1 Tavārīḵẖ 6
imām-e-āzam kī nasal (lāvī kā qabīlā)
1lāvī ke beṭe jairson, qihāt aur mirārī the. 2qihāt ke beṭe amrām, izhār , habrūn aur uzzīel the.
3amrām ke beṭe hārūn aur mūsā the. beṭī kā nām mariyam thā. hārūn ke beṭe nadab, abīhū, ilīazar aur itmar the.
4ilīazar ke hāṅ fīnhās paidā huā, fīnhās ke abīsūa, 5abīsūa ke buqqī, buqqī ke uzzī, 6uzzī ke zaraḵẖiyāh, zaraḵẖiyāh ke mirāyot, 7mirāyot ke amariyāh, amariyāh ke aḵẖītūb, 8aḵẖītūb ke sadoq, sadoq ke aḵẖīmāz, 9aḵẖīmāz ke azariyāh, azariyāh ke yūhanān 10aur yūhanān ke azariyāh. yahī azariyāh rabb ke us ghar kā pahalā imām-e-āzam thā jo sulemān ne yarūshalam meṅ banvāyā thā. 11us ke hāṅ amariyāh paidā huā, amariyāh ke aḵẖītūb, 12aḵẖītūb ke sadoq, sadoq ke sallūm, 13sallūm ke ḵẖilaqiyāh, ḵẖilaqiyāh ke azariyāh, 14azariyāh ke sirāyāh aur sirāyāh ke yahūsadaq. 15jab rabb ne nabūkadnazzar ke hāth se yarūshalam aur pūre yahūdāh ke bāshindoṅ ko jilāvatan kar diyā to yahūsadaq bhī un meṅ shāmil thā.
lāvī kī aulād
16lāvī ke tīn beṭe jairsom, qihāt aur mirārī the. 17jairsom ke do beṭe libnī aur simaī the. 18qihāt ke chār beṭe amrām, izhār , habrūn aur uzzīel the. 19mirārī ke do beṭe mahalī aur mūshī the.
zail meṅ lāvī ke ḵẖāndānoṅ kī faharist un ke bāniyoṅ ke mutābiq darj hai.
20jairsom ke hāṅ libnī paidā huā, libnī ke yahat, yahat ke zimmā, 21zimmā ke yūāḵẖ, yūāḵẖ ke iddū, iddū ke zārah aur zārah ke yatrī.
22qihāt ke hāṅ ammīnadāb paidā huā, ammīnadāb ke qorah, qorah ke assīr, 23assīr ke ilqānā, ilqānā ke abiyāsaf, abiyāsaf ke assīr, 24assīr ke tahat, tahat ke ūrīel, ūrīel ke uzziyāh aur uzziyāh ke sāūl. 25ilqānā ke beṭe amāsī, aḵẖīmot 26aur ilqānā the. ilqānā ke hāṅ zūfī paidā huā, zūfī ke nahat, 27nahat ke iliyāb, iliyāb ke yarohām, yarohām ke ilqānā aur ilqānā ke samūel. 28samūel kā pahalā beṭā yoel aur dūsrā abiyāh thā.
29mirārī ke hāṅ mahalī paidā huā, mahalī ke libnī, libnī ke simaī, simaī ke uzzā, 30uzzā ke sim’ā, sim’ā ke hajjiyāh aur hajyāh ke asāyāh.
lāvī kī zimmādāriyāṅ
31jab ahd kā sandūq yarūshalam meṅ lāyā gayā tāki āindā vahāṅ rahe to dāūd bādshāh ne kuchh lāviyoṅ ko rabb ke ghar meṅ gīt gāne kī zimmādārī dī. 32is se pahale ki sulemān ne rabb kā ghar banvāyā yah log apnī ḵẖidmat mulāqāt ke ḵẖaime ke sāmne sar’anjām dete the. vah sab kuchh muqarrarā hidāyāt ke mutābiq adā karte the. 33zail meṅ un ke nām un ke beṭoṅ ke nāmoṅ samet darj haiṅ.
qihāt ke ḵẖāndān kā haimān pahalā gulūkār thā. us kā pūrā nām yah thā : haimān bin yoel bin samūel 34bin ilqānā bin yarohām bin ilīel bin tūḵẖ 35bin sūf bin ilqānā bin mahat bin amāsī 36bin ilqānā bin yoel bin azariyāh bin safaniyāh 37bin tahat bin assīr bin abiyāsaf bin qorah 38bin izhār bin qihāt bin lāvī bin isrāīl.
39haimān ke dahane hāth āsaf khaṛā hotā thā. us kā pūrā nām yah thā : āsaf bin barakiyāh bin sim’ā 40bin mīkāel bin bāsiyāh bin malkiyāh 41bin atnī bin zārah bin adāyāh 42bin aitān bin zimmā bin simaī 43bin yahat bin jairsom bin lāvī.
44haimān ke bāeṅ hāth aitān khaṛā hotā thā. vah mirārī ke ḵẖāndān kā fard thā. us kā pūrā nām yah thā : aitān bin qīsī bin abdī bin mallūk 45bin hasabiyāh bin amasiyāh bin ḵẖilaqiyāh 46bin amsī bin bānī bin samar 47bin mahalī bin mūshī bin mirārī bin lāvī.
48dūsre lāviyoṅ ko allāh kī sukūnatgāh meṅ bāqīmāndā zimmādāriyāṅ dī gaī thīṅ.
49lekin sirf hārūn aur us kī aulād bhasm hone vālī qurbāniyāṅ pesh karte aur baḵẖūr kī qurbāngāh par baḵẖūr jalāte the. vahī muqaddastarīn kamre meṅ har ḵẖidmat sar’anjām dete the. isrāīl kā kaffārā denā un hī kī zimmādārī thī. vah sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq adā karte the jo allāh ke ḵẖādim mūsā ne unheṅ dī thīṅ.
50hārūn ke hāṅ ilīazar paidā huā, ilīazar ke fīnhās, fīnhās ke abīsūa, 51abīsūa ke buqqī, buqqī ke uzzī, uzzī ke zaraḵẖiyāh, 52zaraḵẖiyāh ke mirāyot, mirāyot ke amariyāh, amariyāh ke aḵẖītūb, 53aḵẖītūb ke sadoq, sadoq ke aḵẖīmāz.
lāviyoṅ kī ābādiyāṅ
54zail meṅ vah ābādiyāṅ aur charāgāheṅ darj haiṅ jo lāviyoṅ ko qur’ā ḍāl kar dī gaīṅ.
qur’ā ḍālte vaqt pahale hārūn ke beṭe qihāt kī aulād ko jagaheṅ mil gaīṅ. 55use yahūdāh ke qabīle se habrūn shahar us kī charāgāhoṅ samet mil gayā. 56lekin gird-o-navāh ke khet aur dīhāt kālib bin yafunnā ko die gae. 57habrūn un shaharoṅ meṅ shāmil thā jin meṅ har vah panāh le saktā thā jis ke hāthoṅ ġairirādī taur par koī halāk huā ho. habrūn ke ilāvā hārūn kī aulād ko zail ke maqām un kī charāgāhoṅ samet die gae : libnā, yattīr, istimūa, 58haulūn, dabīr, 59asan, aur bait-shams. 60binyamīn ke qabīle se unheṅ jibaūn, jibā, almat aur antot un kī charāgāhoṅ samet die gae. is tarah hārūn ke ḵẖāndān ko 13 shahar mil gae.
61qihāt ke bāqī ḵẖāndānoṅ ko manassī ke maġribī hisse ke das shahar mil gae.
62jairsom kī aulād ko ishkār, āshar, naftālī aur manassī ke qabīloṅ ke 13 shahar die gae. yah manassī kā vah ilāqā thā jo daryā-e-yardan ke mashriq meṅ mulk-e-basan meṅ thā.
63mirārī kī aulād ko rūbin, jad aur zabūlūn ke qabīloṅ ke 12 shahar mil gae.
64-65 yūṅ isrāīliyoṅ ne qur’ā ḍāl kar lāviyoṅ ko mazkūrā shahar de die. sab yahūdāh, shamāūn aur binyamīn ke qabāilī ilāqoṅ meṅ the.
66qihāt ke chand ek ḵẖāndānoṅ ko ifrāīm ke qabīle se shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 67in meṅ ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kā shahar sikam shāmil thā jis meṅ har vah panāh le saktā thā jis se koī ġairirādī taur par halāk huā hotā thā, phir jazar, 68yuqmiām, bait-haurūn, 69ayyālon aur jāt-rimmon. 70qihāt ke bāqī kuṁboṅ ko manassī ke maġribī hisse ke do shahar āner aur bal’ām un kī charāgāhoṅ samet mil gae.
71jairsom kī aulād ko zail ke shahar bhī un kī charāgāhoṅ samet mil gae : manassī ke mashriqī hisse se jaulān jo basan meṅ hai aur astārāt. 72ishkār ke qabīle se qādis, dābrat, 73rāmāt aur ānīm. 74āshar ke qabīle se misāl, abdon, 75huqūq aur rahob. 76aur naftālī ke qabīle se galīl kā qādis, hammūn aur qiryatāim.
77mirārī ke bāqī ḵẖāndānoṅ ko zail ke shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae : zabūlūn ke qabīle se rimmon aur tabūr. 78-79 rūbin ke qabīle se registān kā basar, yahaz, qadīmāt aur mifāt (yah shahar daryā-e-yardan ke mashriq meṅ yarīhū ke muqābil vāqe haiṅ). 80jad ke qabīle se jiliād kā rāmāt, mahanāim, 81hasbon aur yāzer.