1 Tavārīḵẖ 14
dāūd kī taraqqī
1ek din sūr ke bādshāh hīrām ne dāūd ke pās vafad bhejā. rāj aur baṛhaī bhī sāth the. un ke pās deodār kī lakṛī thī tāki dāūd ke liye mahal banāeṅ. 2yūṅ dāūd ne jān liyā ki rabb ne mujhe isrāīl kā bādshāh banā kar merī bādshāhī apnī qaum isrāīl kī ḵẖātir bahut sarfarāz kar dī hai.
3yarūshalam meṅ jā basne ke bād dāūd ne mazīd bīviyoṅ se shādī kī. natīje meṅ yarūshalam meṅ us ke kaī beṭe-beṭiyāṅ paidā hue. 4jo beṭe vahāṅ paidā hue vah yah the : sammūa, sobāb, nātan, sulemān, 5ibhār, ilīsūa, ilfalat, 6naujā, nafaj, yafīa, 7ilīsmā, bāl-yadā aur ilīfalat.
filistiyoṅ par fatah
8jab filistiyoṅ ko ittilā milī ki dāūd ko masah karke isrāīl kā bādshāh banāyā gayā hai to unhoṅ ne apne faujiyoṅ ko isrāīl meṅ bhej diyā tāki use pakaṛ leṅ. jab dāūd ko patā chal gayā to vah un kā muqāblā karne ke liye gayā. 9jab filistī isrāīl meṅ pahuṅch kar vādī-e-rafāīm meṅ phail gae 10to dāūd ne rabb se darayāft kiyā, “kyā maiṅ filistiyoṅ par hamlā karūṅ? kyā tū mujhe un par fatah baḵẖshegā?” rabb ne javāb diyā, “hāṅ, un par hamlā kar! maiṅ unheṅ tere qabze meṅ kar dūṅgā.” 11chunāṅche dāūd apne faujiyoṅ ko le kar bāl-parāzīm gayā. vahāṅ us ne filistiyoṅ ko shikast dī. bād meṅ us ne gavāhī dī, “jitne zor se band ke ṭūṭ jāne par pānī us se phūṭ nikaltā hai utne zor se āj allāh mere vasīle se dushman kī safoṅ meṅ se phūṭ niklā hai.” chunāṅche us jagah kā nām bāl-parāzīm yānī ‘phūṭ nikalne kā mālik’ paṛ gayā. 12filistī apne devtāoṅ ko chhoṛ kar bhāg gae, aur dāūd ne unheṅ jalā dene kā hukm diyā.
13ek bār phir filistī ā kar vādī-e-rafāīm meṅ phail gae. 14is dafā jab dāūd ne allāh se darayāft kiyā to us ne javāb diyā, “is martabā un kā sāmnā mat karnā balki un ke pīchhe jā kar bakā ke daraḵẖtoṅ ke sāmne un par hamlā kar. 15jab un daraḵẖtoṅ kī choṭiyoṅ se qadmoṅ kī chāp sunāī de to ḵẖabardār! yah is kā ishārā hogā ki allāh ḵẖud tere āge āge chal kar filistiyoṅ ko mārne ke liye nikal āyā hai.” 16dāūd ne aisā hī kiyā aur natīje meṅ filistiyoṅ ko shikast de kar jibaūn se le kar jazar tak un kā tāqqub kiyā.
17dāūd kī shuharat tamām mamālik meṅ phail gaī. rabb ne tamām qaumoṅ ke diloṅ meṅ dāūd kā ḵẖauf ḍāl diyā.