Zaboor 81

haqeeqee ibaadat kya hai?

1aasaf ka zaboor. mooseeqee kay raahanuma kay liyay. tarz : gitteet.

allaah hamaaree quvvat hai. us kee khushee men shaadiyaana bajaao, yaaqoob kay khuda kee taazeem men khushee kay naaray lagaao.

2geet gaana shuroo karo. daf bajaao, sarod aur sitaar kee sureelee aavaaz nikaalo.

3naay chaand kay din narsinga phoonko, pooray chaand kay jis din hamaaree eed hotee hai usay phoonko.

4kyoonki yah israaeel ka farz hai, yah yaaqoob kay khuda ka farmaan hai.

5jab yoosuf misr kay khilaaf nikla to allaah nay khud yah muqarrar kiya.

main nay ek zabaan sunee, jo main ab tak naheen jaanta tha,

6“main nay us kay kandhay par say bojh utaara aur us kay haath bhaaree tokree uthaanay say aazaad kiay.

7museebat men too nay aavaaz dee to main nay tujhay bachaaya. garajtay baadal men say main nay tujhay javaab diya aur tujhay mareeba kay paanee par aazmaaya. (silaah)

8ai meree qaum, sun, to main tujhay aagaah karoonga. ai israaeel, kaash too meree sunay!

9teray darmiyaan koee aur khuda na ho, kisee ajnabee maabood ko sijda na kar.

10main hee rabb tera khuda hoon jo tujhay mulk-ay-misr say nikaal laaya. apna munh khoob khol to main usay bhar doonga.

11lekin meree qaum nay meree na sunee, israaeel meree baat maannay kay liyay tayyaar na tha.

12chunaanchay main nay unhen un kay dilon kee zid kay havaalay kar diya, aur vah apnay zaatee mashvaron kay mutaabiq zindagee guzaarnay lagay.

13kaash meree qaum sunay, israaeel meree raahon par chalay!

14tab main jaldee say us kay dushmanon ko zer karta, apna haath us kay mukhaalifon kay khilaaf uthaata.

15tab rabb say nafrat karnay vaalay dabak kar us kee khushaamad kartay, un kee shikast abdee hotee.

16lekin israaeel ko main behtareen gandum khilaata, main chataan men say shahed nikaal kar usay ser karta.”