2 Tavaareekh 15

aasa rabb say ahd kee tajdeed karta hai

1allaah ka rooh azariyaah bin odeed par naazil hua, 2aur vah aasa say milnay kay liyay nikla aur kaha, “ai aasa aur yahoodaah aur binyameen kay tamaam baashindo, meree baat suno! rabb tumhaaray saath hai agar tum usee kay saath raho. agar tum us kay taalib raho to usay pa logay. lekin jab bhee tum usay tark karo to vah tum hee ko tark karega. 3lambay arsay tak israaeelee haqeeqee khuda kay baghair zindagee guzaartay rahay. na koee imaam tha jo unhen allaah kee raah sikhaata, na shareeat. 4lekin jab kabhee vah museebat men phans jaatay to dubaara rabb israaeel kay khuda kay paas laut aatay. vah usay talaash kartay aur nateejay men usay pa letay. 5us zamaanay men safar karna khatarnaak hota tha, kyoonki amn-o-amaan kaheen naheen tha. 6ek qaum doosree qaum kay saath aur ek shaher doosray kay saath ladta raheta tha. is kay peechhay allaah ka haath tha. vahee unhen har qism kee museebat men daalta raha. 7lekin jahaan tak tumhaara taalluq hai, mazboot ho aur himmat na haaro. allaah zaroor tumhaaree mehanat ka ajr dega.”

8jab aasa nay odeed kay betay azariyaah nabee kee peshgoee sunee to us ka hausla badh gaya, aur us nay apnay pooray ilaaqay kay ghinaunay buton ko door kar diya. is men yahoodaah aur binyameen kay ilaava ifraaeem kay pahaadee ilaaqay kay vah shaher shaamil thay jin par us nay qabza kar liya tha. saath saath us nay us qurbaangaah kee marammat karvaaee jo rabb kay ghar kay darvaazay kay saamnay thee. 9phir us nay yahoodaah aur binyameen kay tamaam logon ko yarooshalam bulaaya. un israaeeliyon ko bhee daavat milee jo ifraaeem, manassee aur shamaaoon kay qabaailee ilaaqon say muntaqil ho kar yahoodaah men aabaad huay thay. kyoonki beshumaar log yah dekh kar ki rabb aasa ka khuda us kay saath hai israaeel say nikal kar yahoodaah men ja basay thay.

10aasa baadshaah kee hukoomat kay 15ven saal aur teesray maheenay men sab yarooshalam men jama huay. 11vahaan unhon nay lootay huay maal men say rabb ko 700 bail aur 7,000 bhed-bakriyaan qurbaan kar deen. 12unhon nay ahd baandha, ‘ham pooray dil-o-jaan say rabb apnay baapdaada kay khuda kay taalib rahengay. 13aur jo rabb israaeel kay khuda ka taalib naheen rahega usay saza-ay-maut dee jaaegee, khwaah vah chhota ho ya bada, mard ho ya aurat.’ 14buland aavaaz say unhon nay qasam kha kar rabb say apnee vafaadaaree ka elaan kiya. saath saath turam aur narsingay bajtay rahay. 15yah ahd tamaam yahoodaah kay liyay khushee ka baais tha, kyoonki unhon nay pooray dil say qasam kha kar usay baandha tha. aur choonki vah pooray dil say khuda kay taalib thay is liyay vah usay pa bhee sakay. nateejay men rabb nay unhen chaaron taraf amn-o-amaan muhayya kiya.

16aasa kee maan maaka baadshaah kee maan honay kay baais bahut asar-o-rasookh rakhtee thee. lekin aasa nay yah uhda khatm kar diya jab maan nay yaseerat devee ka ghinauna khamba banva liya. aasa nay yah but katva kar tukday tukday kar diya aur vaadee-ay-qidron men jala diya. 17afsos ki us nay israaeel kee oonchee jagahon kay mandiron ko door na kiya. to bhee aasa apnay jeetay jee pooray dil say rabb ka vafaadaar raha. 18sona-chaandee aur baaqee jitnee cheezen us kay baap aur us nay rabb kay liyay makhsoos kee theen un sab ko vah rabb kay ghar men laaya.

19aasa kee hukoomat kay 35ven saal tak jang dubaara na chhidee.