1 Tavārīḵẖ 2

yāqūb yānī isrāīl ke beṭe

1isrāīl ke bārah beṭe rūbin, shamāūn, lāvī, yahūdāh, ishkār, zabūlūn, 2dān, yūsuf, binyamīn, naftālī, jad aur āshar the.

yahūdāh kā nasabnāmā

3yahūdāh kī shādī kan’ānī aurat se huī jo sūa kī beṭī thī. un ke tīn beṭe er, onān aur selā paidā hue. yahūdāh kā pahalauṭhā er rabb ke nazdīk sharīr thā, is liye us ne use marne diyā. 4yahūdāh ke mazīd do beṭe us kī bahū tamar se paidā hue. un ke nām fāras aur zārah the. yūṅ yahūdāh ke kul pāṅch beṭe the.

5fāras ke do beṭe hasron aur hamūl the.

6zārah ke pāṅch beṭe zimrī, aitān, haimān, kalkūl aur dārā the. 7karmī bin zimrī kā beṭā vahī akar yānī akan thā jis ne us lūṭe hue māl meṅ se kuchh liyā jo rabb ke liye maḵẖsūs thā. 8aitān ke beṭe kā nām azariyāh thā.

9hasron ke tīn beṭe yarahamiel, rām aur kalūbī yānī kālib the.

rām kī aulād

10rām ke hāṅ ammīnadāb aur ammīnadāb ke hāṅ yahūdāh ke qabīle ke sardār nahson paidā huā. 11nahson salmon kā aur salmon boaz kā bāp thā. 12boaz obed kā aur obed yassī kā bāp thā. 13baṛe se le kar chhoṭe tak yassī ke beṭe iliyāb, abīndāb, sim’ā, 14natanīel, raddī, 15ozam aur dāūd the. kul sāt bhāī the. 16un kī do bahaneṅ zarūyāh aur abījel thīṅ. zarūyāh ke tīn beṭe abīshai, yoāb aur asāhel the. 17abījel ke ek beṭā amāsā paidā huā. bāp yatar ismāīlī thā.

kālib kī aulād

18kālib bin hasron kī bīvī azūbā ke hāṅ beṭī banām yarīot paidā huī. yarīot ke beṭe yashar, sobāb aur ardūn the. 19azūbā ke vafāt pāne par kālib ne ifrāt se shādī kī. un ke beṭā hūr paidā huā. 20hūr ūrī kā aur ūrī bazalīel kā bāp thā.

2160 sāl kī umr meṅ kālib ke bāp hasron ne dubārā shādī kī. bīvī jiliād ke bāp makīr kī beṭī thī. is rishte se beṭā sajūb paidā huā. 22-23 sajūb kā beṭā vah yāīr thā jis kī jiliād ke ilāqe meṅ 23 bastiyāṅ banām ‘yāīr kī bastiyāṅ’ thīṅ. lekin bād meṅ jasūr aur shām ke faujiyoṅ ne un par qabzā kar liyā. us vaqt unheṅ qanāt bhī gird-o-navāh ke ilāqe samet hāsil huā. un dinoṅ meṅ kul 60 ābādiyāṅ un ke hāth meṅ ā gaīṅ. in ke tamām bāshinde jiliād ke bāp makīr kī aulād the. 24hasron jis kī bīvī abiyāh thī faut huā to kālib aur ifrātā ke hāṅ beṭā ashhūr paidā huā. bād meṅ ashhūr taqūa shahar kā bānī ban gayā.

yarahamiel kī aulād

25hasron ke pahalauṭhe yarahamiel ke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak rām, būnā, oran, ozam aur aḵẖiyāh the. 26yarahamiel kī dūsrī bīvī atārā kā ek beṭā onām thā.

27yarahamiel ke pahalauṭhe rām ke beṭe māz, yamīn aur ekar the. 28onām ke do beṭe sammī aur yadā the. sammī ke do beṭe nadab aur abīsūr the. 29abīsūr kī bīvī abīḵẖail ke do beṭe aḵẖbān aur molid paidā hue. 30nadab ke do beṭe silad aur affāim the. silad beaulād mar gayā, 31lekin affāim ke hāṅ beṭā yisaī paidā huā. yisaī sīsān kā aur sīsān aḵẖlī kā bāp thā. 32sammī ke bhāī yadā ke do beṭe yatar aur yūntan the. yatar beaulād mar gayā, 33lekin yūntan ke do beṭe falat aur zāzā paidā hue. sab yarahamiel kī aulād the. 34-35 sīsān ke beṭe nahīṅ the balki beṭiyāṅ. ek beṭī kī shādī us ne apne misrī ġulām yarḵẖā se karvāī. un ke beṭā attī paidā huā. 36attī ke hāṅ nātan paidā huā aur nātan ke zabad, 37zabad ke iflāl, iflāl ke obed, 38obed ke yāhū, yāhū ke azariyāh, 39azariyāh ke ḵẖalis, ḵẖalis ke iliāsā, 40iliāsā ke sismī, sismī ke sallūm, 41sallūm ke yaqamiyāh aur yaqamiyāh ke ilīsmā.

kālib kī aulād kā ek aur nasabnāmā

42zail meṅ yarahamiel ke bhāī kālib kī aulād hai : us kā pahalauṭhā mesā zīf kā bāp thā aur dūsrā beṭā maresā habrūn kā bāp. 43habrūn ke chār beṭe qorah, taffūah, raqam aur samā the. 44samā ke beṭe raḵẖam ke hāṅ yurqiām paidā huā. raqam sammī kā bāp thā, 45sammī maūn kā aur maūn bait-sūr kā.

46kālib kī dāshtā aifā ke beṭe hārān, mauzā aur jāziz paidā hue. hārān ke beṭe kā nām jāziz thā. 47yahdī ke beṭe rajam, yūtām, jesān, falat, aifā aur shāf the.

48kālib kī dūsrī dāshtā mākā ke beṭe shibar, tirhanā, 49shāf (madamannā kā bāp) aur sivā (makbenā aur jibiā kā bāp) paidā hue. kālib kī ek beṭī bhī thī jis kā nām aksā thā. 50sab kālib kī aulād the.

ifrātā ke pahalauṭhe hūr ke beṭe qiryat-yārīm kā bāp sobal, 51bait-laham kā bāp salmā aur bait-jādir kā bāp ḵẖārif the. 52qiryat-yārīm ke bāp sobal se yah gharāne nikle : harāī, mānahat kā ādhā hissā 53aur qiryat-yārīm ke ḵẖāndān uttarī, fūtī, sumātī aur misrāī. in se sur’ātī aur istālī nikle haiṅ.

54salmā se zail ke gharāne nikle : bait-laham ke bāshinde, natūfātī, atrāt-bait-yoāb, mānahat kā ādhā hissā, suraī 55aur yābīz meṅ ābād munshiyoṅ ke ḵẖāndān tir’ātī, sim’ātī aur sūkātī. yah sab qīnī the jo raikābiyoṅ ke bāp hammat se nikle the.