Ḵẖurooj 1
yaaqoob ka khaandaan misr men
1zail men un beton kay naam hain jo apnay baap yaaqoob aur apnay khaandaanon samet misr men aaay thay : 2roobin, shamaaoon, laavee, yahoodaah, 3ishkaar, zabooloon, binyameen, 4daan, naftaalee, jad aur aashar. 5us vaqt yaaqoob kee aulaad kee taadaad 70 thee. yoosuf to pahelay hee misr a chuka tha.
6misr men rahetay huay bahut din guzar gaay. itnay men yoosuf, us kay tamaam bhaaee aur us nasal kay tamaam log mar gaay. 7israaeelee phalay phoolay aur taadaad men bahut badh gaay. nateejay men vah nihaayat hee taaqatvar ho gaay. poora mulk un say bhar gaya.
israaeeliyon ko dabaaya jaata hai
8hotay hotay ek naya baadshaah takhtnasheen hua jo yoosuf say naavaaqif tha. 9us nay apnay logon say kaha, “israaeeliyon ko dekho. vah taadaad aur taaqat men ham say badh gaay hain. 10aao, ham hikmat say kaam len, varna vah mazeed badh jaaengay. aisa na ho ki vah kisee jang kay mauqay par dushman ka saath day kar ham say laden aur mulk ko chhod jaaen.”
11chunaanchay misriyon nay israaeeliyon par nigraan muqarrar kiay taaki begaar men un say kaam karva kar unhen dabaatay rahen. us vaqt unhon nay pitom aur raamsees kay shaher taameer kiay. in shaheron men firaaun baadshaah kay baday baday godaam thay. 12lekin jitna israaeeliyon ko dabaaya gaya utna hee vah taadaad men badhtay aur phailtay gaay. aakhirkaar misree un say dahshat khaanay lagay, 13aur vah badee berahemee say un say kaam karvaatay rahay. 14israaeeliyon ka guzaara nihaayat mushkil ho gaya. unhen gaara tayyaar karkay eenten banaana aur kheton men mukhtalif qism kay kaam karna paday. is men misree un say badee berahemee say pesh aatay rahay.
daaiyaan allaah kee raah par chaltee hain
15israaeeliyon kee do daaiyaan theen jin kay naam sifra aur fooa thay. misr kay baadshaah nay un say kaha, 16“jab ibraanee aurten tumhen madad kay liyay bulaaen to khabardaar raho. agar ladka paida ho to usay jaan say maar do, agar ladkee ho to usay jeeta chhod do.” 17lekin daaiyaan allaah ka khauf maantee theen. unhon nay misr kay baadshaah ka hukm na maana balki ladkon ko bhee jeenay diya.
18tab misr kay baadshaah nay unhen dubaara bula kar poochha, “tum nay yah kyoon kiya? tum ladkon ko kyoon jeeta chhod detee ho?” 19unhon nay javaab diya, “ibraanee aurten misree aurton say ziyaada mazboot hain. bachchay hamaaray pahunchnay say pahelay hee paida ho jaatay hain.”
20chunaanchay allaah nay daaiyon ko barkat dee, aur israaeelee qaum taadaad men badh kar bahut taaqatvar ho gaee. 21aur choonki daaiyaan allaah ka khauf maantee theen is liyay us nay unhen aulaad day kar un kay khaandaanon ko qaaim rakha.
22aakhirkaar baadshaah nay apnay tamaam hamvatanon say baat kee, “jab bhee ibraaniyon kay ladkay paida hon to unhen darya-ay-neel men phaink dena. sirf ladkiyon ko zinda rahenay do.”