1 Tavārīḵẖ 7

ishkār kī aulād

1ishkār ke chār beṭe tolā, fuvvā, yasūb aur simron the.

2tolā ke pāṅch beṭe uzzī, rifāyāh, yarīel, yahamī, ibsām aur samūel the. sab apne ḵẖāndānoṅ ke sarparast the. nasbanāme ke mutābiq dāūd ke zamāne meṅ tolā ke ḵẖāndān ke 22,600 afrād jaṅg karne ke qābil the.

3uzzī kā beṭā izraḵẖiyāh thā jo apne chār bhāiyoṅ mīkāel, abadiyāh, yoel aur yissiyāh ke sāth ḵẖāndānī sarparast thā. 4nasbanāme ke mutābiq un ke 36,000 afrād jaṅg karne ke qābil the. in kī tādād is liye ziyādā thī ki uzzī kī aulād ke bahut bāl-bacche the. 5ishkār ke qabīle ke ḵẖāndānoṅ ke kul 87,000 ādmī jaṅg karne ke qābil the. sab nasbanāme meṅ darj the.

binyamīn aur naftālī kī aulād

6binyamīn ke tīn beṭe bālā, bakar aur yadīael the. 7bālā ke pāṅch beṭe isbūn, uzzī, uzzīel, yarīmot aur īrī the. sab apne ḵẖāndānoṅ ke sarparast the. un ke nasbanāme ke mutābiq un ke 22,034 mard jaṅg karne ke qābil the.

8bakar ke 9 beṭe zamīrā, yūās, ilīazar, iliyūainī, umrī, yarīmot, abiyāh, antot aur almat the. 9un ke nasbanāme meṅ un ke sarparast aur 20,200 jaṅg karne ke qābil mard bayān kie gae haiṅ.

10bilhān bin yadīael ke sāt beṭe yaūs, binyamīn, ahūd, kan’ānā, zaitān, tarsīs aur aḵẖīsahar the. 11sab apne ḵẖāndānoṅ ke sarparast the. un ke 17,200 jaṅg karne ke qābil mard the.

12suffī aur huffī īr kī aur hushī aḵẖīr kī aulād the.

13naftālī ke chār beṭe yahasīel, jūnī, yisar aur sallūm the. sab bilhāh kī aulād the.

manassī kī aulād

14manassī kī arāmī dāshtā ke do beṭe asrīel aur jiliād kā bāp makīr paidā hue. 15makīr ne huffiyoṅ aur suffiyoṅ kī ek aurat se shādī kī. bahan kā nām mākā thā. makīr ke dūsre beṭe kā nām silāfihād thā jis ke hāṅ sirf beṭiyāṅ paidā huīṅ.

16makīr kī bīvī mākā ke mazīd do beṭe faras aur sharas paidā hue. sharas ke do beṭe aulām aur raqam the. 17aulām ke beṭe kā nām bidān thā. yahī jiliād bin makīr bin manassī kī aulād the.

18jiliād kī bahan mūlikat ke tīn beṭe ishhūd, abīazar aur mahalāh the. 19samīdā ke chār beṭe akhiyān, sikam, liqhī aur anīām the.

ifrāīm kī aulād

20ifrāīm ke hāṅ sūtalah paidā huā, sūtalah ke barad, barad ke tahat, tahat ke iliadā, iliadā ke tahat, 21tahat ke zabad aur zabad ke sūtalah.

ifrāīm ke mazīd do beṭe azar aur iliad the. yah do mard ek din jāt gae tāki vahāṅ ke revaṛ lūṭ leṅ. lekin maqāmī logoṅ ne unheṅ pakaṛ kar mār ḍālā. 22un kā bāp ifrāīm kāfī arse tak un kā mātam kartā rahā, aur us ke rishtedār us se milne āe tāki use tasallī deṅ. 23jab is ke bād us kī bīvī ke beṭā paidā huā to us ne us kā nām barīā yānī musībat rakhā, kyūṅki us vaqt ḵẖāndān musībat meṅ ā gayā thā. 24ifrāīm kī beṭī sairā ne bālāī aur nishebī bait-haurūn aur ūzzan-sairā ko banvāyā.

25ifrāīm ke mazīd do beṭe rafah aur rasaf the. rasaf ke hāṅ tilah paidā huā, tilah ke tahan, 26tahan ke lādān, lādān ke ammīhūd, ammīhūd ke ilīsmā, 27ilīsmā ke nūn, nūn ke yashūa.

28ifrāīm kī aulād ke ilāqe meṅ zail ke maqām shāmil the : bait-el gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet, mashriq meṅ nārān tak, maġrib meṅ jazar tak gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet, shimāl meṅ sikam aur ayyāh tak gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet. 29bait-shān, tānak, majiddo aur dor gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet manassī kī aulād kī milkiyat ban gae. in tamām maqāmoṅ meṅ yūsuf bin isrāīl kī aulād rahatī thī.

āshar kī aulād

30āshar ke chār beṭe yimnā, isvāh, isvī aur barīā the. un kī bahan sirah thī.

31barīā ke beṭe hibar aur birzāit kā bāp malkīel the.

32hibar ke tīn beṭe yaflīt, shūmīr aur ḵẖūtām the. un kī bahan sūa thī.

33yaflīt ke tīn beṭe fāsak, bimhāl aur asvāt the. 34shūmīr ke chār beṭe aḵẖī, rūhjā, hubbā aur arām the. 35us ke bhāī hīlam ke chār beṭe sūfah, imnā, salas aur amal the.

36sūfah ke 11 beṭe sūh, harnafar, sūāl, bairī, imrāh,

37basar, hūd, sammā, silsā, yitrān aur baīrā the.

38yatar ke tīn beṭe yafunnā, fisfāh aur arā the.

39ullā ke tīn beṭe araḵẖ, hannīel aur riziyāh the.

40āshar ke darj-e-bālā tamām afrād apne apne ḵẖāndānoṅ ke sarparast the. sab chīdā mard, māhir faujī aur sardāroṅ ke sarbarāh the. nasbanāme meṅ 26,000 jaṅg karne ke qābil mard darj haiṅ.