Paidāish 3

14rabb ḵẖudā ne sāṁp se kahā, “chūṅki tū ne yah kiyā, is liye tū tamām maveshiyoṅ aur jaṅglī jānvaroṅ meṅ lāntī hai. tū umr bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḵẖāk chāṭegā. 15maiṅ tere aur aurat ke darmiyān dushmanī paidā karūṅgā. us kī aulād terī aulād kī dushman hogī. vah tere sar ko kuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī par kāṭegā.”

16phir rabb ḵẖudā aurat se muḵẖātib huā aur kahā, “jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. jab tere bacche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin vah tujh par hukūmat karegā.” 17ādam se us ne kahā, “tū ne apnī bīvī kī bāt mānī aur us daraḵẖt kā phal khāyā jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā. is liye tere sabab se zamīn par lānat hai. us se ḵẖurāk hāsil karne ke liye tujhe umr bhar mehanat-mashaqqat karnī paṛegī. 18tere liye vah ḵẖārdār paude aur ūṅṭkaṭāre paidā karegī, hālāṅki tū us se apnī ḵẖurāk bhī hāsil karegā. 19pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke liye bhāg-dauṛ karnī paṛegī. aur yah silsilā maut tak jārī rahegā. tū mehanat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyūṅki tū usī se liyā gayā hai. tū ḵẖāk hai aur dubārā ḵẖāk meṅ mil jāegā.”

20ādam ne apnī bīvī kā nām havvā yānī zindagī rakhā, kyūṅki bād meṅ vah tamām zindoṅ kī māṅ ban gaī. 21rabb ḵẖudā ne ādam aur us kī bīvī ke liye khāloṅ se libās banā kar unheṅ pahanāyā. 22us ne kahā, “insān hamārī mānind ho gayā hai, vah acchhe aur bure kā ilm rakhtā hai. ab aisā na ho ki vah hāth baṛhā kar zindagī baḵẖshne vāle daraḵẖt ke phal se le aur us se khā kar hameshā tak zindā rahe.” 23is liye rabb ḵẖudā ne use bāġ-e-adan se nikāl kar us zamīn kī khetībāṛī karne kī zimmādārī dī jis meṅ se use liyā gayā thā. 24insān ko ḵẖārij karne ke bād us ne bāġ-e-adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talvār rakhī jo idhar udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḵẖshne vāle daraḵẖt tak pahuṅchātā thā.