Ḵẖurūj 13

yah īd najāt kī yād dilātī

1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ke har pahalauṭhe ko mere liye maḵẖsūs-o-muqaddas karnā hai. har pahalā nar bacchā merā hī hai, ḵẖwāh insān kā ho yā haivān kā.” 3phir mūsā ne logoṅ se kahā, “is din ko yād rakho jab tum rabb kī azīm qudrat ke bāis misr kī ġulāmī se nikle. is din koī chīz na khānā jis meṅ ḵẖamīr ho. 4āj hī abīb ke mahīne [a] mārch tā aprail. meṅ tum misr se ravānā ho rahe ho. 5rabb ne tumhāre bāpdādā se qasam khā kar vādā kiyā hai ki vah tum ko kan’ānī, hittī, amorī, hivvī aur yabūsī qaumoṅ kā mulk degā, ek aisā mulk jis meṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai. jab rabb tumheṅ us mulk meṅ pahuṅchā degā to lāzim hai ki tum isī mahīne meṅ yah rasm manāo. 6sāt din beḵẖamīrī roṭī khāo. sātveṅ din rabb kī tāzīm meṅ īd manāo. 7sāt din ḵẖamīrī roṭī na khānā. kahīṅ bhī ḵẖamīr na pāyā jāe. pūre mulk meṅ ḵẖamīr kā nām-o-nishān tak na ho.

8us din apne beṭe se yah kaho, ‘maiṅ yah īd us kām kī ḵẖushī meṅ manātā hūṅ jo rabb ne mere liye kiyā jab maiṅ misr se niklā.’ 9yah īd tumhāre hāth yā peshānī par nishān kī mānind ho jo tumheṅ yād dilāe ki rabb kī sharīat ko tumhāre hoṅṭoṅ par rahanā hai. kyūṅki rabb tumheṅ apnī azīm qudrat se misr se nikāl lāyā. 10is din kī yād har sāl ṭhīk vaqt par manānā.

pahalauṭhoṅ kī maḵẖsūsiyat

11rabb tumheṅ kan’āniyoṅ ke us mulk meṅ le jāegā jis kā vādā us ne qasam khā kar tum aur tumhāre bāpdādā se kiyā hai. 12lāzim hai ki vahāṅ pahuṅch kar tum apne tamām pahalauṭhoṅ ko rabb ke liye maḵẖsūs karo. tumhāre maveshiyoṅ ke tamām pahalauṭhe bhī rabb kī milkiyat haiṅ. 13agar tum apnā pahalauṭhā gadhā ḵẖud rakhnā chāho to rabb ko us ke badle bheṛ yā bakrī kā bacchā pesh karo. lekin agar tum use rakhnā nahīṅ chāhate to us kī gardan toṛ ḍālo. lekin insān ke pahalauṭhoṅ ke liye har sūrat meṅ ivzī denā hai.

14āne vāle dinoṅ meṅ jab tumhārā beṭā pūchhe ki is kā kyā matlab hai to use javāb denā, ‘rabb apnī azīm qudrat se hameṅ misr kī ġulāmī se nikāl lāyā. 15jab firaaun ne akaṛ kar hameṅ jāne na diyā to rabb ne misr ke tamām insānoṅ aur haivānoṅ ke pahalauṭhoṅ ko mār ḍālā. is vajah se maiṅ apne jānvaroṅ kā har pahalā bacchā rabb ko qurbān kartā aur apne har pahalauṭhe ke liye ivzī detā hūṅ’. 16yah dastūr tumhāre hāth aur peshānī par nishān kī mānind ho jo tumheṅ yād dilāe ki rabb hameṅ apnī qudrat se misr se nikāl lāyā.”

misr se nikalne kā rāstā

17jab firaaun ne isrāīlī qaum ko jāne diyā to allāh unheṅ filistiyoṅ ke ilāqe meṅ se guzarne vāle rāste se le kar na gayā, agarchi us par chalte hue vah jald hī mulk-e-kan’ān pahuṅch jāte. balki rabb ne kahā, “agar us rāste par chaleṅge to unheṅ dūsroṅ se laṛnā paṛegā. aisā na ho ki vah is vajah se apnā irādā badal kar misr lauṭ jāeṅ.” 18is liye allāh unheṅ dūsre rāste se le kar gayā, aur vah registān ke rāste se bahar-e-qulzum kī taraf baṛhe. misr se nikalte vaqt mard musallah the. 19mūsā yūsuf kā tābūt bhī apne sāth le gayā, kyūṅki yūsuf ne isrāīliyoṅ ko qasam dilā kar kahā thā, “allāh yaqīnan tumhārī dekh-bhāl karke vahāṅ le jāegā. us vaqt merī haḍḍiyoṅ ko bhī uṭhā kar sāth le jānā.”

20isrāīliyoṅ ne sukkāt ko chhoṛ kar etām meṅ apne ḵẖaime lagāe. etām registān ke kināre par thā. 21rabb un ke āge āge chaltā gayā, din ke vaqt bādal ke satūn meṅ tāki unheṅ rāste kā patā lage aur rāt ke vaqt āg ke satūn meṅ tāki unheṅ raushnī mile. yūṅ vah din aur rāt safar kar sakte the. 22din ke vaqt bādal kā satūn aur rāt ke vaqt āg kā satūn un ke sāmne rahā. vah kabhī bhī apnī jagah se na haṭā.

[a] mārch tā aprail.