2 Tavaareekh 12

misr kee yahoodaah par fatah

1jab rahubiaam kee saltanat zor pakad kar mazboot ho gaee to us nay tamaam israaeel samet rabb kee shareeat ko tark kar diya. 2un kee rabb say bevafaaee ka nateeja yah nikla ki rahubiaam kee hukoomat kay paanchven saal men misr kay baadshaah seesaq nay yarooshalam par hamla kiya. 3us kee fauj bahut badee thee. 1,200 rathon kay ilaava 60,000 ghudsavaar aur libiya, sukkiyon kay mulk aur ethopiya kay beshumaar piyaada sipaahee thay. 4yakay baad deegray yahoodaah kay qil’aaband shaheron par qabza kartay kartay misree baadshaah yarooshalam tak pahunch gaya.

5tab samaayaah nabee rahubiaam aur yahoodaah kay un buzurgon kay paas aaya jinhon nay seesaq kay aagay aagay bhaag kar yarooshalam men panaah lee thee. us nay un say kaha, “rabb farmaata hai, ‘tum nay mujhay tark kar diya hai, is liyay ab main tumhen tark karkay seesaq kay havaalay kar doonga’.” 6yah paighaam sun kar rahubiaam aur yahoodaah kay buzurgon nay badee inkisaaree kay saath tasleem kiya ki rabb hee aadil hai. 7un kee yah aajizee dekh kar rabb nay samaayaah say kaha, “choonki unhon nay badee khaaksaaree say apna ghalat ravayya tasleem kar liya hai is liyay main unhen tabaah naheen karoonga balki jald hee unhen riha karoonga. mera ghazab seesaq kay zareeay yarooshalam par naazil naheen hoga. 8lekin vah is qaum ko zaroor apnay taabay kar rakhega. tab vah samajh lengay ki meree khidmat karnay aur deegar mamaalik kay baadshaahon kee khidmat karnay men kya farq hai.”

9misr kay baadshaah seesaq nay yarooshalam par hamla kartay vaqt rabb kay ghar aur shaahee mahel kay tamaam khazaanay loot liyay. sonay kee vah dhaalen bhee chheen lee gaeen jo sulemaan nay banvaaee theen. 10in kee jagah rahubiaam nay peetal kee dhaalen banvaaeen aur unhen un muhaafizon kay afsaron kay sapurd kiya jo shaahee mahel kay darvaazay kee paheraadaaree kartay thay. 11jab bhee baadshaah rabb kay ghar men jaata tab muhaafiz yah dhaalen utha kar saath lay jaatay. is kay baad vah unhen paheredaaron kay kamray men vaapas lay jaatay thay.

12choonki rahubiaam nay badee inkisaaree say apna ghalat ravayya tasleem kiya is liyay rabb ka us par ghazab thanda ho gaya, aur vah pooray taur par tabaah na hua. daraheqeeqat yahoodaah men ab tak kuchh na kuchh paaya jaata tha jo achchha tha.

rahubiaam kee maut

13rahubiaam kee saltanat nay dubaara taqviyat paaee, aur yarooshalam men rah kar vah apnee hukoomat jaaree rakh saka. 41 saal kee umr men vah takhtnasheen hua tha, aur vah 17 saal baadshaah raha. us ka daar-ul-hakoomat yarooshalam tha, vah shaher jisay rabb nay tamaam israaeelee qabeelon men say chun liya taaki us men apna naam qaaim karay. us kee maan naama ammonee thee. 14rahubiaam nay achchhee zindagee na guzaaree, kyoonki vah pooray dil say rabb ka taalib na raha tha.

15baaqee jo kuchh rahubiaam kee hukoomat kay dauraan shuroo say lay kar aakhir tak hua vah samaayaah nabee aur ghaibbeen iddoo kee taareekhee kitaab men bayaan hai. vahaan us kay nasbanaamay ka zikr bhee hai. donon baadshaahon rahubiaam aur yarubiaam kay jeetay jee un kay darmiyaan jang jaaree rahee. 16jab rahubiaam mar kar apnay baapdaada say ja mila to usay yarooshalam kay us hissay men dafnaaya gaya jo ‘daaood ka shaher’ kahelaata hai. phir us ka beta abiyaah takhtnasheen hua.