Ayyoob 35
apnay aap ko raastbaaz mat thaheraanaa
1phir ileehoo nay apnee baat jaaree rakhee,
2“aap kahetay hain, ‘main allaah say ziyaada raastbaaz hoon.’ kya aap yah baat durust samajhtay hain 3ya yah ki ‘mujhay kya faaida hai, gunaah na karnay say mujhay kya nafa hota hai?’ 4main aap ko aur saathee doston ko is ka javaab bataata hoon.
5apnee nigaah aasmaan kee taraf uthaaen, bulandiyon kay baadlon par ghaur karen. 6agar aap nay gunaah kiya to allaah ko kya nuqsaan pahuncha hai? go aap say mut’addid jaraaim bhee sarzad huay hon taaham vah mut’assir naheen hoga. 7raastbaaz zindagee guzaarnay say aap usay kya day saktay hain? aap kay haathon say allaah ko kya haasil ho sakta hai? kuchh bhee naheen! 8aap kay hamjins insaan hee aap kee bedeenee say mut’assir hotay hain, aur aadamzaad hee aap kee raastbaazee say faaida uthaatay hain.
9jab logon par sakht zulm hota hai to vah cheekhtay chillaatay aur badon kee ziyaadtee kay baais madad kay liyay aavaaz detay hain. 10lekin koee naheen kaheta, ‘allaah, mera khaaliq kahaan hai? vah kahaan hai jo raat kay dauraan naghmay ata karta, 11jo hamen zameen par chalnay vaalay jaanvaron kee nisbat ziyaada taaleem deta, hamen parindon say ziyaada daanishmand banaata hai?’ 12un kee cheekhon kay baavujood allaah javaab naheen deta, kyoonki vah ghamandee aur buray hain.
13yaqeenan allaah aisee baatil faryaad naheen sunta, qaadir-ay-mutlaq us par dhyaan hee naheen deta. 14to phir vah aap par kyoon tavajjuh day jab aap daava kartay hain, ‘main usay naheen dekh sakta,’ aur ‘mera muaamala us kay saamnay hee hai, main ab tak us ka intizaar kar raha hoon’? 15vah aap kee kyoon sunay jab aap kahetay hain, ‘allaah ka ghazab kabhee saza naheen deta, usay buraaee kee parva hee naheen’? 16jab ayyoob munh kholta hai to bemaanee baaten nikaltee hain. jo mut’addid alfaaz vah pesh karta hai vah ilm say khaalee hain.”