1 Tavārīḵẖ 24

ḵẖidmat ke liye imāmoṅ ke guroh

1hārūn kī aulād ko bhī muḵẖtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā. hārūn ke chār beṭe nadab, abīhū, ilīazar aur itmar the. 2nadab aur abīhū apne bāp se pahale mar gae, aur un ke beṭe nahīṅ the. ilīazar aur itmar imām ban gae. 3dāūd ne imāmoṅ ko ḵẖidmat ke muḵẖtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā. sadoq aur aḵẖīmlik ne is meṅ dāūd kī madad kī (sadoq ilīazar kī aulād meṅ se aur aḵẖīmlik itmar kī aulād meṅ se thā). 4ilīazar kī aulād ko 16 gurohoṅ meṅ aur itmar kī aulād ko 8 gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā, kyūṅki ilīazar kī aulād ke itne hī ziyādā ḵẖāndānī sarparast the. 5tamām zimmādāriyāṅ qur’ā ḍāl kar in muḵẖtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kī gaīṅ, kyūṅki ilīazar aur itmar donoṅ ḵẖāndānoṅ ke bahut sāre aise afsar the jo pahale se maqdis meṅ rabb kī ḵẖidmat karte the.

6yah zimmādāriyāṅ taqsīm karne ke liye ilīazar aur itmar kī aulād bārī bārī qur’ā ḍālte rahe. qur’ā ḍālte vaqt bādshāh, isrāīl ke buzurg, sadoq imām, aḵẖīmlik bin abiyātar aur imāmoṅ aur lāviyoṅ ke ḵẖāndānī sarparast hāzir the. mīramunshī samāyāh bin natanīel ne jo ḵẖud lāvī thā ḵẖidmat ke in gurohoṅ kī faharist zail kī tartīb se likh lī jis tarah vah qur’ā ḍālne se muqarrar kie gae,

71. yahūyarīb,

2. yadāyāh,

83. hārim,

4. saūrīm,

95. malkiyāh,

6. miyāmīn,

107. haqqūz,

8. abiyāh,

119. yashūa,

10. sakaniyāh,

1211. iliyāsib,

12. yaqīm,

1313. ḵẖuffāh,

14. yasbiāb,

1415. biljā,

16. immer,

1517. ḵẖazīr,

18. fizzīz,

1619. fatahiyāh,

20. yahizqel,

1721. yakīn,

22. jamūl,

1823. dilāyāh,

24. māziyāh.

19imāmoṅ ko isī tartīb ke mutābiq rabb ke ghar meṅ ā kar apnī ḵẖidmat sar’anjām denī thī, un hidāyāt ke mutābiq jo rabb isrāīl ke ḵẖudā ne unheṅ un ke bāp hārūn kī mārifat dī thīṅ.

ḵẖidmat ke liye lāviyoṅ ke mazīd guroh

20zail ke lāviyoṅ ke mazīd ḵẖāndānī sarparast haiṅ :

amrām kī aulād meṅ se sūbāel,

sūbāel kī aulād meṅ se yahadiyāh

21rahabiyāh kī aulād meṅ se yissiyāh sarparast thā,

22izhār kī aulād meṅ se salūmīt,

salūmīt kī aulād meṅ se yahat,

23habrūn kī aulād meṅ se baṛe se le kar chhoṭe tak yariyāh, amariyāh, yahazīel aur yaqamiām,

24uzzīel kī aulād meṅ se mīkāh,

mīkāh kī aulād meṅ se samīr,

25mīkāh kā bhāī yissiyāh,

yissiyāh kī aulād meṅ se zakariyāh,

26mirārī kī aulād meṅ se mahalī aur mūshī,

us ke beṭe yāziyāh kī aulād,

27mirārī ke beṭe yāziyāh kī aulād meṅ se sūham, zakkūr aur ibrī,

28-29 mahalī kī aulād meṅ se ilīazar aur qīs. ilīazar beaulād thā jabki qīs ke hāṅ yarahamiel paidā huā.

30mūshī kī aulād meṅ se mahalī, idar aur yarīmot bhī lāviyoṅ ke in mazīd ḵẖāndānī sarparastoṅ meṅ shāmil the.

31imāmoṅ kī tarah un kī zimmādāriyāṅ bhī qur’ā-andāzī se muqarrar kī gaīṅ. is silsile meṅ sab se chhoṭe bhāī ke ḵẖāndān ke sāth aur sab se baṛe bhāī ke ḵẖāndān ke sāth sulūk barābar thā. is kār-ravāī ke liye bhī dāūd bādshāh, sadoq, aḵẖīmlik aur imāmoṅ aur lāviyoṅ ke ḵẖāndānī sarparast hāzir the.