Mattī 9

do aṅdhoṅ kī shifā

27jab īsā vahāṅ se ravānā huā to do aṅdhe us ke pīchhe chal kar chillāne lage, “ibn-e-dāūd, ham par raham kareṅ.”

28jab īsā kisī ke ghar meṅ dāḵẖil huā to vah us ke pās āe. īsā ne un se pūchhā, “kyā tumhārā īmān hai ki maiṅ yah kar saktā hūṅ?”

unhoṅ ne javāb diyā, “jī, ḵẖudāvand.”

29phir us ne un kī āṅkheṅ chhū kar kahā, “tumhāre sāth tumhāre īmān ke mutābiq ho jāe.” 30un kī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ aur īsā ne saḵẖtī se unheṅ kahā, “ḵẖabardār, kisī ko bhī is kā patā na chale!”

31lekin vah nikal kar pūre ilāqe meṅ us kī ḵẖabar phailāne lage.

gūṅge ādmī kī shifā

32jab vah nikal rahe the to ek gūṅgā ādmī īsā ke pās lāyā gayā jo kisī badruh ke qabze meṅ thā. 33jab badruh ko nikālā gayā to gūṅgā bolne lagā. hujūm hairān rah gayā. unhoṅ ne kahā, “aisā kām isrāīl meṅ kabhī nahīṅ dekhā gayā.”

34lekin farīsiyoṅ ne kahā, “vah badrūhoṅ ke sardār hī kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hai.”

Marqus 6

2sabat ke din vah ibādatḵẖāne meṅ tālīm dene lagā. beshatar log us kī bāteṅ sun kar hairatzadā hue. unhoṅ ne pūchhā, “ise yah kahāṅ se hāsil huā hai? yah hikmat jo ise milī hai, aur yah mojize jo is ke hāthoṅ se hote haiṅ, yah kyā hai? 3kyā yah vah baṛhaī nahīṅ hai jo mariyam kā beṭā hai aur jis ke bhāī yāqūb, yūsuf, yahūdāh aur shamāūn haiṅ? aur kyā is kī bahaneṅ yahīṅ nahīṅ rahatīṅ?” yūṅ unhoṅ ne us se ṭhokar khā kar use qabūl na kiyā.

4īsā ne un se kahā, “nabī kī har jagah izzat hotī hai sivā-e-us ke vatnī shahar, us ke rishtedāroṅ aur us ke apne ḵẖāndān ke.”

5vahāṅ vah koī mojizā na kar sakā. us ne sirf chand ek marīzoṅ par hāth rakh kar un ko shifā dī. 6aur vah un kī be-etiqādī ke sabab se bahut hairān thā.

īsā bārah shāgirdoṅ ko tablīġ karne bhejtā hai

is ke bād īsā ne ird-gird ke ilāqe meṅ gāoṅ gāoṅ jā kar logoṅ ko tālīm dī.7bārah shāgirdoṅ ko bulā kar vah unheṅ do do karke muḵẖtalif jagahoṅ par bhejne lagā. is ke liye us ne unheṅ nāpāk rūhoṅ ko nikālne kā iḵẖtiyār de kar 8yah hidāyat kī, “safar par apne sāth kuchh na lenā sivā-e-ek lāṭhī ke. na roṭī, na sāmān ke liye koī baig, na kamarband meṅ koī paisā, 9na ek se ziyādā sūṭ. tum jūte pahan sakte ho. 10jis ghar meṅ bhī dāḵẖil ho us meṅ us maqām se chale jāne tak ṭhaharo. 11aur agar koī maqām tum ko qabūl na kare yā tumhārī na sune to phir ravānā hote vaqt apne pāoṅ se gard jhāṛ do. yūṅ tum un ke ḵẖilāf gavāhī doge.”

Marqus 6

īsā 5000 afrād ko khānā khilātā hai

30rasūl vāpas ā kar īsā ke pās jamā hue aur use sab kuchh sunāne lage jo unhoṅ ne kiyā aur sikhāyā thā. 31is daurān itne log ā aur jā rahe the ki unheṅ khānā khāne kā mauqā bhī na milā. is liye īsā ne bārah shāgirdoṅ se kahā, “āo, ham logoṅ se alag ho kar kisī ġair’ābād jagah jāeṅ aur ārām kareṅ.” 32chunāṅche vah kashtī par savār ho kar kisī vīrān jagah chale gae.

33lekin bahut se logoṅ ne unheṅ jāte vaqt pahachān liyā. vah paidal chal kar tamām shaharoṅ se nikal āe aur dauṛ dauṛ kar un se pahale manzil-e-maqsūd tak pahuṅch gae. 34jab īsā ne kashtī par se utar kar baṛe hujūm ko dekhā to use logoṅ par taras āyā, kyūṅki vah un bheṛoṅ kī mānind the jin kā koī charvāhā na ho. vahīṅ vah unheṅ bahut sī bāteṅ sikhāne lagā.

35jab din ḍhalne lagā to us ke shāgird us ke pās āe aur kahā, “yah jagah vīrān hai aur din ḍhalne lagā hai. 36in ko ruḵẖsat kar deṅ tāki yah ird-gird kī bastiyoṅ aur dīhātoṅ meṅ jā kar khāne ke liye kuchh ḵẖarīd leṅ.”

37lekin īsā ne unheṅ kahā, “tum ḵẖud inheṅ kuchh khāne ko do.”

unhoṅ ne pūchhā, “ham is ke liye darkār chāṅdī ke 200 sikke kahāṅ se le kar roṭī ḵẖarīdne jāeṅ aur inheṅ khilāeṅ?”

38us ne kahā, “tumhāre pās kitnī roṭiyāṅ haiṅ? jā kar patā karo!”

unhoṅ ne mālūm kiyā. phir dubārā us ke pās ā kar kahane lage, “hamāre pās pāṅch roṭiyāṅ aur do machhliyāṅ haiṅ.”

39is par īsā ne unheṅ hidāyat dī, “tamām logoṅ ko gurohoṅ meṅ harī ghās par biṭhā do.” 40chunāṅche log sau sau aur pachās pachās kī sūrat meṅ baiṭh gae. 41phir īsā ne un pāṅch roṭiyoṅ aur do machhliyoṅ ko le kar āsmān kī taraf dekhā aur shukrguzārī kī duā kī. phir us ne roṭiyoṅ ko toṛ toṛ kar shāgirdoṅ ko diyā tāki vah logoṅ meṅ taqsīm kareṅ. us ne do machhliyoṅ ko bhī ṭukṛe ṭukṛe karke shāgirdoṅ ke zarīe un meṅ taqsīm karvāyā. 42aur sab ne jī bhar kar khāyā. 43jab shāgirdoṅ ne roṭiyoṅ aur machhliyoṅ ke bache hue ṭukṛe jamā kie to bārah ṭokre bhar gae. 44khāne vāle mardoṅ kī kul tādād 5,000 thī.

īsā pānī par chaltā hai

45is ke ain bād īsā ne apne shāgirdoṅ ko majbūr kiyā ki vah kashtī par savār ho kar āge nikleṅ aur jhīl ke pār ke shahar bait-saidā jāeṅ. itne meṅ vah hujūm ko ruḵẖsat karnā chāhatā thā. 46unheṅ ḵẖairbād kahane ke bād vah duā karne ke liye pahāṛ par chaṛh gayā. 47shām ke vaqt shāgirdoṅ kī kashtī jhīl ke bīch tak pahuṅch gaī thī jabki īsā ḵẖud ḵẖushkī par akelā rah gayā thā. 48vahāṅ se us ne dekhā ki shāgird kashtī ko khene meṅ baṛī jidd-o-jahd kar rahe haiṅ, kyūṅki havā un ke ḵẖilāf chal rahī thī. taqrīban tīn baje rāt ke vaqt īsā pānī par chalte hue un ke pās āyā. vah un se āge nikalnā chāhatā thā, 49lekin jab unhoṅ ne use jhīl kī satah par chalte hue dekhā to sochne lage, “yah koī bhūt hai” aur chīḵẖeṅ mārne lage. 50kyūṅki sab ne use dekh kar dahshat khāī.

lekin īsā fauran un se muḵẖātib ho kar bolā, “hauslā rakho! maiṅ hī hūṅ. mat ghabrāo.”51phir vah un ke pās āyā aur kashtī meṅ baiṭh gayā. usī vaqt havā tham gaī. shāgird nihāyat hī hairatzadā hue. 52kyūṅki jab roṭiyoṅ kā mojizā kiyā gayā thā to vah is kā matlab nahīṅ samjhe the balki un ke dil behiss ho gae the.

gannesarat meṅ marīzoṅ kī shifā

53jhīl ko pār karke vah gannesarat shahar ke pās pahuṅch gae aur laṅgar ḍāl diyā. 54jūṅ hī vah kashtī se utre logoṅ ne īsā ko pahachān liyā. 55vah bhāg bhāg kar us pūre ilāqe meṅ se guzre aur marīzoṅ ko chārpāiyoṅ par uṭhā uṭhā kar vahāṅ le āe jahāṅ kahīṅ unheṅ ḵẖabar milī ki vah ṭhaharā huā hai. 56jahāṅ bhī vah gayā chāhe gāoṅ, shahar yā bastī meṅ, vahāṅ logoṅ ne bīmāroṅ ko chaukoṅ meṅ rakh kar us se minnat kī ki vah kam az kam unheṅ apne libās ke dāman ko chhūne de. aur jis ne bhī use chhuā use shifā milī.

Lūqā 7

bevā kā beṭā zindā kiyā jātā hai

11kuchh der ke bād īsā apne shāgirdoṅ ke sāth nāin shahar ke liye ravānā huā. ek baṛā hujūm bhī sāth chal rahā thā. 12jab vah shahar ke darvāze ke qarīb pahuṅchā to ek janāzā niklā. jo naujavān faut huā thā us kī māṅ bevā thī aur vah us kā iklautā beṭā thā. māṅ ke sāth shahar ke bahut se log chal rahe the. 13use dekh kar ḵẖudāvand ko us par baṛā taras āyā. us ne us se kahā, “mat ro.” 14phir vah janāze ke pās gayā aur use chhuā. use uṭhāne vāle ruk gae to īsā ne kahā, “ai naujavān, maiṅ tujhe kahatā hūṅ ki uṭh!” 15murdā uṭh baiṭhā aur bolne lagā. īsā ne use us kī māṅ ke sapurd kar diyā.

16yah dekh kar tamām logoṅ par ḵẖauf tārī ho gayā aur vah allāh kī tamjīd karke kahane lage, “hamāre darmiyān ek baṛā nabī barpā huā hai. allāh ne apnī qaum par nazar kī hai.”

17aur īsā ke bāre meṅ yah ḵẖabar pūre yahūdiyā aur ird-gird ke ilāqe meṅ phail gaī.

Mattī 16

patras kā iqrār

13jab īsā qaisriyā-filippī ke ilāqe meṅ pahuṅchā to us ne shāgirdoṅ se pūchhā, “ibn-e-ādam logoṅ ke nazdīk kaun hai?”

14unhoṅ ne javāb diyā, “kuchh kahate haiṅ yahayā baptismā dene vālā, kuchh yah ki āp ilyās nabī haiṅ. kuchh yah bhī kahate haiṅ ki yaramiyāh yā nabiyoṅ meṅ se ek.”

15us ne pūchhā, “lekin tumhāre nazdīk maiṅ kaun hūṅ?”

16patras ne javāb diyā, “āp zindā ḵẖudā ke farzand masīh haiṅ.”

17īsā ne kahā, “shamāūn bin yūnus, tū mubārak hai, kyūṅki kisī insān ne tujh par yah zāhir nahīṅ kiyā balki mere āsmānī bāp ne. 18maiṅ tujhe yah bhī batātā hūṅ ki tū patras yānī patthar hai, aur isī patthar par maiṅ apnī jamāat ko tāmīr karūṅgā, aisī jamāat jis par pātāl ke darvāze bhī ġālib nahīṅ āeṅge. 19maiṅ tujhe āsmān kī bādshāhī kī kuṅjiyāṅ de dūṅgā. jo kuchh tū zamīn par bāṅdhegā vah āsmān par bhī baṅdhegā. aur jo kuchh tū zamīn par kholegā vah āsmān par bhī khulegā.”

20phir īsā ne apne shāgirdoṅ ko hukm diyā, “kisī ko bhī na batāo ki maiṅ masīh hūṅ.”

Marqus 9

pahāṛ par īsā kī sūrat badal jātī hai

2chhah din ke bād īsā sirf patras, yāqūb aur yūhannā ko apne sāth le kar ūṅche pahāṛ par chaṛh gayā. vahāṅ us kī shakl-o-sūrat un ke sāmne badal gaī. 3us ke kapṛe chamakne lage aur nihāyat safed ho gae. duniyā meṅ koī bhī dhobī kapṛe itne safed nahīṅ kar saktā. 4phir ilyās aur mūsā zāhir hue aur īsā se bāt karne lage. 5patras bol uṭhā, “ustād, kitnī acchhī bāt hai ki ham yahāṅ haiṅ. āeṅ, ham tīn jhoṁpaṛiyāṅ banāeṅ, ek āp ke liye, ek mūsā ke liye aur ek ilyās ke liye.” 6us ne yah is liye kahā ki tīnoṅ shāgird sahame hue the aur vah nahīṅ jāntā thā ki kyā kahe.

7is par ek bādal ā kar un par chhā gayā aur bādal meṅ se ek āvāz sunāī dī, “yah merā piyārā farzand hai. is kī suno.” 8achānak mūsā aur ilyās ġāib ho gae. shāgirdoṅ ne chāroṅ taraf dekhā, lekin sirf īsā nazar āyā.

9vah pahāṛ se utarne lage to īsā ne unheṅ hukm diyā, “jo kuchh tum ne dekhā hai use us vaqt tak kisī ko na batānā jab tak ki ibn-e-ādam murdoṅ meṅ se jī na uṭhe.”

10chunāṅche unhoṅ ne yah bāt apne tak mahdūd rakhī. lekin vah kaī bār āpas meṅ bahs karne lage ki murdoṅ meṅ se jī uṭhne se kyā murād ho saktī hai. 11phir unhoṅ ne us se pūchhā, “sharīat ke ulmā kyūṅ kahate haiṅ ki masīh kī āmad se pahale ilyās kā ānā zarūrī hai?”

12īsā ne javāb diyā, “ilyās to zarūr pahale sab kuchh bahāl karne ke liye āegā. lekin kalām-e-muqaddas meṅ ibn-e-ādam ke bāre meṅ yah kyūṅ likhā hai ki use bahut dukh uṭhānā aur haqīr samjhā jānā hai? 13lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ, ilyās to ā chukā hai aur unhoṅ ne us ke sāth jo chāhā kiyā. yah bhī kalām-e-muqaddas ke mutābiq hī huā hai.”

īsā laṛke meṅ se badruh nikāltā hai

14jab vah bāqī shāgirdoṅ ke pās vāpas pahuṅche to unhoṅ ne dekhā ki un ke gird ek baṛā hujūm jamā hai aur sharīat ke kuchh ulmā un ke sāth bahs kar rahe haiṅ. 15īsā ko dekhte hī logoṅ ne baṛī bechainī se us kī taraf dauṛ kar use salām kiyā. 16us ne shāgirdoṅ se savāl kiyā, “tum un ke sāth kis ke bāre meṅ bahs kar rahe ho?”

17hujūm meṅ se ek ādmī ne javāb diyā, “ustād, maiṅ apne beṭe ko āp ke pās lāyā thā. vah aisī badruh ke qabze meṅ hai jo use bolne nahīṅ detī. 18aur jab bhī vah us par ġālib ātī hai vah use zamīn par paṭak detī hai. beṭe ke muṅh se jhāg nikalne lagtā aur vah dāṅt pīsne lagtā hai. phir us kā jism akaṛ jātā hai. maiṅ ne āp ke shāgirdoṅ se kahā to thā ki vah badruh ko nikāl deṅ, lekin vah na nikāl sake.”

19īsā ne un se kahā, “īmān se ḵẖālī nasal! maiṅ kab tak tumhāre sāth rahūṅ, kab tak tumheṅ bardāsht karūṅ? laṛke ko mere pās le āo.” 20vah use īsā ke pās le āe.

īsā ko dekhte hī badruh laṛke ko jhaṅjhoṛne lagī. vah zamīn par gir gayā aur idhar udhar luṛhakte hue muṅh se jhāg nikālne lagā.21īsā ne bāp se pūchhā, “is ke sāth kab se aisā ho rahā hai?”

us ne javāb diyā, “bachpan se.22bahut dafā us ne ise halāk karne kī ḵẖātir āg yā pānī meṅ girāyā hai. agar āp kuchh kar sakte haiṅ to taras khā kar hamārī madad kareṅ.”

23īsā ne pūchhā, “kyā matlab, ‘agar āp kuchh kar sakte haiṅ’? jo īmān rakhtā hai us ke liye sab kuchh mumkin hai.”

24laṛke kā bāp fauran chillā uṭhā, “maiṅ īmān rakhtā hūṅ. merī be-etiqādī kā ilāj kareṅ.”

25īsā ne dekhā ki bahut se log dauṛ dauṛ kar dekhne ā rahe haiṅ, is liye us ne nāpāk rūh ko ḍāṅṭā, “ai gūṅgī aur baharī badruh, maiṅ tujhe hukm detā hūṅ ki is meṅ se nikal jā. kabhī bhī is meṅ dubārā dāḵẖil na honā!”

26is par badruh chīḵẖ uṭhī aur laṛke ko shiddat se jhaṅjhoṛ kar nikal gaī. laṛkā lāsh kī tarah zamīn par paṛā rahā, is liye sab ne kahā, “vah mar gayā hai.” 27lekin īsā ne us kā hāth pakaṛ kar uṭhne meṅ us kī madad kī aur vah khaṛā ho gayā.

28bād meṅ jab īsā kisī ghar meṅ jā kar apne shāgirdoṅ ke sāth akelā thā to unhoṅ ne us se pūchhā, “ham badruh ko kyūṅ na nikāl sake?”

29us ne javāb diyā, “is qism kī badruh sirf duā se nikālī jā saktī hai.”

īsā dūsrī dafā apnī maut kā zikr kartā hai

30vahāṅ se nikal kar vah galīl meṅ se guzre. īsā nahīṅ chāhatā thā ki kisī ko patā chale ki vah kahāṅ hai, 31kyūṅki vah apne shāgirdoṅ ko tālīm de rahā thā. us ne un se kahā, “ibn-e-ādam ko ādmiyoṅ ke havāle kar diyā jāegā. vah use qatl kareṅge, lekin tīn din ke bād vah jī uṭhegā.”

32lekin shāgird is kā matlab na samjhe aur vah īsā se is ke bāre meṅ pūchhne se ḍarte bhī the.

kaun sab se baṛā hai?

33chalte chalte vah kafarnahūm pahuṅche. jab vah kisī ghar meṅ the to īsā ne shāgirdoṅ se savāl kiyā, “rāste meṅ tum kis bāt par bahs kar rahe the?”

34lekin vah ḵẖāmosh rahe, kyūṅki vah rāste meṅ is par bahs kar rahe the ki ham meṅ se baṛā kaun hai? 35īsā baiṭh gayā aur bārah shāgirdoṅ ko bulā kar kahā, “jo avval honā chāhatā hai vah sab se āḵẖir meṅ āe aur sab kā ḵẖādim ho.” 36phir us ne ek chhoṭe bacche ko le kar un ke darmiyān khaṛā kiyā. use gale lagā kar us ne un se kahā, 37“jo mere nām meṅ in bacchoṅ meṅ se kisī ko qabūl kartā hai vah mujhe hī qabūl kartā hai. aur jo mujhe qabūl kartā hai vah mujhe nahīṅ balki use qabūl kartā hai jis ne mujhe bhejā hai.”