Paidāish 3
gunāh kā āġāz
1sāṁp zamīn par chalne phirne vāle un tamām jānvaroṅ se ziyādā chālāk thā jin ko rabb ḵẖudā ne banāyā thā. us ne aurat se pūchhā, “kyā allāh ne vāqaī kahā ki bāġ ke kisī bhī daraḵẖt kā phal na khānā?” 2aurat ne javāb diyā, “hargiz nahīṅ. ham bāġ kā har phal khā sakte haiṅ, 3sirf us daraḵẖt ke phal se gurez karnā hai jo bāġ ke bīch meṅ hai. allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bhī nahīṅ, varnā tum yaqīnan mar jāoge.” 4sāṁp ne aurat se kahā, “tum hargiz na maroge, 5balki allāh jāntā hai ki jab tum us kā phal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khul jāeṅgī aur tum allāh kī mānind ho jāoge, tum jo bhī acchhā aur burā hai use jān loge.”
6aurat ne daraḵẖt par ġaur kiyā ki khāne ke liye acchhā aur dekhne meṅ bhī dilkash hai. sab se dilfareb bāt yah ki us se samajh hāsil ho saktī hai! yah soch kar us ne us kā phal le kar use khāyā. phir us ne apne shauhar ko bhī de diyā, kyūṅki vah us ke sāth thā. us ne bhī khā liyā. 7lekin khāte hī un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur un ko mālūm huā ki ham naṅge haiṅ. chunāṅche unhoṅ ne anjīr ke patte sī kar luṅgiyāṅ banā līṅ.
8shām ke vaqt jab ṭhaṅḍī havā chalne lagī to unhoṅ ne rabb ḵẖudā ko bāġ meṅ chalte phirte sunā. vah ḍar ke māre daraḵẖtoṅ ke pīchhe chhup gae. 9rabb ḵẖudā ne pukār kar kahā, “ādam, tū kahāṅ hai?” 10ādam ne javāb diyā, “maiṅ ne tujhe bāġ meṅ chalte hue sunā to ḍar gayā, kyūṅki maiṅ naṅgā hūṅ. is liye maiṅ chhup gayā.” 11us ne pūchhā, “kis ne tujhe batāyā ki tū naṅgā hai? kyā tū ne us daraḵẖt kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?” 12ādam ne kahā, “jo aurat tū ne mere sāth rahane ke liye dī hai us ne mujhe phal diyā. is liye maiṅ ne khā liyā.” 13ab rabb ḵẖudā aurat se muḵẖātib huā, “tū ne yah kyūṅ kiyā?” aurat ne javāb diyā, “sāṁp ne mujhe bahakāyā to maiṅ ne khāyā.”