Yūhannā 4
īsā aur sāmrī aurat
1farīsiyoṅ ko ittilā milī ki īsā yahayā kī nisbat ziyādā shāgird banā rahā aur logoṅ ko baptismā de rahā hai, 2hālāṅki vah ḵẖud baptismā nahīṅ detā thā balki us ke shāgird. 3jab ḵẖudāvand īsā ko yah bāt mālūm huī to vah yahūdiyā ko chhoṛ kar galīl ko vāpas chalā gayā. 4vahāṅ pahuṅchne ke liye use sāmriyā meṅ se guzarnā thā.
5chalte chalte vah ek shahar ke pās pahuṅch gayā jis kā nām sūḵẖār thā. yah us zamīn ke qarīb thā jo yāqūb ne apne beṭe yūsuf ko dī thī. 6vahāṅ yāqūb kā kuāṅ thā. īsā safar se thak gayā thā, is liye vah kueṅ par baiṭh gayā. dopahar ke taqrīban bārah baj gae the.
7ek sāmrī aurat pānī bharne āī. īsā ne us se kahā, “mujhe zarā pānī pilā.” 8(us ke shāgird khānā ḵẖarīdne ke liye shahar gae hue the.)
9sāmrī aurat ne tājjub kiyā, kyūṅki yahūdī sāmriyoṅ ke sāth tālluq rakhne se inkār karte haiṅ. us ne kahā, “āp to yahūdī haiṅ, aur maiṅ sāmrī aurat hūṅ. āp kis tarah mujh se pānī pilāne kī daraḵẖwāst kar sakte haiṅ?”
10īsā ne javāb diyā, “agar tū us baḵẖshish se vāqif hotī jo allāh tujh ko denā chāhatā hai aur tū use jāntī jo tujh se pānī māṅg rahā hai to tū us se māṅgtī aur vah tujhe zindagī kā pānī detā.”
11ḵẖātūn ne kahā, “ḵẖudāvand, āp ke pās to bālṭī nahīṅ hai aur yah kuāṅ gaharā hai. āp ko zindagī kā yah pānī kahāṅ se milā? 12kyā āp hamāre bāp yāqūb se baṛe haiṅ jis ne hameṅ yah kuāṅ diyā aur jo ḵẖud bhī apne beṭoṅ aur revṛoṅ samet us ke pānī se lutf’andoz huā?”
13īsā ne javāb diyā, “jo bhī is pānī meṅ se pie use dubārā piyās lagegī. 14lekin jise maiṅ pānī pilā dūṅ use bād meṅ kabhī bhī piyās nahīṅ lagegī. balki jo pānī maiṅ use dūṅgā vah us meṅ ek chashmā ban jāegā jis se pānī phūṭ kar abdī zindagī muhayyā karegā.”
15aurat ne us se kahā, “ḵẖudāvand, mujhe yah pānī pilā deṅ. phir mujhe kabhī bhī piyās nahīṅ lagegī aur mujhe bār bār yahāṅ ā kar pānī bharnā nahīṅ paṛegā.”
16īsā ne kahā, “jā, apne ḵẖāvand ko bulā lā.”
17aurat ne javāb diyā, “merā koī ḵẖāvand nahīṅ hai.”
īsā ne kahā, “tū ne sahīh kahā ki merā ḵẖāvand nahīṅ hai,18kyūṅki terī shādī pāṅch mardoṅ se ho chukī hai aur jis ādmī ke sāth tū ab rah rahī hai vah terā shauhar nahīṅ hai. terī bāt bilkul durust hai.”
19aurat ne kahā, “ḵẖudāvand, maiṅ dekhtī hūṅ ki āp nabī haiṅ. 20hamāre bāpdādā to isī pahāṛ par ibādat karte the jabki āp yahūdī log isrār karte haiṅ ki yarūshalam vah markaz hai jahāṅ hameṅ ibādat karnī hai.”
21īsā ne javāb diyā, “ai ḵẖātūn, yaqīn jān ki vah vaqt āegā jab tum na to is pahāṛ par bāp kī ibādat karoge, na yarūshalam meṅ. 22tum sāmrī us kī parastish karte ho jise nahīṅ jānte. is ke muqāble meṅ ham us kī parastish karte haiṅ jise jānte haiṅ, kyūṅki najāt yahūdiyoṅ meṅ se hai. 23lekin vah vaqt ā rahā hai balki pahuṅch chukā hai jab haqīqī parastār rūh aur sacchāī se bāp kī parastish kareṅge, kyūṅki bāp aise hī parastār chāhatā hai. 24allāh rūh hai, is liye lāzim hai ki us ke parastār rūh aur sacchāī se us kī parastish kareṅ.”
25aurat ne us se kahā, “mujhe mālūm hai ki masīh yānī masah kiyā huā shaḵẖs ā rahā hai. jab vah āegā to hameṅ sab kuchh batā degā.”
26is par īsā ne use batāyā, “maiṅ hī masīh hūṅ jo tere sāth bāt kar rahā hūṅ.”