Lūqā 4

īsā ko nāsrat meṅ radd kiyā jātā hai

16ek din vah nāsrat pahuṅchā jahāṅ vah parvān chaṛhā thā. vahāṅ bhī vah māmūl ke mutābiq sabat ke din maqāmī ibādatḵẖāne meṅ jā kar kalām-e-muqaddas meṅ se paṛhne ke liye khaṛā ho gayā. 17use yasāyāh nabī kī kitāb dī gaī to us ne tūmār ko khol kar yah havālā ḍhūṅḍ nikālā,

18“rabb kā rūh mujh par hai,

kyūṅki us ne mujhe tel se masah karke

ġarīboṅ ko ḵẖushḵẖabarī sunāne kā iḵẖtiyār diyā hai.

us ne mujhe yah elān karne ke liye bhejā hai ki

qaidiyoṅ ko rihāī milegī

aur aṅdhe dekheṅge.

us ne mujhe bhejā hai ki maiṅ kuchle huoṅ ko āzād karāūṅ

19aur rabb kī taraf se bahālī ke sāl kā elān karūṅ.”

20yah kah kar īsā ne tūmār ko lapeṭ kar ibādatḵẖāne ke mulāzim ko vāpas kar diyā aur baiṭh gayā. sārī jamāat kī āṅkheṅ us par lagī thīṅ. 21phir vah bol uṭhā, “āj allāh kā yah farmān tumhāre sunte hī pūrā ho gayā hai.”

Lūqā 8

ḵẖidmatguzār ḵẖavātīn īsā ke sāth safar kartī haiṅ

1is ke kuchh der bād īsā muḵẖtalif shaharoṅ aur dīhātoṅ meṅ se guzar kar safar karne lagā. har jagah us ne allāh kī bādshāhī ke bāre meṅ ḵẖushḵẖabarī sunāī. us ke bārah shāgird us ke sāth the, 2nīz kuchh ḵẖavātīn bhī jinheṅ us ne badrūhoṅ se rihāī aur bīmāriyoṅ se shifā dī thī. in meṅ se ek mariyam thī jo magdalīnī kahalātī thī jis meṅ se sāt badruheṅ nikālī gaī thīṅ. 3phir yūannā jo ḵẖūzā kī bīvī thī (ḵẖūzā herodes bādshāh kā ek afsar thā). sūsannā aur dīgar kaī ḵẖavātīn bhī thīṅ jo apne mālī vasāil se un kī ḵẖidmat kartī thīṅ.

Marqus 4

bīj bone vāle kī tamsīl

1phir īsā dubārā jhīl ke kināre tālīm dene lagā. aur itnī baṛī bhīṛ us ke pās jamā huī ki vah jhīl meṅ khaṛī ek kashtī meṅ baiṭh gayā. bāqī log jhīl ke kināre par khaṛe rahe. 2us ne unheṅ bahut sī bāteṅ tamsīloṅ meṅ sikhāīṅ. un meṅ se ek yah thī :

3“suno! ek kisān bīj bone ke liye niklā. 4jab bīj idhar udhar bikhar gayā to kuchh dāne rāste par gire aur parindoṅ ne ā kar unheṅ chug liyā. 5kuchh pathrīlī zamīn par gire jahāṅ miṭṭī kī kamī thī. vah jald ug āe kyūṅki miṭṭī gaharī nahīṅ thī. 6lekin jab sūraj niklā to paude jhulas gae aur chūṅki vah jaṛ na pakaṛ sake is liye sūkh gae. 7kuchh dāne ḵẖudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān bhī gire. vahāṅ vah ugne to lage, lekin ḵẖudrau paudoṅ ne sāth sāth baṛh kar unheṅ phalne phūlne kī jagah na dī. chunāṅche vah bhī ḵẖatm ho gae aur phal na lā sake. 8lekin aise dāne bhī the jo zarḵẖez zamīn meṅ gire. vahāṅ vah phūṭ nikle aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāe.”

9phir us ne kahā, “jo sun saktā hai vah sun le!”

tamsīloṅ kā maqsad

10jab vah akelā thā to jo log us ke ird-gird jamā the unhoṅ ne bārah shāgirdoṅ samet us se pūchhā ki is tamsīl kā kyā matlab hai? 11us ne javāb diyā, “tum ko to allāh kī bādshāhī kā bhed samajhne kī liyāqat dī gaī hai. lekin maiṅ is dāire se bāhar ke logoṅ ko har bāt samjhāne ke liye tamsīleṅ istemāl kartā hūṅ 12tāki pāk kalām pūrā ho jāe ki

‘vah apnī āṅkhoṅ se dekheṅge magar kuchh nahīṅ jāneṅge,

vah apne kānoṅ se suneṅge magar kuchh nahīṅ samjheṅge,

aisā na ho ki vah merī taraf rujū kareṅ

aur unheṅ muāf kar diyā jāe’.”

bīj bone vāle kī tamsīl kā matlab

13phir īsā ne un se kahā, “kyā tum yah tamsīl nahīṅ samajhte? to phir bāqī tamām tamsīleṅ kis tarah samajh pāoge? 14bīj bone vālā allāh kā kalām bo detā hai. 15rāste par girne vāle dāne vah log haiṅ jo kalām ko sunte to haiṅ, lekin phir iblīs fauran ā kar vah kalām chhīn letā hai jo un meṅ boyā gayā hai. 16pathrīlī zamīn par girne vāle dāne vah log haiṅ jo kalām sunte hī use ḵẖushī se qabūl to kar lete haiṅ, 17lekin vah jaṛ nahīṅ pakaṛte aur is liye ziyādā der tak qāim nahīṅ rahate. jūṅ hī vah kalām par īmān lāne ke bāis kisī musībat yā īzārasānī se dochār ho jāeṅ, to vah bargashtā ho jāte haiṅ. 18ḵẖudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān gire hue dāne vah log haiṅ jo kalām sunte to haiṅ, 19lekin phir rozmarrā kī pareshāniyāṅ, daulat kā fareb aur dīgar chīzoṅ kā lālach kalām ko phalne phūlne nahīṅ dete. natīje meṅ vah phal lāne tak nahīṅ pahuṅchtā. 20is ke muqāble meṅ zarḵẖez zamīn meṅ gire hue dāne vah log haiṅ jo kalām sun kar use qabūl karte aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāte haiṅ.”

Marqus 4

rāī ke dāne kī tamsīl

30phir īsā ne kahā, “ham allāh kī bādshāhī kā muvāznā kis chīz se kareṅ? yā ham kaun sī tamsīl se ise bayān kareṅ? 31vah rāī ke dāne kī mānind hai jo zamīn meṅ ḍālā gayā ho. rāī bījoṅ meṅ sab se chhoṭā dānā hai 32lekin baṛhte baṛhte sabziyoṅ meṅ sab se baṛā ho jātā hai. us kī shāḵẖeṅ itnī lambī ho jātī haiṅ ki parinde us ke sāy meṅ apne ghoṅsle banā sakte haiṅ.”

33īsā isī qism kī bahut sī tamsīloṅ kī madad se unheṅ kalām yūṅ sunātā thā ki vah ise samajh sakte the. 34hāṅ, avām ko vah sirf tamsīloṅ ke zarīe sikhātā thā. lekin jab vah apne shāgirdoṅ ke sāth akelā hotā to vah har bāt kī tashrīh kartā thā.

īsā āṅdhī ko thamā detā hai

35us din jab shām huī to īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “āo, ham jhīl ke pār chaleṅ.” 36chunāṅche vah bhīṛ ko ruḵẖsat karke use le kar chal paṛe. bāz aur kashtiyāṅ bhī sāth gaīṅ. 37achānak saḵẖt āṅdhī āī. lahareṅ kashtī se ṭakrā kar use pānī se bharne lagīṅ, 38lekin īsā abhī tak kashtī ke pichhle hisse meṅ apnā sar gaddī par rakhe so rahā thā. shāgirdoṅ ne use jagā kar kahā, “ustād, kyā āp ko parvā nahīṅ ki ham tabāh ho rahe haiṅ?”

39vah jāg uṭhā, āṅdhī ko ḍāṅṭā aur jhīl se kahā, “ḵẖāmosh! chup kar!” is par āṅdhī tham gaī aur lahareṅ bilkul sākit ho gaīṅ. 40phir īsā ne shāgirdoṅ se pūchhā, “tum kyūṅ ghabrāte ho? kyā tum abhī tak īmān nahīṅ rakhte?” 41un par saḵẖt ḵẖauf tārī ho gayā aur vah ek dūsre se kahane lage, “āḵẖir yah kaun hai? havā aur jhīl bhī us kā hukm māntī haiṅ.”

Marqus 5

yāīr kī beṭī aur bīmār aurat

21īsā ne kashtī meṅ baiṭhe jhīl ko dubārā pār kiyā. jab dūsre kināre pahuṅchā to ek hujūm us ke gird jamā ho gayā. vah abhī jhīl ke pās hī thā 22ki maqāmī ibādatḵẖāne kā ek rāhanumā us ke pās āyā. us kā nām yāīr thā. īsā ko dekh kar vah us ke pāoṅ meṅ gir gayā 23aur bahut minnat karne lagā, “merī chhoṭī beṭī marne vālī hai, barāh-e-karam ā kar us par apne hāth rakheṅ tāki vah shifā pā kar zindā rahe.”

24chunāṅche īsā us ke sāth chal paṛā. ek baṛī bhīṛ us ke pīchhe lag gaī aur log use gher kar har taraf se dabāne lage.

25hujūm meṅ ek aurat thī jo bārah sāl se ḵẖūn bahane ke marz se rihāī na pā sakī thī. 26bahut ḍākṭaroṅ se apnā ilāj karvā karvā kar use kaī tarah kī musībat jhelnī paṛī thī aur itne meṅ us ke tamām paise bhī ḵẖarch ho gae the. to bhī koī fāidā na huā thā balki us kī hālat mazīd ḵẖarāb hotī gaī. 27īsā ke bāre meṅ sun kar vah bhīṛ meṅ shāmil ho gaī thī. ab pīchhe se ā kar us ne us ke libās ko chhuā, 28kyūṅki us ne sochā, “agar maiṅ sirf us ke libās ko hī chhū lūṅ to maiṅ shifā pā lūṅgī.”

29ḵẖūn bahanā fauran band ho gayā aur us ne apne jism meṅ mahsūs kiyā ki mujhe is aziyatanāk hālat se rihāī mil gaī hai. 30lekin usī lamhe īsā ko ḵẖud mahsūs huā ki mujh meṅ se tavānāī niklī hai. us ne muṛ kar pūchhā, “kis ne mere kapṛoṅ ko chhuā hai?”

31us ke shāgirdoṅ ne javāb diyā, “āp ḵẖud dekh rahe haiṅ ki hujūm āp ko gher kar dabā rahā hai. to phir āp kis tarah pūchh sakte haiṅ ki kis ne mujhe chhuā?”

32lekin īsā apne chāroṅ taraf dekhtā rahā ki kis ne yah kiyā hai. 33is par vah aurat yah jān kar ki mere sāth kyā huā hai ḵẖauf ke māre laraztī huī us ke pās āī. vah us ke sāmne gir paṛī aur use pūrī haqīqat khol kar bayān kī. 34īsā ne us se kahā, “beṭī, tere īmān ne tujhe bachā liyā hai. salāmatī se jā aur apnī aziyatanāk hālat se bachī rah.”

35īsā ne yah bāt abhī ḵẖatm nahīṅ kī thī ki ibādatḵẖāne ke rāhanumā yāīr ke ghar kī taraf se kuchh log pahuṅche aur kahā, “āp kī beṭī faut ho chukī hai, ab ustād ko mazīd taklīf dene kī kyā zarūrat?”

36un kī yah bāt nazar’andāz karke īsā ne yāīr se kahā, “mat ghabrāo, faqat īmān rakho.” 37phir īsā ne hujūm ko rok liyā aur sirf patras, yāqūb aur us ke bhāī yūhannā ko apne sāth jāne kī ijāzat dī. 38jab ibādatḵẖāne ke rāhanumā ke ghar pahuṅche to vahāṅ baṛī afrā-tafrī nazar āī. log ḵẖūb giryā-o-zārī kar rahe the. 39undar jā kar īsā ne un se kahā, “yah kaisā shor-sharābā hai? kyūṅ ro rahe ho? laṛkī mar nahīṅ gaī balki so rahī hai.”

40log haṅs kar us kā mazāq uṛāne lage. lekin us ne sab ko bāhar nikāl diyā. phir sirf laṛkī ke vālidain aur apne tīn shāgirdoṅ ko sāth le kar vah us kamre meṅ dāḵẖil huā jis meṅ laṛkī paṛī thī. 41us ne us kā hāth pakaṛ kar kahā, “talithā qūm!” is kā matlab hai, “chhoṭī laṛkī, maiṅ tujhe hukm detā hūṅ ki jāg uṭh!”

42laṛkī fauran uṭh kar chalne phirne lagī. us kī umr bārah sāl thī. yah dekh kar log ghabrā kar hairān rah gae. 43īsā ne unheṅ sanjīdgī se samjhāyā ki vah kisī ko bhī is ke bāre meṅ na batāeṅ. phir us ne unheṅ kahā ki use khāne ko kuchh do.