1 Tavārīḵẖ 18
dāūd kī jaṅgeṅ
1phir aisā vaqt āyā ki dāūd ne filistiyoṅ ko shikast de kar unheṅ apne tābe kar liyā aur jāt shahar par gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet qabzā kar liyā.
2us ne moābiyoṅ par bhī fatah pāī, aur vah us ke tābe ho kar use ḵẖarāj dene lage.
3dāūd ne shimālī shām ke shahar zobāh ke bādshāh hadad’azar ko bhī hamāt ke qarīb harā diyā jab hadad’azar daryā-e-furāt par qābū pāne ke liye nikal āyā thā. 4dāūd ne 1,000 rathoṅ, 7,000 ghuṛasavāroṅ aur 20,000 piyādā sipāhiyoṅ ko giriftār kar liyā. rathoṅ ke 100 ghoṛoṅ ko us ne apne liye mahfūz rakhā jabki bāqiyoṅ kī us ne koṅcheṅ kāṭ dīṅ tāki vah āindā jaṅg ke liye istemāl na ho sakeṅ.
5jab damishq ke arāmī bāshinde zobāh ke bādshāh hadad’azar kī madad karne āe to dāūd ne un ke 22,000 afrād halāk kar die. 6phir us ne damishq ke ilāqe meṅ apnī faujī chaukiyāṅ qāim kīṅ. arāmī us ke tābe ho gae aur use ḵẖarāj dete rahe. jahāṅ bhī dāūd gayā vahāṅ rabb ne use kāmyābī baḵẖshī. 7sone kī jo ḍhāleṅ hadad’azar ke afsaroṅ ke pās thīṅ unheṅ dāūd yarūshalam le gayā. 8hadad’azar ke do shaharoṅ kūn aur tibḵẖat se us ne kasrat kā pītal chhīn liyā. bād meṅ sulemān ne yah pītal rabb ke ghar meṅ ‘samundar’ nāmī pītal kā hauz, satūn aur pītal kā muḵẖtalif sāmān banāne ke liye istemāl kiyā.
9jab hamāt ke bādshāh tūī ko ittilā milī ki dāūd ne zobāh ke bādshāh hadad’azar kī pūrī fauj par fatah pāī hai 10to us ne apne beṭe hadūrām ko dāūd ke pās bhejā tāki use salām kahe. hadūrām ne dāūd ko hadad’azar par fatah ke liye mubārakabād dī, kyūṅki hadad’azar tūī kā dushman thā, aur un ke darmiyān jaṅg rahī thī. hadūrām ne dāūd ko sone, chāṅdī aur pītal ke bahut se tuhfe bhī pesh kie. 11dāūd ne yah chīzeṅ rabb ke liye maḵẖsūs kar dīṅ. jahāṅ bhī vah dūsrī qaumoṅ par ġālib āyā vahāṅ kī sonā-chāṅdī us ne rabb ke liye maḵẖsūs kar diyā. yūṅ adom, moāb, ammon, philistiyā aur amālīq kī sonā-chāṅdī rabb ko pesh kī gaī.
12abīshai bin zarūyāh ne namak kī vādī meṅ adomiyoṅ par fatah pā kar 18,000 afrād halāk kar die. 13us ne adom ke pūre mulk meṅ apnī faujī chaukiyāṅ qāim kīṅ, aur tamām adomī dāūd ke tābe ho gae. dāūd jahāṅ bhī jātā rabb us kī madad karke use fatah baḵẖshtā.
dāūd ke ālā afsar
14jitnī der dāūd pūre isrāīl par hukūmat kartā rahā utnī der tak us ne dhyān diyā ki qaum ke har ek shaḵẖs ko insāf mil jāe. 15yoāb bin zarūyāh fauj par muqarrar thā. yahūsafat bin aḵẖīlūd bādshāh kā mushīr-e-ḵẖās thā. 16sadoq bin aḵẖītūb aur abīmlik bin abiyātar imām the. shaushā mīramunshī thā. 17bināyāh bin yahoyadā dāūd ke ḵẖās daste banām karetī aur faletī kā kaptān muqarrar thā. dāūd ke beṭe ālā afsar the.