1 Tavaareekh 6

imaam-ay-aazam kee nasal (laavee ka qabeela)

1laavee kay betay jairson, qihaat aur miraaree thay. 2qihaat kay betay amraam, izhaar , habroon aur uzzeeel thay.

3amraam kay betay haaroon aur moosa thay. betee ka naam mariyam tha. haaroon kay betay nadab, abeehoo, ileeazar aur itmar thay.

4ileeazar kay haan feenhaas paida hua, feenhaas kay abeesooa, 5abeesooa kay buqqee, buqqee kay uzzee, 6uzzee kay zarakhiyaah, zarakhiyaah kay miraayot, 7miraayot kay amariyaah, amariyaah kay akheetoob, 8akheetoob kay sadoq, sadoq kay akheemaaz, 9akheemaaz kay azariyaah, azariyaah kay yoohanaan 10aur yoohanaan kay azariyaah. yahee azariyaah rabb kay us ghar ka pahela imaam-ay-aazam tha jo sulemaan nay yarooshalam men banvaaya tha. 11us kay haan amariyaah paida hua, amariyaah kay akheetoob, 12akheetoob kay sadoq, sadoq kay salloom, 13salloom kay khilaqiyaah, khilaqiyaah kay azariyaah, 14azariyaah kay siraayaah aur siraayaah kay yahoosadaq. 15jab rabb nay nabookadnazzar kay haath say yarooshalam aur pooray yahoodaah kay baashindon ko jilaavatan kar diya to yahoosadaq bhee un men shaamil tha.

laavee kee aulaad

16laavee kay teen betay jairsom, qihaat aur miraaree thay. 17jairsom kay do betay libnee aur simaee thay. 18qihaat kay chaar betay amraam, izhaar , habroon aur uzzeeel thay. 19miraaree kay do betay mahelee aur mooshee thay.

zail men laavee kay khaandaanon kee faherist un kay baaniyon kay mutaabiq darj hai.

20jairsom kay haan libnee paida hua, libnee kay yahet, yahet kay zimma, 21zimma kay yooaakh, yooaakh kay iddoo, iddoo kay zaarah aur zaarah kay yatree.

22qihaat kay haan ammeenadaab paida hua, ammeenadaab kay qorah, qorah kay asseer, 23asseer kay ilqaana, ilqaana kay abiyaasaf, abiyaasaf kay asseer, 24asseer kay tahet, tahet kay ooreeel, ooreeel kay uzziyaah aur uzziyaah kay saaool. 25ilqaana kay betay amaasee, akheemot 26aur ilqaana thay. ilqaana kay haan zoofee paida hua, zoofee kay nahet, 27nahet kay iliyaab, iliyaab kay yarohaam, yarohaam kay ilqaana aur ilqaana kay samooel. 28samooel ka pahela beta yoel aur doosra abiyaah tha.

29miraaree kay haan mahelee paida hua, mahelee kay libnee, libnee kay simaee, simaee kay uzza, 30uzza kay sim’a, sim’a kay hajjiyaah aur hajyaah kay asaayaah.

laavee kee zimmaadaariyaan

31jab ahd ka sandooq yarooshalam men laaya gaya taaki aainda vahaan rahay to daaood baadshaah nay kuchh laaviyon ko rabb kay ghar men geet gaanay kee zimmaadaaree dee. 32is say pahelay ki sulemaan nay rabb ka ghar banvaaya yah log apnee khidmat mulaaqaat kay khaimay kay saamnay sar’anjaam detay thay. vah sab kuchh muqarrara hidaayaat kay mutaabiq ada kartay thay. 33zail men un kay naam un kay beton kay naamon samet darj hain.

qihaat kay khaandaan ka haimaan pahela gulookaar tha. us ka poora naam yah tha : haimaan bin yoel bin samooel 34bin ilqaana bin yarohaam bin ileeel bin tookh 35bin soof bin ilqaana bin mahet bin amaasee 36bin ilqaana bin yoel bin azariyaah bin safaniyaah 37bin tahet bin asseer bin abiyaasaf bin qorah 38bin izhaar bin qihaat bin laavee bin israaeel.

39haimaan kay dahenay haath aasaf khada hota tha. us ka poora naam yah tha : aasaf bin barakiyaah bin sim’aa 40bin meekaael bin baasiyaah bin malkiyaah 41bin atnee bin zaarah bin adaayaah 42bin aitaan bin zimma bin simaee 43bin yahet bin jairsom bin laavee.

44haimaan kay baaen haath aitaan khada hota tha. vah miraaree kay khaandaan ka fard tha. us ka poora naam yah tha : aitaan bin qeesee bin abdee bin mallook 45bin hasabiyaah bin amasiyaah bin khilaqiyaah 46bin amsee bin baanee bin samar 47bin mahelee bin mooshee bin miraaree bin laavee.

48doosray laaviyon ko allaah kee sukoonatgaah men baaqeemaanda zimmaadaariyaan dee gaee theen.

49lekin sirf haaroon aur us kee aulaad bhasm honay vaalee qurbaaniyaan pesh kartay aur bakhoor kee qurbaangaah par bakhoor jalaatay thay. vahee muqaddastareen kamray men har khidmat sar’anjaam detay thay. israaeel ka kaffaara dena un hee kee zimmaadaaree thee. vah sab kuchh ain un hidaayaat kay mutaabiq ada kartay thay jo allaah kay khaadim moosa nay unhen dee theen.

50haaroon kay haan ileeazar paida hua, ileeazar kay feenhaas, feenhaas kay abeesooa, 51abeesooa kay buqqee, buqqee kay uzzee, uzzee kay zarakhiyaah, 52zarakhiyaah kay miraayot, miraayot kay amariyaah, amariyaah kay akheetoob, 53akheetoob kay sadoq, sadoq kay akheemaaz.

laaviyon kee aabaadiyaan

54zail men vah aabaadiyaan aur charaagaahen darj hain jo laaviyon ko qur’a daal kar dee gaeen.

qur’a daaltay vaqt pahelay haaroon kay betay qihaat kee aulaad ko jagahen mil gaeen. 55usay yahoodaah kay qabeelay say habroon shaher us kee charaagaahon samet mil gaya. 56lekin gird-o-navaah kay khet aur deehaat kaalib bin yafunna ko diay gaay. 57habroon un shaheron men shaamil tha jin men har vah panaah lay sakta tha jis kay haathon ghairiraadee taur par koee halaak hua ho. habroon kay ilaava haaroon kee aulaad ko zail kay maqaam un kee charaagaahon samet diay gaay : libna, yatteer, istimooa, 58hauloon, dabeer, 59asan, aur bait-shams. 60binyameen kay qabeelay say unhen jibaoon, jiba, almat aur antot un kee charaagaahon samet diay gaay. is tarah haaroon kay khaandaan ko 13 shaher mil gaay.

61qihaat kay baaqee khaandaanon ko manassee kay maghribee hissay kay das shaher mil gaay.

62jairsom kee aulaad ko ishkaar, aashar, naftaalee aur manassee kay qabeelon kay 13 shaher diay gaay. yah manassee ka vah ilaaqa tha jo darya-ay-yardan kay mashriq men mulk-ay-basan men tha.

63miraaree kee aulaad ko roobin, jad aur zabooloon kay qabeelon kay 12 shaher mil gaay.

64-65 yoon israaeeliyon nay qur’a daal kar laaviyon ko mazkoora shaher day diay. sab yahoodaah, shamaaoon aur binyameen kay qabaailee ilaaqon men thay.

66qihaat kay chand ek khaandaanon ko ifraaeem kay qabeelay say shaher un kee charaagaahon samet mil gaay. 67in men ifraaeem kay pahaadee ilaaqay ka shaher sikam shaamil tha jis men har vah panaah lay sakta tha jis say koee ghairiraadee taur par halaak hua hota tha, phir jazar, 68yuqmiaam, bait-hauroon, 69ayyaalon aur jaat-rimmon. 70qihaat kay baaqee kumbon ko manassee kay maghribee hissay kay do shaher aaner aur bal’aam un kee charaagaahon samet mil gaay.

71jairsom kee aulaad ko zail kay shaher bhee un kee charaagaahon samet mil gaay : manassee kay mashriqee hissay say jaulaan jo basan men hai aur astaaraat. 72ishkaar kay qabeelay say qaadis, daabrat, 73raamaat aur aaneem. 74aashar kay qabeelay say misaal, abdon, 75huqooq aur rahob. 76aur naftaalee kay qabeelay say galeel ka qaadis, hammoon aur qiryataaim.

77miraaree kay baaqee khaandaanon ko zail kay shaher un kee charaagaahon samet mil gaay : zabooloon kay qabeelay say rimmon aur taboor. 78-79 roobin kay qabeelay say registaan ka basar, yahez, qadeemaat aur mifaat (yah shaher darya-ay-yardan kay mashriq men yareehoo kay muqaabil vaaqay hain). 80jad kay qabeelay say jiliaad ka raamaat, mahenaaim, 81hasbon aur yaazer.