inheṅ sikhātā hai use āsmān kī bādshāhī meṅ baṛā qarār diyā jāegā. 20kyūṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar tumhārī rāstbāzī sharīat ke ulmā aur farīsiyoṅ kī rāstbāzī se ziyādā nahīṅ to tum āsmān kī bādshāhī meṅ dāḵẖil hone ke lāiq nahīṅ.

ġussā

21tum ne sunā hai ki bāpdādā ko farmāyā gayā, ‘qatl na karnā. aur jo qatl kare use adālat meṅ javāb denā hogā.’ 22lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jo bhī apne bhāī par ġussā kare use adālat meṅ javāb denā hogā. isī tarah jo apne bhāī ko ‘ahamaq’ kahe use yahūdī adālat-e-aliyā meṅ javāb denā hogā. aur jo us ko ‘bevuqūf!’ kahe vah jahannum kī āg meṅ phaiṅke jāne ke lāiq ṭhaharegā. 23lihāzā agar tujhe bait-ul-muqaddas meṅ qurbānī pesh karte vaqt yād āe ki tere bhāī ko tujh se koī shikāyat hai 24to apnī qurbānī ko vahīṅ qurbāngāh ke sāmne hī chhoṛ kar apne bhāī ke pās chalā jā. pahale us se sulah kar aur phir vāpas ā kar allāh ko apnī qurbānī pesh kar.

25farz karo ki kisī ne tujh par muqaddmā chalāyā hai. agar aisā ho to kachaharī meṅ dāḵẖil hone se pahale pahale jaldī se jhagṛā ḵẖatm kar. aisā na ho ki vah tujhe jaj ke havāle kare, jaj tujhe pulis afsar ke havāle kare aur natīje meṅ tujh ko jel meṅ ḍālā jāe. 26maiṅ tujhe sacch batātā hūṅ, vahāṅ se tū us vaqt tak nahīṅ nikal pāegā jab tak jurmāne kī pūrī pūrī raqam adā na kar de.

zinākārī

27tum ne yah hukm sun liyā hai ki ‘zinā na karnā.’ 28lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, jo kisī aurat ko burī ḵẖwāhish se dekhtā hai vah apne dil meṅ us ke sāth zinā kar chukā hai. 29agar terī bāīṅ āṅkh tujhe gunāh karne par uksāe to use nikāl kar phaiṅk de. is se pahale ki tere pūre jism ko jahannum meṅ ḍālā jāe behatar yah hai ki terā ek hī uzv jātā rahe. 30aur agar terā dahanā hāth tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ kar phaiṅk de. is se pahale ki terā pūrā jism jahannum meṅ jāe behatar yah hai ki terā ek hī uzv jātā rahe.

talāq

31yah bhī farmāyā gayā hai, ‘jo bhī apnī bīvī ko talāq de vah use talāqnāmā likh de.’ 32lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar kisī kī bīvī ne zinā na kiyā ho to bhī shauhar use talāq de to vah us se zinā karātā hai. aur jo talākshudā aurat se shādī kare vah zinā kartā hai.

qasam mat khānā

33tum ne yah bhī sunā hai ki bāpdādā ko farmāyā gayā, ‘jhūṭī qasam mat khānā balki jo vāde tū ne rabb se qasam khā kar kie hoṅ unheṅ pūrā karnā.’ 34lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, qasam bilkul na khānā. na ‘āsmān kī qasam’ kyūṅki āsmān allāh kā taḵẖt hai, 35na ‘zamīn kī’ kyūṅki zamīn us ke pāoṅ kī chaukī hai. ‘yarūshalam kī qasam’ bhī na khānā kyūṅki yarūshalam azīm bādshāh kā shahar hai. 36yahāṅ tak ki apne sar kī qasam bhī na khānā, kyūṅki tū apnā ek bāl bhī kālā yā safed nahīṅ kar saktā. 37sirf itnā hī kahanā, ‘jī hāṅ’ yā ‘jī nahīṅ.’ agar is se ziyādā kaho to yah iblīs kī taraf se hai.

badlā lenā

38tum ne sunā hai ki yah farmāyā gayā hai, ‘āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt ke badle dāṅt.’ 39lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki badkār kā muqāblā mat karnā. agar koī tere dahane gāl par thappaṛ māre to use dūsrā gāl bhī pesh kar de. 40agar koī terī qamīs lene ke liye tujh par muqaddmā karnā chāhe to use apnī chādar bhī de denā. 41agar koī tujh ko us kā sāmān uṭhā kar ek kilomīṭar jāne par majbūr kare to us ke sāth do kilomīṭar chalā jānā. 42jo tujh se kuchh māṅge use de denā aur jo tujh se qarz lenā chāhe us se inkār na karnā.

dushman se muhabbat

43tum ne sunā hai ki farmāyā gayā hai, ‘apne paṛosī se muhabbat rakhnā aur apne dushman se nafrat karnā.’ 44lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ, apne dushmanoṅ se muhabbat rakho aur un ke liye duā karo jo tum ko satāte haiṅ. 45phir tum apne āsmānī bāp ke farzand ṭhaharoge, kyūṅki vah apnā sūraj sab par tulū hone detā hai, ḵẖwāh vah acchhe hoṅ yā bure. aur vah sab par bārish barasne detā hai, ḵẖwāh vah rāstbāz hoṅ yā nārāst. 46agar tum sirf un hī se muhabbat karo jo tum se karte haiṅ to tum ko kyā ajr milegā? ṭaiks lene vāle bhī to aisā hī karte haiṅ. 47aur agar tum sirf apne bhāiyoṅ ke liye salāmatī kī duā karo to kaun sī ḵẖās bāt karte ho? ġairyahūdī bhī to aisā hī karte haiṅ. 48chunāṅche vaise hī kāmil ho jaisā tumhārā āsmānī bāp kāmil hai.