1 Tavārīḵẖ 3

dāūd bādshāh kī aulād

1habrūn meṅ dāūd bādshāh ke darj-e-zail beṭe paidā hue :

pahalauṭhā amnon thā jis kī māṅ aḵẖīnūam yazraelī thī. dūsrā dānyāl thā jis kī māṅ abījel karmilī thī. 2tīsrā abīslūm thā. us kī māṅ mākā thī jo jasūr ke bādshāh talmī kī beṭī thī. chauthā adūniyāh thā jis kī māṅ hajjīt thī. 3pāṅchvāṅ safatiyāh thā jis kī māṅ abītāl thī. chhaṭā itriām thā jis kī māṅ ijlā thī. 4dāūd ke yah chhah beṭe un sāḍhe sāt sāloṅ ke daurān paidā hue jab habrūn us kā dār-ul-hakūmat thā.

is ke bād vah yarūshalam meṅ muntaqil huā aur vahāṅ mazīd 33 sāl hukūmat kartā rahā. 5us daurān us kī bīvī bat-sabā bint ammīel ke chār beṭe sim’ā, sobāb, nātan aur sulemān paidā hue. 6mazīd beṭe bhī paidā hue, ibhār, ilīsūa, ilīfalat, 7naujā, nafaj, yafīa, 8ilīsmā, ilyadā aur ilīfalat. kul nau beṭe the. 9tamar un kī bahan thī. in ke ilāvā dāūd kī dāshtāoṅ ke beṭe bhī the.

10sulemān ke hāṅ rahubiām paidā huā, rahubiām ke abiyāh, abiyāh ke āsā, āsā ke yahūsafat, 11yahūsafat ke yahūrām, yahūrām ke aḵẖaziyāh, aḵẖaziyāh ke yūās, 12yūās ke amasiyāh, amasiyāh ke azariyāh yānī uzziyāh, uzziyāh ke yūtām, 13yūtām ke āḵẖaz, āḵẖaz ke hizaqiyāh, hizaqiyāh ke manassī, 14manassī ke amūn aur amūn ke yūsiyāh.

15yūsiyāh ke chār beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak yūhanān, yahūyaqīm, sidaqiyāh aur sallūm the.

16yahūyaqīm yahūyākīn [a] ibrānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai. kā aur yahūyākīn sidaqiyāh kā bāp thā. 17yahūyākīn [b] ibrānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai. ko bābal meṅ jilāvatan kar diyā gayā. us ke sāt beṭe siyāltīel, 18malakirām, fidāyāh, shenāzzar, yaqamiyāh, hūsmā aur nadabiyāh the. 19fidāyāh ke do beṭe zarubbābal aur simaī the.

zarubbābal ke do beṭe masullām aur hananiyāh the. ek beṭī banām salūmīt bhī paidā huī. 20bāqī pāṅch beṭoṅ ke nām hasūbā, ohal, barakiyāh, hasadiyāh aur yūsab-hasad the.

21hananiyāh ke do beṭe falatiyāh aur yasāyāh the. yasāyāh rifāyāh kā bāp thā, rifāyāh arnān kā, arnān abadiyāh kā aur abadiyāh sakaniyāh kā.

22sakaniyāh ke beṭe kā nām samāyāh thā. samāyāh ke chhah beṭe hattūsh, ijāl, barīh, na’ariyāh aur sāfat the. 23na’ariyāh ke tīn beṭe iliyūainī, hizaqiyāh aur azrīqām paidā hue.

24iliyūainī ke sāt beṭe hūdāviyāh, iliyāsib, filāyāh, aqqūb, yūhanān, dilāyāh aur anānī the.

[a] ibrānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai.
[b] ibrānī meṅ yahūyākīn kā mutrādif yakūniyāh mustāmal hai.