1 Tavārīḵẖ 8

binyamīn kī aulād

1binyamīn ke pāṅch beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak bālā, ashbel, aḵẖraḵẖ, 2nūhā aur rafā the.

3bālā ke beṭe addār, jīrā, abīhūd, 4abīsūa, nāmān, aḵẖūh, 5jīrā, safūfān aur hūrām the.

6-7 ahūd ke tīn beṭe nāmān, aḵẖiyāh aur jīrā the. yah un ḵẖāndānoṅ ke sarparast the jo pahale jibā meṅ rahate the lekin jinheṅ bād meṅ jilāvatan karke mānahat meṅ basāyā gayā. uzzā aur aḵẖīhūd kā bāp jīrā unheṅ vahāṅ le kar gayā thā.

8-9 saharaim apnī do bīviyoṅ hushīm aur bārā ko talāq de kar moāb chalā gayā. vahāṅ us kī bīvī hūdas ke sāt beṭe yūbāb, zibiyā, mesā, malkām, 10yaūz, sakiyāh aur mirmā paidā hue. sab bād meṅ apne ḵẖāndānoṅ ke sarparast ban gae. 11pahalī bīvī hushīm ke do beṭe abītūb aur ilfāl paidā hue.

12-14 ilfāl ke āṭh beṭe ibar, mish’ām, samad, barīā, samā, akhiyo, shāshaq aur yarīmot the. samad onū, lūd aur gird-o-navāh kī ābādiyoṅ kā bānī thā. barīā aur samā ayyālon ke bāshindoṅ ke sarbarāh the. un hī ne jāt ke bāshindoṅ ko nikāl diyā.

15-16 barīā ke beṭe zabadiyāh, arād, idar, mīkāel, isfāh aur yūḵẖā the.

17ilfāl ke mazīd beṭe zabadiyāh, masullām, hizqī, hibar, 18yismarī, yizliyāh aur yūbāb the.

19-21 simaī ke beṭe yaqīm, zikrī, zabdī, ilīainī, zillatī, ilīel, adāyāh, birāyāh aur simrāt the.

22-25 shāshaq ke beṭe isfān, ibar, ilīel, abdon, zikrī, hanān, hananiyāh, ailām, anatotiyāh, yafdiyāh aur fanūel the.

26-27 yarohām ke beṭe samsrī, shahāriyāh, ataliyāh, yārasiyāh, ilyās aur zikrī the. 28yah tamām ḵẖāndānī sarparast nasbanāme meṅ darj the aur yarūshalam meṅ rahate the.

jibaūn meṅ sāūl kā ḵẖāndān

29jibaūn kā bāp yaīel jibaūn meṅ rahatā thā. us kī bīvī kā nām mākā thā. 30baṛe se le kar chhoṭe tak un ke beṭe abdon, sūr, qīs, bāl, nadab, 31jadūr, akhiyo, zakar 32aur miqlot the. miqlot kā beṭā simāh thā. vah bhī apne rishtedāroṅ ke sāth yarūshalam meṅ rahate the.

33nair qīs kā bāp thā aur qīs sāūl kā. sāūl ke chār beṭe yūntan, malkīshūa, abīndāb aur ishbāl the.

34yūntan marībbāl kā bāp thā aur marībbāl mīkāh kā.

35mīkāh ke chār beṭe fītūn, malik, tārīa aur āḵẖaz the.

36āḵẖaz kā beṭā yahūaddā thā jis ke tīn beṭe almat, azmāvat aur zimrī the. zimrī ke hāṅ mauzā paidā huā, 37mauzā ke bin’ā, bin’ā ke rāfā, rāfā ke iliāsā aur iliāsā ke asīl.

38asīl ke chhah beṭe azrīqām, bokirū, ismāīl, s’ariyāh, abadiyāh aur hanān the. 39asīl ke bhāī īshaq ke tīn beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak aulām, yaūs aur ilīfalat the.

40aulām ke beṭe tajaribākār faujī the jo mahārat se tīr chalā sakte the. un ke bahut se beṭe aur pote the, kul 150 afrād. tamām mazkūrā ādmī un ke ḵẖāndānoṅ samet binyamīn kī aulād the.