Ayyoob 9

ayyoob ka javaab : saalis kay baghair main raastbaaz naheen thaher saktaa

1ayyoob nay javaab day kar kaha,

2“main khoob jaanta hoon ki teree baat durust hai. lekin allaah kay huzoor insaan kis tarah raastbaaz thaher sakta hai? 3agar vah adaalat men allaah kay saath ladna chaahay to us kay hazaar savaalaat par ek ka bhee javaab naheen day sakega. 4allaah ka dil daanishmand aur us kee qudrat azeem hai. kaun kabhee us say bahs-mubaahasa karkay kaamyaab raha hai?

5allaah pahaadon ko khiska deta hai, aur unhen pata hee naheen chalta. vah ghussay men a kar unhen ulta deta hai. 6vah zameen ko hila deta hai to vah laraz kar apnee jagah say hat jaatee hai, us kay bunyaadee satoon kaamp uthtay hain. 7vah sooraj ko hukm deta hai to tuloo naheen hota, sitaaron par muhar lagaata hai to un kee chamak-damak band ho jaatee hai.

8allaah hee aasmaan ko khaimay kee tarah taan deta, vahee samundaree ajhdahay kee peeth ko paaon talay kuchal deta hai. 9vahee dubb-ay-akbar, jauzay, khosha-ay-parveen aur junoobee sitaaron kay jhurmaton ka khaaliq hai. 10vah itnay azeem kaam karta hai ki koee un kee tah tak naheen pahunch sakta, itnay mojizay karta hai ki koee unhen gin naheen sakta. 11jab vah meray saamnay say guzray to main usay naheen dekhta, jab vah meray qareeb say phiray to mujhay maaloom naheen hota. 12agar vah kuchh chheen lay to kaun usay rokega? kaun us say kahega, ‘too kya kar raha hai?’ 13allaah to apna ghazab naazil karnay say baaz naheen aata. us kay rob talay raheb ajhdahay kay madadgaar bhee dabak gaay.

14to phir main kis tarah usay javaab doon, kis tarah us say baat karnay kay munaasib alfaaz chun loon? 15agar main haq par hota bhee to apna difa na kar sakta. is mukhaalif say main iltija karnay kay ilaava aur kuchh naheen kar sakta. 16agar vah meree cheekhon ka javaab deta bhee to mujhay yaqeen na aata ki vah meree baat par dhyaan dega.

17thodee see ghaltee kay javaab men vah mujhay paash paash karta, bilaavajah mujhay baar baar zakhmee karta hai. 18vah mujhay saans bhee naheen lenay deta balki kadvay zaher say ser kar deta hai. 19jahaan taaqat kee baat hai to vahee qavee hai, jahaan insaaf kee baat hai to kaun usay peshee kay liyay bula sakta hai? 20go main begunaah hoon to bhee mera apna munh mujhay qusoorvaar thaheraaega, go beilzaam hoon to bhee vah mujhay mujrim qaraar dega.

21jo kuchh bhee ho, main beilzaam hoon! main apnee jaan kee parva hee naheen karta, apnee zindagee haqeer jaanta hoon. 22khair, ek hee baat hai, is liyay main kaheta hoon, ‘allaah beilzaam aur bedeen donon ko hee halaak kar deta hai.’ 23jab kabhee achaanak koee aafat insaan ko maut kay ghaat utaaray to allaah begunaah kee pareshaanee par hansta hai. 24agar koee mulk bedeen kay havaalay kiya jaaay to allaah us kay qaaziyon kee aankhen band kar deta hai. agar yah us kee taraf say naheen to phir kis kee taraf say hai?

25meray din daudnay vaalay aadmee say kaheen ziyaada tezee say beet gaay, khushee dekhay baghair bhaag niklay hain. 26vah sarkanday kay baheree jahaazon kee tarah guzar gaay hain, us uqaab kee tarah jo apnay shikaar par jhapatta maarta hai. 27agar main kahoon, ‘aao main apnee aahen bhool jaaoon, apnay chiharay kee udaasee door karkay khushee ka izhaar karoon’ 28to phir bhee main un tamaam takaaleef say darta hoon jo mujhay bardaasht karnee hain. kyoonki main jaanta hoon ki too mujhay begunaah naheen thaheraata.

29jo kuchh bhee ho mujhay qusoorvaar hee qaraar diya gaya hai, chunaanchay is ka kya faaida ki main bemaanee tag-o-dau men masroof rahoon? 30go main saabun say naha loon aur apnay haath sode [a] lafzee matlab : qaliyaab, laaee (layay). say dho loon 31taaham too mujhay gadhay kee keechad men yoon dhansnay deta hai ki mujhay apnay kapdon say ghin aatee hai.

32allaah to mujh jaisa insaan naheen ki main javaab men us say kahoon, ‘aao ham adaalat men ja kar ek doosray ka muqaabla karen.’ 33kaash hamaaray darmiyaan saalis ho jo ham donon par haath rakhay, 34jo meree peeth par say allaah ka danda hataaay taaki us ka khauf mujhay dahshatzada na karay. 35tab main allaah say khauf khaaay baghair bolta, kyoonki fitree taur par main aisa naheen hoon.

[a] lafzee matlab : qaliyaab, laaee (layay).