Yashāyāh 53
1lekin kaun hamāre paiġām par īmān lāyā? aur rabb kī qudrat kis par zāhir huī? 2us ke sāmne vah koṁpal kī tarah phūṭ niklā, us tāzā aur mulāim shigūphe kī tarah jo ḵẖushk zamīn meṅ chhupī huī jaṛ se nikal kar phalne phūlne lagtī hai. na vah ḵẖūbsūrat thā, na shāndār. ham ne use dekhā to us kī shakl-o-sūrat meṅ kuchh nahīṅ thā jo hameṅ pasand ātā. 3use haqīr aur mardūd samjhā jātā thā. dukh aur bīmāriyāṅ us kī sāthī raheṅ, aur log yahāṅ tak us kī tahqīr karte the ki use dekh kar apnā muṅh pher lete the. ham us kī kuchh qadar nahīṅ karte the.
4lekin us ne hamārī hī bīmāriyāṅ uṭhā līṅ, hamārā hī dukh bhugat liyā. to bhī ham samjhe ki yah us kī munāsib sazā hai, ki allāh ne ḵẖud use mār kar ḵẖāk meṅ milā diyā hai. 5lekin use hamāre hī jarāim ke sabab se chhedā gayā, hamāre hī gunāhoṅ kī ḵẖātir kuchlā gayā. use sazā milī tāki hameṅ salāmatī hāsil ho, aur usī ke zaḵẖmoṅ se hameṅ shifā milī. 6ham sab bheṛ-bakriyoṅ kī tarah āvārā phir rahe the, har ek ne apnī apnī rāh iḵẖtiyār kī. lekin rabb ne use ham sab ke qusūr kā nishānā banāyā.
7us par zulm huā, lekin us ne sab kuchh bardāsht kiyā aur apnā muṅh na kholā, us bheṛ kī tarah jise zabah karne ke liye le jāte haiṅ. jis tarah lelā bāl katarne vāloṅ ke sāmne ḵẖāmosh rahatā hai usī tarah us ne apnā muṅh na kholā. 8use zulm aur adālat ke hāth se chhīn liyā gayā. ab kaun us kī nasal kā ḵẖayāl karegā? kyūṅki us kā zindoṅ ke mulk se tālluq kaṭ gayā hai. apnī qaum ke jurm ke sabab se vah sazā kā nishānā ban gayā. 9muqarrar yah huā ki us kī qabr bedīnoṅ ke pās ho, ki vah marte vaqt ek amīr ke pās dafnāyā jāe, go na us ne tashaddud kiyā, na us ke muṅh meṅ fareb thā.
10lekin rabb hī kī marzī thī ki use kuchlā jāe. usī ne use dukh kā nishānā banāyā. aur go rabb us kī jān ke zarīe kaffārā degā to bhī vah apne farzandoṅ ko dekhegā. rabb us ke dinoṅ meṅ izāfā karegā, aur vah rabb kī marzī ko pūrā karne meṅ kāmyāb hogā. 11itnī taklīf bardāsht karne ke bād use phal nazar āegā, aur vah ser ho jāegā. apne ilm se merā rāst ḵẖādim bahutoṅ kā insāf qāim karegā, kyūṅki vah un ke gunāhoṅ ko apne ūpar uṭhā kar dūr kar degā.
12is liye maiṅ use baṛoṅ meṅ hissā dūṅgā, aur vah zorāvaroṅ ke sāth lūṭ kā māl taqsīm karegā. kyūṅki us ne apnī jān ko maut ke havāle kar diyā, aur use mujrimoṅ meṅ shumār kiyā gayā. hāṅ, us ne bahutoṅ kā gunāh uṭhā kar dūr kar diyā aur mujrimoṅ kī shafāat kī.