2 Tavaareekh 19
1lekin yahoodaah ka baadshaah yahoosafat saheeh-salaamat yarooshalam aur apnay mahel men pahuncha. 2us vaqt yaahoo bin hanaanee jo ghaibbeen tha usay milnay kay liyay nikla aur baadshaah say kaha, “kya yah theek hai ki aap shareer kee madad karen? aap kyoon un ko piyaar kartay hain jo rabb say nafrat kartay hain? yah dekh kar rabb ka ghazab aap par naazil hua hai. 3to bhee aap men achchhee baaten bhee paaee jaatee hain. aap nay yaseerat devee kay khambon ko mulk say door karkay allaah kay taalib honay ka pakka iraada kar rakha hai.”
yahoosafat qaanoonee kaar-ravaaee kee islaah karta hai
4is kay baad yahoosafat yarooshalam men raha. lekin ek din vah dubaara nikla. is baar us nay junoob men bair-saba say lay kar shimaal men ifraaeem kay pahaadee ilaaqay tak pooray yahoodaah ka daura kiya. har jagah vah logon ko rabb un kay baapdaada kay khuda kay paas vaapas laaya. 5us nay yahoodaah kay tamaam qil’aaband shaheron men qaazee bhee muqarrar kiay. 6unhen samjhaatay huay us nay kaha, “apnee ravish par dhyaan den! yaad rahay ki aap insaan kay javaabdih naheen hain balki rabb kay. vahee aap kay saath hoga jab aap faislay karengay. 7chunaanchay allaah ka khauf maan kar ehatiyaat say logon ka insaaf karen. kyoonki jahaan rabb hamaara khuda hai vahaan beinsaafee, jaanibdaaree aur rishvatakhoree ho hee naheen saktee.”
8yarooshalam men yahoosafat nay kuchh laaviyon, imaamon aur khaandaanee sarparaston ko insaaf karnay kee zimmaadaaree dee. rabb kee shareeat say mutaalliq kisee muaamalay ya yarooshalam kay baashindon kay darmiyaan jhagday kee soorat men unhen faisla karna tha. 9yahoosafat nay unhen samjhaatay huay kaha, “rabb ka khauf maan kar apnee khidmat ko vafaadaaree aur pooray dil say sar’anjaam den. 10aap kay bhaaee shaheron say a kar aap kay saamnay apnay jhagday pesh karengay taaki aap un ka faisla karen. aap ko qatl kay muqaddamon ka faisla karna padega. aisay muaamalaat bhee hongay jo rabb kee shareeat, kisee hukm, hidaayat ya usool say taalluq rakhengay. jo bhee ho, laazim hai ki aap unhen samjhaaen taaki vah rabb ka gunaah na karen. varna us ka ghazab aap aur aap kay bhaaiyon par naazil hoga. agar aap yah karen to aap bequsoor rahengay. 11imaam-ay-aazam amariyaah rabb kee shareeat say taalluq rakhnay vaalay muaamalaat ka hatmee faisla karega. jo muqaddmay baadshaah say taalluq rakhtay hain un ka hatmee faisla yahoodaah kay qabeelay ka sarbaraah zabadiyaah bin ismaaeel karega. adaalat ka intizaam chalaanay men laavee aap kee madad karengay. ab hausla rakh kar apnee khidmat sar’anjaam den. jo bhee saheeh kaam karega us kay saath rabb hoga.”