1 Tavārīḵẖ 13

dāūd ahd kā sandūq yarūshalam meṅ lānā chāhatā hai

1dāūd ne tamām afsaroṅ se mashvrā kiyā. un meṅ hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsar shāmil the. 2phir us ne isrāīl kī pūrī jamāat se kahā, “agar āp ko manzūr ho aur rabb hamāre ḵẖudā kī marzī ho to āeṅ ham pūre mulk ke isrāīlī bhāiyoṅ ko dāvat deṅ ki ā kar hamāre sāth jamā ho jāeṅ. vah imām aur lāvī bhī sharīk hoṅ jo apne apne shaharoṅ aur charāgāhoṅ meṅ baste haiṅ. 3phir ham apne ḵẖudā ke ahd kā sandūq dubārā apne pās vāpas lāeṅ, kyūṅki sāūl ke daur-e-hukūmat meṅ ham us kī fikr nahīṅ karte the.”

4pūrī jamāat muttafiq huī, kyūṅki yah mansūbā sab ko durust lagā. 5chunāṅche dāūd ne pūre isrāīl ko junūb meṅ misr ke saihūr se le kar shimāl meṅ labo-hamāt tak bulāyā tāki sab mil kar allāh ke ahd kā sandūq qiryat-yārīm se yarūshalam le jāeṅ. 6phir vah un ke sāth yahūdāh ke bālā yānī qiryat-yārīm gayā tāki rabb ḵẖudā kā sandūq uṭhā kar yarūshalam le jāeṅ, vahī sandūq jis par rabb ke nām kā ṭhappā lagā hai aur jahāṅ vah sandūq ke ūpar karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḵẖtnashīn hai. 7qiryat-yārīm pahuṅch kar logoṅ ne allāh ke sandūq ko abīndāb ke ghar se nikāl kar ek naī bailgāṛī par rakh diyā, aur uzzā aur akhiyo use yarūshalam kī taraf le jāne lage. 8dāūd aur tamām isrāīlī gāṛī ke pīchhe chal paṛe. sab allāh ke huzūr pūre zor se ḵẖushī manāne lage. jūnīpar kī lakṛī ke muḵẖtalif sāz bhī bajāe jā rahe the. fizā sitāroṅ, sarodoṅ, dafoṅ, jhāṅjhoṅ aur turmoṅ kī āvāzoṅ se gūṅj uṭhī.

9vah gandum gāhane kī ek jagah par pahuṅch gae jis ke mālik kā nām kaidūn thā. vahāṅ bail achānak bekābū ho gae. uzzā ne jaldī se ahd kā sandūq pakaṛ liyā tāki vah gir na jāe. 10usī lamhe rabb kā ġazab us par nāzil huā, kyūṅki us ne ahd ke sandūq ko chhūne kī jur’at kī thī. vahīṅ allāh ke huzūr uzzā gir kar halāk huā. 11dāūd ko baṛā raṅj huā ki rabb kā ġazab uzzā par yūṅ ṭūṭ paṛā hai. us vaqt se us jagah kā nām paraz-uzzā yānī ‘uzzā par ṭūṭ paṛnā’ hai.

12us din dāūd ko allāh se ḵẖauf āyā. us ne sochā, “maiṅ kis tarah allāh kā sandūq apne pās pahuṅchā sakūṅgā?” 13chunāṅche us ne faislā kiyā ki ham ahad kā sandūq yarūshalam nahīṅ le jāeṅge balki use obed-adom jātī ke ghar meṅ mahfūz rakheṅge. 14vahāṅ vah tīn māh tak paṛā rahā. in tīn mahīnoṅ ke daurān rabb ne obed-adom ke gharāne aur us kī pūrī milkiyat ko barkat dī.