1 Tavārīḵẖ 5

rūbin kī aulād

1isrāīl kā pahalauṭhā rūbin thā. lekin chūṅki us ne apne bāp kī dāshtā se hambistar hone se bāp kī behuramtī kī thī is liye pahalauṭhe kā maurūsī haq us ke bhāī yūsuf ke beṭoṅ ko diyā gayā. isī vajah se nasbanāme meṅ rūbin ko pahalauṭhe kī haisiyat se bayān nahīṅ kiyā gayā. 2yahūdāh dīgar bhāiyoṅ kī nisbat ziyādā tāqatvar thā, aur us se qaum kā bādshāh niklā. to bhī yūsuf ko pahalauṭhe kā maurūsī haq hāsil thā.

3isrāīl ke pahalauṭhe rūbin ke chār beṭe hanūk, fallū, hasron aur karmī the.

4yoel ke hāṅ samāyāh paidā huā, samāyāh ke jūj, jūj ke simaī, 5simaī ke mīkāh, mīkāh ke riyāyāh, riyāyāh ke bāl aur 6bāl ke baīrā. baīrā ko asūr ke bādshāh tiglat-pilesar ne jilāvatan kar diyā. baīrā rūbin ke qabīle kā sarparast thā. 7un ke nasbanāme meṅ us ke bhāī un ke ḵẖāndānoṅ ke mutābiq darj kie gae haiṅ, sar-e-faharist yaīel, phir zakariyāh 8aur bālā bin azaz bin samā bin yoel.

rūbin kā qabīlā aroīr se le kar nabū aur bāl-maūn tak ke ilāqe meṅ ābād huā. 9mashriq kī taraf vah us registān ke kināre tak phail gae jo daryā-e-furāt se shurū hotā hai. kyūṅki jiliād meṅ un ke revṛoṅ kī tādād bahut baṛh gaī thī.

10sāūl ke ayyām meṅ unhoṅ ne hājiriyoṅ se laṛ kar unheṅ halāk kar diyā aur ḵẖud un kī ābādiyoṅ meṅ rahane lage. yūṅ jiliād ke mashriq kā pūrā ilāqā rūbin ke qabīle kī milkiyat meṅ ā gayā.

jad kī aulād

11jad kā qabīlā rūbin ke qabīle ke paṛosī mulk basan meṅ salkā tak ābād thā. 12us kā sarbarāh yoel thā, phir sāfam, yānī aur sāfat. vah sab basan meṅ ābād the. 13un ke bhāī un ke ḵẖāndānoṅ samet mīkāel, masullām, sabā, yūrī, yākān, zīa aur ibar the. 14yah sāt ādmī abīḵẖail bin hūrī bin yārūh bin jiliād bin mīkāel bin yasīsī bin yahdū bin būz ke beṭe the. 15aḵẖī bin abdīel bin jūnī in ḵẖāndānoṅ kā sarparast thā.

16jad kā qabīlā jiliād aur basan ke ilāqoṅ kī ābādiyoṅ meṅ ābād thā. shārūn se le kar sarhadd tak kī pūrī charāgāheṅ bhī un ke qabze meṅ thīṅ. 17yah tamām ḵẖāndān yahūdāh ke bādshāh yūtām aur isrāīl ke bādshāh yarubiām ke zamāne meṅ nasbanāme meṅ darj kie gae.

daryā-e-yardan ke mashriq meṅ qabīloṅ kī jaṅg

18rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ke 44,760 faujī the. sab laṛne ke qābil aur tajaribākār ādmī the, aise log jo tīr chalā sakte aur ḍhāl aur talvār se les the. 19unhoṅ ne hājiriyoṅ, yatūr, nafīs aur nodab se jaṅg kī. 20laṛte vaqt unhoṅ ne allāh se madad ke liye faryād kī, to us ne un kī sun kar hājiriyoṅ ko un ke ittihādiyoṅ samet un ke havāle kar diyā. 21unhoṅ ne un se bahut kuchh lūṭ liyā : 50,000 ūṅṭ, 2,50,000 bheṛ-bakriyāṅ aur 2,000 gadhe. sāth sāth unhoṅ ne 1,00,000 logoṅ ko qaid bhī kar liyā. 22maidān-e-jaṅg meṅ beshumār dushman māre gae, kyūṅki jaṅg allāh kī thī. jab tak isrāīliyoṅ ko asūr meṅ jilāvatan na kar diyā gayā vah is ilāqe meṅ ābād rahe.

manassī kā ādhā qabīlā

23manassī kā ādhā qabīlā bahut baṛā thā. us ke log basan se le kar bāl-harmūn aur sanīr yānī harmūn ke pahāṛī silsile tak phail gae. 24un ke ḵẖāndānī sarparast ifar, yisaī, ilīel, azrīel, yaramiyāh, hūdāviyāh aur yahdīel the. sab māhir faujī, mashhūr ādmī aur ḵẖāndānī sarbarāh the.

mashriqī qabīloṅ kī jilāvatanī

25lekin yah mashriqī qabīle apne bāpdādā ke ḵẖudā se bevafā ho gae. vah zinā karke mulk ke un aqvām ke devtāoṅ ke pīchhe lag gae jin ko allāh ne un ke āge se miṭā diyā thā. 26yah dekh kar isrāīl ke ḵẖudā ne asūr ke bādshāh tiglat-pilesar ko un ke ḵẖilāf barpā kiyā jis ne rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ko jilāvatan kar diyā. vah unheṅ ḵẖalah, daryā-e-ḵẖābūr, hārā aur daryā-e-jauzān ko le gayā jahāṅ vah āj tak ābād haiṅ.