Marqus 5
īsā ek garāsīnī ādmī se badruheṅ nikāl detā hai
1phir vah jhīl ke pār garāsā ke ilāqe meṅ pahuṅche. 2jab īsā kashtī se utrā to ek ādmī jo nāpāk rūh kī girift meṅ thā qabroṅ meṅ se nikal kar īsā ko milā. 3yah ādmī qabroṅ meṅ rahatā aur is naubat tak pahuṅch gayā thā ki koī bhī use bāṅdh na saktā thā, chāhe use zanjīroṅ se bhī bāṅdhā jātā. 4use bahut dafā beṛiyoṅ aur zanjīroṅ se bāṅdhā gayā thā, lekin jab bhī aisā huā to us ne zanjīroṅ ko toṛ kar beṛiyoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā thā. koī bhī use kaṅṭrol nahīṅ kar saktā thā. 5din rāt vah chīḵẖeṅ mār mār kar qabroṅ aur pahāṛī ilāqe meṅ ghūmtā phirtā aur apne āp ko pattharoṅ se zaḵẖmī kar letā thā.
6īsā ko dūr se dekh kar vah dauṛā aur us ke sāmne muṅh ke bal girā. 7vah zor se chīḵẖā, “ai īsā allāh t’ālā ke farzand, merā āp ke sāth kyā vāstā hai? allāh ke nām meṅ āp ko qasam detā hūṅ ki mujhe azāb meṅ na ḍāleṅ.” 8kyūṅki īsā ne use kahā thā, “ai nāpāk rūh, ādmī meṅ se nikal jā!”
9phir īsā ne pūchhā, “terā nām kyā hai?”
us ne javāb diyā, “lashkar, kyūṅki ham bahut se haiṅ.”10aur vah bār bār minnat kartā rahā ki īsā unheṅ is ilāqe se na nikāle.
11us vaqt qarīb kī pahāṛī par sūaroṅ kā baṛā ġol char rahā thā. 12badrūhoṅ ne īsā se iltimās kī, “hameṅ sūaroṅ meṅ bhej deṅ, hameṅ un meṅ dāḵẖil hone deṅ.” 13us ne unheṅ ijāzat dī to badruheṅ us ādmī meṅ se nikal kar sūaroṅ meṅ jā ghusīṅ. is par pūre ġol ke taqrīban 2,000 sūar bhāg bhāg kar pahāṛī kī ḍhalān par se utre aur jhīl meṅ jhapaṭ kar ḍūb mare.
14yah dekh kar sūaroṅ ke gallābān bhāg gae. unhoṅ ne shahar aur dīhāt meṅ is bāt kā charchā kiyā to log yah mālūm karne ke liye ki kyā huā hai apnī jagahoṅ se nikal kar īsā ke pās āe. 15us ke pās pahuṅche to vah ādmī milā jis meṅ pahale badrūhoṅ kā lashkar thā. ab vah kapṛe pahane vahāṅ baiṭhā thā aur us kī zahanī hālat ṭhīk thī. yah dekh kar vah ḍar gae. 16jinhoṅ ne sab kuchh dekhā thā unhoṅ ne logoṅ ko batāyā ki badruh-giriftā ādmī aur sūaroṅ ke sāth kyā huā hai.
17phir log īsā kī minnat karne lage ki vah un ke ilāqe se chalā jāe.
18īsā kashtī par savār hone lagā to badrūhoṅ se āzād kie gae ādmī ne us se iltimās kī, “mujhe bhī apne sāth jāne deṅ.”
19lekin īsā ne use sāth jāne na diyā balki kahā, “apne ghar vāpas chalā jā aur apne azīzoṅ ko sab kuchh batā jo rabb ne tere liye kiyā hai, ki us ne tujh par kitnā raham kiyā hai.”
20chunāṅche ādmī chalā gayā aur dikpulis ke ilāqe meṅ logoṅ ko batāne lagā ki īsā ne mere liye kyā kuchh kiyā hai. aur sab hairatzadā hue.