Lūqā 3

yahayā baptismā dene vāle kī ḵẖidmat

1phir rom ke shahanshāh tibriyus kī hukūmat kā paṅdrahavāṅ sāl ā gayā. us vaqt puntiyus pīlātus sūbā yahūdiyā kā gavarnar thā, herodes antipās galīl kā hākim thā, us kā bhāī filippus itūriyā aur traḵẖonītis ke ilāqe kā, jabki lisāniyās abilene kā. 2hannā aur kāifā donoṅ imām-e-āzam the. un dinoṅ meṅ allāh yahayā bin zakariyāh se hamkalām huā jab vah registān meṅ thā. 3phir vah daryā-e-yardan ke pūre ilāqe meṅ se guzrā. har jagah us ne elān kiyā ki taubā karke baptismā lo tāki tumheṅ apne gunāhoṅ kī muāfī mil jāe. 4yūṅ yasāyāh nabī ke alfāz pūre hue jo us kī kitāb meṅ darj haiṅ :

‘registān meṅ ek āvāz pukār rahī hai,

rabb kī rāh tayyār karo!

us ke rāste sīdhe banāo.

5lāzim hai ki har vādī bhar dī jāe,

zarūrī hai ki har pahāṛ aur buland jagah maidān ban jāe.

jo ṭeṛhā hai use sīdhā kiyā jāe,

jo nāhamvār hai use hamvār kiyā jāe.

6aur tamām insān allāh kī najāt dekheṅge.’

7jab bahut se log yahayā ke pās āe tāki us se baptismā leṅ to us ne un se kahā, “ai zaharīle sāṁp ke baccho! kis ne tum ko āne vāle ġazab se bachne kī hidāyat kī? 8apnī zindagī se zāhir karo ki tum ne vāqaī taubā kī hai. yah ḵẖayāl mat karo ki ham to bach jāeṅge kyūṅki ibrāhīm hamārā bāp hai. maiṅ tum ko batātā hūṅ ki allāh in pattharoṅ se bhī ibrāhīm ke liye aulād paidā kar saktā hai. 9ab to adālat kī kulhāṛī daraḵẖtoṅ kī jaṛoṅ par rakhī huī hai. har daraḵẖt jo acchhā phal na lāe kāṭā aur āg meṅ jhoṅkā jāegā.”

10logoṅ ne us se pūchhā, “phir ham kyā kareṅ?”

11us ne javāb diyā, “jis ke pās do kurte haiṅ vah ek us ko de de jis ke pās kuchh na ho. aur jis ke pās khānā hai vah use khilā de jis ke pās kuchh na ho.”

12ṭaiks lene vāle bhī baptismā lene ke liye āe to unhoṅ ne pūchhā, “ustād, ham kyā kareṅ?”

13us ne javāb diyā, “sirf utne ṭaiks lenā jitne hukūmat ne muqarrar kie haiṅ.”

14kuchh faujiyoṅ ne pūchhā, “hameṅ kyā karnā chāhie?”

us ne javāb diyā, “kisī se jabran yā ġalat ilzām lagā kar paise na lenā balki apnī jāiz āmdanī par iktifā karnā.”

15logoṅ kī tavaqqoāt bahut baṛh gaīṅ. vah apne diloṅ meṅ sochne lage ki kyā yah masīh to nahīṅ hai? 16is par yahayā un sab se muḵẖātib ho kar kahane lagā, “maiṅ to tumheṅ pānī se baptismā detā hūṅ, lekin ek āne vālā hai jo mujh se baṛā hai. maiṅ us ke jūtoṅ ke tasme kholne ke bhī lāiq nahīṅ. vah tumheṅ rūh-ul-quds aur āg se baptismā degā. 17vah hāth meṅ chhāj pakṛe hue anāj ko bhūse se alag karne ke liye tayyār khaṛā hai. vah gāhane kī jagah ko bilkul sāf karke anāj ko apne godām meṅ jamā karegā. lekin bhūse ko vah aisī āg meṅ jhoṅkegā jo bujhne kī nahīṅ.”

18is qism kī bahut sī aur bātoṅ se us ne qaum ko nasīhat kī aur use allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunāī. 19lekin ek din yūṅ huā ki yahayā ne galīl ke hākim herodes antipās ko ḍāṅṭā. vajah yah thī ki herodes ne apne bhāī kī bīvī herodiyās se shādī kar lī thī aur is ke ilāvā aur bahut se ġalat kām kie the. 20yah malāmat sun kar herodes ne apne ġalat kāmoṅ meṅ aur izāfā yah kiyā ki yahayā ko jel meṅ ḍāl diyā.

īsā kā baptismā

21ek din jab bahut se logoṅ ko baptismā diyā jā rahā thā to īsā ne bhī baptismā liyā. jab vah duā kar rahā thā to āsmān khul gayā 22aur rūh-ul-quds jismānī sūrat meṅ kabūtar kī tarah us par utar āyā. sāth sāth āsmān se ek āvāz sunāī dī, “tū merā piyārā farzand hai, tujh se maiṅ ḵẖush hūṅ.”

īsā kā nasabnāmā

23īsā taqrīban tīs sāl kā thā jab us ne ḵẖidmat shurū kī. use yūsuf kā beṭā samjhā jātā thā. us kā nasabnāmā yah hai : yūsuf bin elī 24bin mattāt bin lāvī bin malkī bin yannā bin yūsuf 25bin mattitiyāh bin āmūs bin nāhūm bin asaliyāh bin nogā 26bin māat bin mattitiyāh bin shamaī bin yoseḵẖ bin yūdāh 27bin yūhannāh bin resā bin zarubbābal bin siyāltīel bin nerī 28bin malikī bin addī bin qosām bin ilmodām bin er 29bin yashūa bin ilīazar bin yorīm bin mattāt bin lāvī 30bin shamāūn bin yahūdāh bin yūsuf bin yonām bin iliyāqīm 31bin maleāh bin minnāh bin mattitiyāh bin nātan bin dāūd 32bin yassī bin obed bin boaz bin salmon bin nahson 33bin ammīnadāb bin admīn bin arnī bin hasron bin fāras bin yahūdāh 34bin yāqūb bin ishāq bin ibrāhīm bin tārah bin nahūr 35bin sarūj bin raū bin falaj bin ibar bin silah 36bin qīnān bin arfaksad bin sim bin nūh bin lamak 37bin matūsilah bin hanūk bin yārid bin mahalal-el bin qīnān 38bin anūs bin set bin ādam. ādam ko allāh ne paidā kiyā thā.