Genesis8
Paidāish 8
sailāb kā iḵẖtitām
1lekin allāh ko nūh aur tamām jānvar yād rahe jo kashtī meṅ the. us ne havā chalā dī jis se pānī kam hone lagā.
2zamīn ke chashme aur āsmān par ke pānī ke darīche band ho gae, aur bārish ruk gaī.
3pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād vah kāfī kam ho gayā thā.
4sātveṅ mahīne ke 17veṅ din kashtī arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī.
5dasveṅ mahīne ke pahale din pānī itnā kam ho gayā thā ki pahāṛoṅ kī choṭiyāṅ nazar āne lagī thīṅ.
6-7
chālīs din ke bād nūh ne kashtī kī khiṛkī khol kar ek kavvā chhoṛ diyā, aur vah uṛ kar chalā gayā. lekin jab tak zamīn par pānī thā vah ātā jātā rahā.
8phir nūh ne ek kabūtar chhoṛ diyā tāki patā chale ki zamīn pānī se nikal āī hai yā nahīṅ.
9lekin kabūtar ko kahīṅ bhī baiṭhne kī jagah na milī, kyūṅki ab tak pūrī zamīn par pānī hī pānī thā. vah kashtī aur nūh ke pās vāpas ā gayā, aur nūh ne apnā hāth baṛhāyā aur kabūtar ko pakaṛ kar apne pās kashtī meṅ rakh liyā.
10us ne ek haftā aur intizār karke kabūtar ko dubārā chhoṛ diyā.
11shām ke vaqt vah lauṭ āyā. is dafā us kī choṅch meṅ zaitūn kā tāzā pattā thā. tab nūh ko mālūm huā ki zamīn pānī se nikal āī hai.
12us ne mazīd ek hafte ke bād kabūtar ko chhoṛ diyā. is dafā vah vāpas na āyā.
13jab nūh 601 sāl kā thā to pahale mahīne ke pahale din zamīn kī satah par pānī ḵẖatm ho gayā. tab nūh ne kashtī kī chhat khol dī aur dekhā ki zamīn kī satah par pānī nahīṅ hai.
14dūsre mahīne ke 27veṅ din zamīn bilkul ḵẖushk ho gaī.
15phir allāh ne nūh se kahā,
16“apnī bīvī, beṭoṅ aur bahūoṅ ke sāth kashtī se nikal ā.
17jitne bhī jānvar sāth haiṅ unheṅ nikāl de, ḵẖwāh parinde hoṅ, ḵẖwāh zamīn par phirne yā reṅgne vāle jānvar. vah duniyā meṅ phail jāeṅ, nasal baṛhāeṅ aur tādād meṅ baṛhte jāeṅ.”
18chunāṅche nūh apne beṭoṅ, apnī bīvī aur bahūoṅ samet nikal āyā.
19tamām jānvar aur parinde bhī apnī apnī qism ke gurohoṅ meṅ kashtī se nikle.
20us vaqt nūh ne rabb ke liye qurbāngāh banāī. us ne tamām phirne aur uṛne vāle pāk jānvaroṅ meṅ se kuchh chun kar unheṅ zabah kiyā aur qurbāngāh par pūrī tarah jalā diyā.
21yah qurbāniyāṅ dekh kar rabb ḵẖush huā aur apne dil meṅ kahā, “ab se maiṅ kabhī zamīn par insān kī vajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā, kyūṅki us kā dil bachpan hī se burāī kī taraf māil hai. ab se maiṅ kabhī is tarah tamām jān rakhne vālī maḵẖlūqāt ko rū-e-zamīn par se nahīṅ miṭāūṅgā.
22duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. bīj bone aur fasal kāṭne kā vaqt, ṭhaṅḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yah sab kuchh duniyā ke aḵẖīr tak qāim rahegā.”
Genesis9:1-17
Paidāish 9
allāh kā nūh ke sāth ahd
1phir allāh ne nūh aur us ke beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “phalo phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. duniyā tum se bhar jāe
2zamīn par phirne aur reṅgne vāle jānvar, parinde aur machhliyāṅ sab tum se ḍareṅge. unheṅ tumhāre iḵẖtiyār meṅ kar diyā gayā hai.
3jis tarah maiṅ ne tumhāre khāne ke liye paudoṅ kī paidāvār muqarrar kī hai isī tarah ab se tumheṅ har qism ke jānvar khāne kī ijāzat bhī hai.
4lekin ḵẖabardār! aisā gosht na khānā jis meṅ ḵẖūn hai, kyūṅki ḵẖūn meṅ us kī jān hai.
5kisī kī jān lenā manā hai. jo aisā karegā use apnī jān denī paṛegī, ḵẖwāh vah insān ho yā haivān. maiṅ ḵẖud is kā mutālbā karūṅgā.
6jo bhī kisī kā ḵẖūn bahāe us kā ḵẖūn bhī bahāyā jāegā. kyūṅki allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā hai.
7ab phalo phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. duniyā meṅ phail jāo.”
8tab allāh ne nūh aur us ke beṭoṅ se kahā,
9“ab maiṅ tumhāre aur tumhārī aulād ke sāth ahd qāim kartā hūṅ.
10yah ahd un tamām jānvaroṅ ke sāth bhī hogā jo kashtī meṅ se nikle haiṅ yānī parindoṅ, maveshiyoṅ aur zamīn par ke tamām jānvaroṅ ke sāth.
11maiṅ tumhāre sāth ahd bāṅdh kar vādā kartā hūṅ ki ab se aisā kabhī nahīṅ hogā ki zamīn kī tamām zindagī sailāb se ḵẖatm kar dī jāegī. ab se aisā sailāb kabhī nahīṅ āegā jo pūrī zamīn ko tabāh kar de.
12is abdī ahd kā nishān jo maiṅ tumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāth qāim kar rahā hūṅ yah hai ki
13maiṅ apnī kamān bādloṅ meṅ rakhtā hūṅ. vah mere duniyā ke sāth ahd kā nishān hogā.
14jab kabhī mere kahane par āsmān par bādal chhā jāeṅge aur qaus-e-quzah un meṅ se nazar āegī
15to maiṅ yah ahd yād karūṅgā jo tumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāth kiyā gayā hai. ab kabhī bhī aisā sailāb nahīṅ āegā jo tamām zindagī ko halāk kar de.
16qaus-e-quzah nazar āegī to maiṅ use dekh kar us dāimī ahd ko yād karūṅgā jo mere aur duniyā kī tamām jāndār maḵẖlūqāt ke darmiyān hai.
17yah us ahd kā nishān hai jo maiṅ ne duniyā ke tamām jāndāroṅ ke sāth kiyā hai.”