Mark5:21-43
Marqus 5
yāīr kī beṭī aur bīmār aurat
21īsā ne kashtī meṅ baiṭhe jhīl ko dubārā pār kiyā. jab dūsre kināre pahuṅchā to ek hujūm us ke gird jamā ho gayā. vah abhī jhīl ke pās hī thā
22ki maqāmī ibādatḵẖāne kā ek rāhanumā us ke pās āyā. us kā nām yāīr thā. īsā ko dekh kar vah us ke pāoṅ meṅ gir gayā
23aur bahut minnat karne lagā, “merī chhoṭī beṭī marne vālī hai, barāh-e-karam ā kar us par apne hāth rakheṅ tāki vah shifā pā kar zindā rahe.”
24chunāṅche īsā us ke sāth chal paṛā. ek baṛī bhīṛ us ke pīchhe lag gaī aur log use gher kar har taraf se dabāne lage.
25hujūm meṅ ek aurat thī jo bārah sāl se ḵẖūn bahane ke marz se rihāī na pā sakī thī.
26bahut ḍākṭaroṅ se apnā ilāj karvā karvā kar use kaī tarah kī musībat jhelnī paṛī thī aur itne meṅ us ke tamām paise bhī ḵẖarch ho gae the. to bhī koī fāidā na huā thā balki us kī hālat mazīd ḵẖarāb hotī gaī.
27īsā ke bāre meṅ sun kar vah bhīṛ meṅ shāmil ho gaī thī. ab pīchhe se ā kar us ne us ke libās ko chhuā,
28kyūṅki us ne sochā, “agar maiṅ sirf us ke libās ko hī chhū lūṅ to maiṅ shifā pā lūṅgī.”
29ḵẖūn bahanā fauran band ho gayā aur us ne apne jism meṅ mahsūs kiyā ki mujhe is aziyatanāk hālat se rihāī mil gaī hai.
30lekin usī lamhe īsā ko ḵẖud mahsūs huā ki mujh meṅ se tavānāī niklī hai. us ne muṛ kar pūchhā, “kis ne mere kapṛoṅ ko chhuā hai?”
31us ke shāgirdoṅ ne javāb diyā, “āp ḵẖud dekh rahe haiṅ ki hujūm āp ko gher kar dabā rahā hai. to phir āp kis tarah pūchh sakte haiṅ ki kis ne mujhe chhuā?”
32lekin īsā apne chāroṅ taraf dekhtā rahā ki kis ne yah kiyā hai.
33is par vah aurat yah jān kar ki mere sāth kyā huā hai ḵẖauf ke māre laraztī huī us ke pās āī. vah us ke sāmne gir paṛī aur use pūrī haqīqat khol kar bayān kī.
34īsā ne us se kahā, “beṭī, tere īmān ne tujhe bachā liyā hai. salāmatī se jā aur apnī aziyatanāk hālat se bachī rah.”
35īsā ne yah bāt abhī ḵẖatm nahīṅ kī thī ki ibādatḵẖāne ke rāhanumā yāīr ke ghar kī taraf se kuchh log pahuṅche aur kahā, “āp kī beṭī faut ho chukī hai, ab ustād ko mazīd taklīf dene kī kyā zarūrat?”
36un kī yah bāt nazar’andāz karke īsā ne yāīr se kahā, “mat ghabrāo, faqat īmān rakho.”
37phir īsā ne hujūm ko rok liyā aur sirf patras, yāqūb aur us ke bhāī yūhannā ko apne sāth jāne kī ijāzat dī.
38jab ibādatḵẖāne ke rāhanumā ke ghar pahuṅche to vahāṅ baṛī afrā-tafrī nazar āī. log ḵẖūb giryā-o-zārī kar rahe the.
39undar jā kar īsā ne un se kahā, “yah kaisā shor-sharābā hai? kyūṅ ro rahe ho? laṛkī mar nahīṅ gaī balki so rahī hai.”
40log haṅs kar us kā mazāq uṛāne lage. lekin us ne sab ko bāhar nikāl diyā. phir sirf laṛkī ke vālidain aur apne tīn shāgirdoṅ ko sāth le kar vah us kamre meṅ dāḵẖil huā jis meṅ laṛkī paṛī thī.
41us ne us kā hāth pakaṛ kar kahā, “talithā qūm!” is kā matlab hai, “chhoṭī laṛkī, maiṅ tujhe hukm detā hūṅ ki jāg uṭh!”
42laṛkī fauran uṭh kar chalne phirne lagī. us kī umr bārah sāl thī. yah dekh kar log ghabrā kar hairān rah gae.
43īsā ne unheṅ sanjīdgī se samjhāyā ki vah kisī ko bhī is ke bāre meṅ na batāeṅ. phir us ne unheṅ kahā ki use khāne ko kuchh do.