1 Tavārīḵẖ 20

rabbā shahar par fatah

1bahār kā mausam ā gayā, vah vaqt jab bādshāh jaṅg ke liye nikalte haiṅ. tab yoāb ne fauj le kar ammoniyoṅ kā mulk tabāh kar diyā. laṛte laṛte vah rabbā tak pahuṅch gayā aur us kā muhāsarā karne lagā. lekin dāūd ḵẖud yarūshalam meṅ rahā. phir yoāb ne rabbā ko bhī shikast de kar ḵẖāk meṅ milā diyā. 2dāūd ne hanūn bādshāh kā tāj us ke sar se utār kar apne sar par rakh liyā. sone ke is tāj kā vazan 34 kilogrām thā, aur us meṅ ek beshaqīmat jauhar jaṛā huā thā. dāūd ne shahar se bahut sā lūṭā huā māl le kar 3us ke bāshindoṅ ko ġulām banā liyā. unheṅ patthar kāṭne kī āriyāṅ, lohe kī kudāleṅ aur kulhāṛiyāṅ dī gaīṅ tāki vah mazdūrī kareṅ. yahī sulūk bāqī ammonī shaharoṅ ke bāshindoṅ ke sāth bhī kiyā gayā. jaṅg ke iḵẖtitām par dāūd pūrī fauj ke sāth yarūshalam lauṭ āyā.

filistiyoṅ se jaṅg

4is ke bād isrāīliyoṅ ko jazar ke qarīb filistiyoṅ se laṛnā paṛā. vahāṅ sibbakī hūsātī ne rafā deo kī aulād meṅ se ek ādmī ko mār ḍālā jis kā nām saffī thā. yūṅ filistiyoṅ ko tābe kar liyā gayā. 5un se ek aur laṛāī ke daurān ilhanān bin yāīr ne jātī jālūt ke bhāī lahamī ko maut ke ghāṭ utār diyā. us kā nezā khaḍḍī ke shahatīr jaisā baṛā thā. 6ek aur dafā jāt ke pās laṛāī huī. filistiyoṅ kā ek faujī jo rafā kī nasal kā thā bahut lambā thā. us ke hāthoṅ aur pairoṅ kī chhah chhah uṅgaliyāṅ yānī mil kar 24 uṅgaliyāṅ thīṅ. 7jab vah isrāīliyoṅ kā mazāq uṛāne lagā to dāūd ke bhāī sim’ā ke beṭe yūntan ne use mār ḍālā. 8jāt ke yah deo rafā kī aulād the, aur vah dāūd aur us ke faujiyoṅ ke hāthoṅ halāk hue.