1 Tavārīḵẖ 25
rabb ke ghar meṅ mūsīqāroṅ ke guroh
1dāūd ne fauj ke ālā afsaroṅ ke sāth āsaf, haimān aur yadūtūn kī aulād ko ek ḵẖās ḵẖidmat ke liye alag kar diyā. unheṅ nubuvvat kī rūh meṅ sarod, sitār aur jhāṅjh bajānā thā. zail ke ādmiyoṅ ko muqarrar kiyā gayā :
2āsaf ke ḵẖāndān se āsaf ke beṭe zakkūr, yūsuf, nataniyāh aur asarelāh. un kā bāp guroh kā rāhanumā thā, aur vah bādshāh kī hidāyāt ke mutābiq nubuvvat kī rūh meṅ sāz bajātā thā.
3yadūtūn ke ḵẖāndān se yadūtūn ke beṭe jidaliyāh, zarī, yasāyāh, simaī, hasabiyāh, aur mattitiyāh. un kā bāp guroh kā rāhanumā thā, aur vah nubuvvat kī rūh meṅ rabb kī hamd-o-sanā karte hue sitār bajātā thā.
4haimān ke ḵẖāndān se haimān ke beṭe buqqiyāh, mattaniyāh, uzzīel, sabūel, yarīmot, hananiyāh, hanānī, iliyātā, jiddāltī, rūmamtī-azar, yasbiqāshā, mallūtī, hautīr aur mahāziyot. 5in sab kā bāp haimān dāūd bādshāh kā ġaibbīn thā. allāh ne haimān se vādā kiyā thā ki maiṅ terī tāqat baṛhā dūṅgā, is liye us ne use 14 beṭe aur tīn beṭiyāṅ atā kī thīṅ.
6yah sab apne apne bāp yānī āsaf, yadūtūn aur haimān kī rāhanumāī meṅ sāz bajāte the. jab kabhī rabb ke ghar meṅ gīt gāe jāte the to yah mūsīqār sāth sāth jhāṅjh, sitār aur sarod bajāte the. vah apnī ḵẖidmat bādshāh kī hidāyāt ke mutābiq sar’anjām dete the. 7apne bhāiyoṅ samet jo rabb kī tāzīm meṅ gīt gāte the un kī kul tādād 288 thī. sab ke sab māhir the. 8un kī muḵẖtalif zimmādāriyāṅ bhī kar’ā ke zarīe muqarrar kī gaīṅ. is meṅ sab ke sāth sulūk ek jaisā thā, ḵẖwāh javān the yā būṛhe, ḵẖwāh ustād the yā shāgird.
9qur’ā ḍāl kar 24 gurohoṅ ko muqarrar kiyā gayā. har guroh ke bārah bārah ādmī the. yūṅ zail ke ādmiyoṅ ke gurohoṅ ne tashkīl pāī :
1. āsaf ke ḵẖāndān kā yūsuf,
2. jidaliyāh,
103. zakkūr,
114. zarī,
125. nataniyāh,
136. buqqiyāh,
147. yasarelāh,
158. yasāyāh,
169. mattaniyāh,
1710. simaī,
1811. azrel,
1912. hasabiyāh,
2013. sūbāel,
2114. mattitiyāh,
2215. yarīmot,
2316. hananiyāh,
2417. yasbiqāshā,
2518. hanānī,
2619. mallūtī,
2720. iliyātā,
2821. hautīr,
2922. jiddāltī,
3023. mahāziyot,
3124. rūmamtī-azar.
har guroh meṅ rāhanumā ke beṭe aur kuchh rishtedār shāmil the.