1 Tavārīḵẖ 10
sāūl aur aps ke beṭoṅ kī maut
1jilbūa ke pahāṛī silsile par filistiyoṅ aur isrāīliyoṅ ke darmiyān jaṅg chhiṛ gaī. laṛte laṛte isrāīlī farār hone lage, lekin bahut log vahīṅ shahīd ho gae.
2phir filistī sāūl aur us ke beṭoṅ yūntan, abīndāb aur malkīshūa ke pās jā pahuṅche. tīnoṅ beṭe halāk ho gae, 3jabki laṛāī sāūl ke ird-gird urūj tak pahuṅch gaī. phir vah tīr’andāzoṅ kā nishānā ban kar zaḵẖmī ho gayā. 4us ne apne silāhabardār ko hukm diyā, “apnī talvār miyān se khaiṅch kar mujhe mār ḍāl! varnā yah nāmaḵẖtūn mujhe beizzat kareṅge.” lekin silāhabardār ne inkār kiyā, kyūṅki vah bahut ḍarā huā thā. āḵẖir meṅ sāūl apnī talvār le kar ḵẖud us par gir gayā.
5jab silāhabardār ne dekhā ki merā mālik mar gayā hai to vah bhī apnī talvār par gir kar mar gayā. 6yūṅ us din sāūl, us ke tīn beṭe aur us kā tamām gharānā halāk ho gae. 7jab maidān-e-yazrael ke isrāīliyoṅ ko ḵẖabar milī ki isrāīlī fauj bhāg gaī aur sāūl apne beṭoṅ samet mārā gayā hai to vah apne shaharoṅ ko chhoṛ kar bhāg nikle, aur filistī chhoṛe hue shaharoṅ par qabzā karke un meṅ basne lage.
8agle din filistī lāshoṅ ko lūṭne ke liye dubārā maidān-e-jaṅg meṅ ā gae. jab unheṅ jilbūa ke pahāṛī silsile par sāūl aur us ke tīnoṅ beṭe murdā mile 9to unhoṅ ne sāūl kā sar kāṭ kar us kā zirābaktar utār liyā aur qāsidoṅ ko apne pūre mulk meṅ bhej kar apne butoṅ aur apnī qaum ko fatah kī ittilā dī. 10sāūl kā zirābaktar unhoṅ ne apne devtāoṅ ke mandir meṅ mahfūz kar liyā aur us ke sar ko dajūn devtā ke mandir meṅ laṭkā diyā.
11jab yabīs-jiliād ke bāshindoṅ ko ḵẖabar milī ki filistiyoṅ ne sāūl kī lāsh ke sāth kyā kuchh kiyā hai 12to shahar ke tamām laṛne ke qābil ādmī bait-shān ke liye ravānā hue. vahāṅ pahuṅch kar vah sāūl aur us ke beṭoṅ kī lāshoṅ ko utār kar yabīs le gae jahāṅ unhoṅ ne un kī haḍḍiyoṅ ko yabīs ke baṛe daraḵẖt ke sāy meṅ dafnāyā. unhoṅ ne rozā rakh kar pūre hafte tak un kā mātam kiyā.
13sāūl ko is liye mārā gayā ki vah rabb kā vafādār na rahā. us ne us kī hidāyāt par amal na kiyā, yahāṅ tak ki us ne murdoṅ kī rūh se rābitā karne vālī jādūgaranī se mashvrā kiyā, 14hālāṅki use rabb se darayāft karnā chāhie thā. yahī vajah hai ki rabb ne use sazā-e-maut de kar saltanat ko dāūd bin yassī ke havāle kar diyā.