1 Tavārīḵẖ 27

fauj ke guroh

1darj-e-zail un ḵẖāndānī sarparastoṅ, hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ aur sarkārī afsaroṅ kī faharist hai jo bādshāh ke mulāzim the.

fauj 12 gurohoṅ par mushtamil thī, aur har guroh ke 24,000 afrād the. har guroh kī ḍyūṭī sāl meṅ ek māh ke liye lagtī thī. 2jo afsar in gurohoṅ par muqarrar the vah yah the :

pahalā māh : yasūbiām bin zabdīel. 3vah fāras ke ḵẖāndān kā thā aur us guroh par muqarrar thā jis kī ḍyūṭī pahale mahīne ke liye lagtī thī.

4dūsrā māh : dodī aḵẖūhī. us ke guroh ke ālā afsar kā nām miqlot thā.

5tīsrā māh : yahoyadā imām kā beṭā bināyāh. 6yah dāūd ke behtarīn daste banām ‘tīs’ par muqarrar thā aur ḵẖud zabardast faujī thā. us ke guroh kā ālā afsar us kā beṭā ammīzabad thā.

7chauthā māh : yoāb kā bhāī asāhel. us kī maut ke bād asāhel kā beṭā zabadiyāh us kī jagah muqarrar huā.

8pāṅchvāṅ māh : samhūt izrāḵẖī.

9chhaṭā māh : īrā bin aqqīs taqūī.

10sātvāṅ māh : ḵẖalis falūnī ifrāīmī.

11āṭhvāṅ māh : zārah ke ḵẖāndān kā sibbakī hūsātī.

12navāṅ māh : binyamīn ke qabīle kā abīazar antotī.

13dasvāṅ māh : zārah ke ḵẖāndān kā maharī natūfātī.

14gyārahavāṅ māh : ifrāīm ke qabīle kā bināyāh fir’ātonī.

15bārahavāṅ māh : ġutanīel ke ḵẖāndān kā ḵẖaldī natūfātī.

qabīloṅ ke sarparast

16zail ke ādmī isrāīlī qabīloṅ ke sarparast the :

rūbin kā qabīlā : ilīazar bin zikrī.

shamāūn kā qabīlā : safatiyāh bin mākā.

17lāvī kā qabīlā : hasabiyāh bin qamūel. hārūn ke ḵẖāndān kā sarparast sadoq thā.

18yahūdāh kā qabīlā : dāūd kā bhāī ilīhū.

ishkār kā qabīlā : umrī bin mīkāel.

19zabūlūn kā qabīlā : ismāyāh bin abadiyāh.

naftālī kā qabīlā : yarīmot bin azrīel.

20ifrāīm kā qabīlā : hosea bin azaziyāh.

maġribī manassī kā qabīlā : yoel bin fidāyāh.

21mashriqī manassī kā qabīlā jo jiliād meṅ thā : yiddū bin zakariyāh.

binyamīn kā qabīlā : yāsīel bin abinair.

22dān kā qabīlā : azrel bin yarohām.

yah bārah log isrāīlī qabīloṅ ke sarbarāh the.

23jitne isrāīlī mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se kam thī unheṅ dāūd ne shumār nahīṅ kiyā, kyūṅki rabb ne us se vādā kiyā thā ki maiṅ isrāīliyoṅ ko āsmān par ke sitāroṅ jaisā beshumār banā dūṅgā. 24nīz, yoāb bin zarūyāh ne mardumashumārī ko shurū to kiyā lekin use iḵẖtitām tak nahīṅ pahuṅchāyā thā, kyūṅki allāh kā ġazab mardumashumārī ke bāis isrāīl par nāzil huā thā. natīje meṅ dāūd bādshāh kī tārīḵẖī kitāb meṅ isrāīliyoṅ kī kul tādād kabhī nahīṅ darj huī.

shāhī milkiyat ke iṅchārj

25azmāvat bin adīel yarūshalam ke shāhī godāmoṅ kā iṅchārj thā.

jo godām dehī ilāqe, bāqī shaharoṅ, gāoṅ aur qilaoṅ meṅ the un ko yūntan bin uzziyāh saṁbhāltā thā.

26azrī bin kalūb shāhī zamīnoṅ kī kāshtkārī karne vāloṅ par muqarrar thā.

27simaī rāmātī aṅgūr ke bāġoṅ kī nigrānī kartā jabki zabdī shifmī in bāġoṅ kī mai ke godāmoṅ kā iṅchārj thā.

28bāl-hanān jadīrī zaitūn aur anjīr-tūt ke un bāġoṅ par muqarrar thā jo maġrib ke nishebī pahāṛī ilāqe meṅ the. yūās zaitūn ke tel ke godāmoṅ kī nigrānī kartā thā.

29shārūn ke maidān meṅ charne vāle gāy-bail sitrī shārūnī ke zer-e-nigrānī the jabki sāfat bin adlī vādiyoṅ meṅ charne vāle gāy-bailoṅ ko saṁbhāltā thā. 30obil ismāīlī ūṅṭoṅ par muqarrar thā, yahadiyāh marūnotī gadhiyoṅ par 31aur yāzīz hājirī bheṛ-bakriyoṅ par.

yah sab shāhī milkiyat ke nigrān the.

bādshāh ke qarībī mushīr

32dāūd kā samajhdār aur ālim chachā yūntan bādshāh kā mushīr thā. yahīel bin hakmūnī bādshāh ke beṭoṅ kī tarbiyat ke liye zimmādār thā. 33aḵẖītufal dāūd kā mushīr jabki hūsī arkī dāūd kā dost thā. 34aḵẖītufal ke bād yahoyadā bin bināyāh aur abiyātar bādshāh ke mushīr ban gae. yoāb shāhī fauj kā kamāṅḍar thā.