1 Tavārīḵẖ 9
jilāvatanī ke bād yarūshalam ke bāshinde
1tamām isrāīl shāhān-e-isrāīl kī kitāb ke nasabanāmoṅ meṅ darj hai.
phir yahūdāh ke bāshindoṅ ko bevafāī ke bāis bābal meṅ jilāvatan kar diyā gayā. 2jo log pahale vāpas ā kar dubārā shaharoṅ meṅ apnī maurūsī zamīn par rahane lage vah imām, lāvī, rabb ke ghar ke ḵẖidmatgār aur bāqī chand ek isrāīlī the. 3yahūdāh, binyamīn, ifrāīm aur manassī ke qabīloṅ ke kuchh log yarūshalam meṅ jā base.
4yahūdāh ke qabīle ke darj-e-zail ḵẖāndānī sarparast vahāṅ ābād hue :
ūtī bin ammīhūd bin umrī bin imrī bin bānī. bānī fāras bin yahūdāh kī aulād meṅ se thā.
5sailā ke ḵẖāndān kā pahalauṭhā asāyāh aur us ke beṭe.
6zārah ke ḵẖāndān kā yaūel. yahūdāh ke in ḵẖāndānoṅ kī kul tādād 690 thī.
7-8 binyamīn ke qabīle ke darj-e-zail ḵẖāndānī sarparast yarūshalam meṅ ābād hue :
sallū bin masullām bin hūdāviyāh bin sanūāh.
ibaniyāh bin yarohām.
ailā bin uzzī bin miqrī.
masullām bin safatiyāh bin raūel bin ibaniyāh.
9nasbanāme ke mutābiq binyamīn ke in ḵẖāndānoṅ kī kul tādād 956 thī.
10jo imām jilāvatanī se vāpas ā kar yarūshalam meṅ ābād hue vah zail meṅ darj haiṅ :
yadāyāh, yahūyarīb, yakīn, 11allāh ke ghar kā iṅchārj azariyāh bin ḵẖilaqiyāh bin masullām bin sadoq bin mirāyot bin aḵẖītūb, 12adāyāh bin yarohām bin fashhūr bin malkiyāh aur māsī bin adīel bin yahzīrāh bin masullām bin masillimit bin immer. 13imāmoṅ ke in ḵẖāndānoṅ kī kul tādād 1,760 thī. un ke mard rabb ke ghar meṅ ḵẖidmat sar’anjām dene ke qābil the.
14jo lāvī jilāvatanī se vāpas ā kar yarūshalam meṅ ābād hue vah darj-e-zail haiṅ :
mirārī ke ḵẖāndān kā samāyāh bin hassūb bin azrīqām bin hasabiyāh, 15baqbaqqar, haras, jalāl, mattaniyāh bin mīkā bin zikrī bin āsaf, 16abadiyāh bin samāyāh bin jalāl bin yadūtūn aur barakiyāh bin āsā bin ilqānā. barakiyāh natūfātiyoṅ kī ābādiyoṅ kā rahane vālā thā.
17zail ke darbān bhī vāpas āe : sallūm, aqqūb, talmūn, aḵẖīmān aur un ke bhāī. sallūm un kā iṅchārj thā. 18āj tak us kā ḵẖāndān rabb ke ghar ke mashriq meṅ shāhī darvāze kī paharādārī kartā hai. yah darbān lāviyoṅ ke ḵẖaimoṅ ke afrād the. 19sallūm bin qore bin abiyāsaf bin qorah apne bhāiyoṅ ke sāth qorah ke ḵẖāndān kā thā. jis tarah un ke bāpdādā kī zimmādārī rabb kī ḵẖaimāgāh meṅ mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze kī paharādārī karnī thī usī tarah un kī zimmādārī maqdis ke darvāze kī paharādārī karnī thī. 20qadīm zamāne meṅ fīnhās bin ilīazar un par muqarrar thā, aur rabb us ke sāth thā. 21bād meṅ zakariyāh bin masalamiyāh mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze kā darbān thā.
22kul 212 mardoṅ ko darbān kī zimmādārī dī gaī thī. un ke nām un kī maqāmī jagahoṅ ke nasbanāme meṅ darj the. dāūd aur samūel ġaibbīn ne un ke bāpdādā ko yah zimmādārī dī thī. 23vah aur un kī aulād pahale rabb ke ghar yānī mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāzoṅ par paharādārī karte the. 24yah darbān rabb ke ghar ke chāroṅ taraf ke darvāzoṅ kī paharādārī karte the.
25lāvī ke aksar log yarūshalam meṅ nahīṅ rahate the balki bārī bārī ek hafte ke liye dīhāt se yarūshalam āte the tāki vahāṅ apnī ḵẖidmat sar’anjām deṅ. 26sirf darbānoṅ ke chār iṅchārj musalsal yarūshalam meṅ rahate the. yah chār lāvī allāh ke ghar ke kamroṅ aur ḵẖazānoṅ ko bhī saṁbhālte 27aur rāt ko bhī allāh ke ghar ke ird-gird guzārte the, kyūṅki un hī ko us kī hifāzat karnā aur subah ke vaqt us ke darvāzoṅ ko kholnā thā.
28bāz darbān ibādat kā sāmān saṁbhālte the. jab bhī use istemāl ke liye andar aur bād meṅ dubārā bāhar lāyā jātā to vah har chīz ko gin kar chaik karte the. 29bāz bāqī sāmān aur maqdis meṅ maujūd chīzoṅ ko saṁbhālte the. rabb ke ghar meṅ mustāmal bārīk maidā, mai, zaitūn kā tel, baḵẖūr aur balsān ke muḵẖtalif tel bhī in meṅ shāmil the. 30lekin balsān ke teloṅ ko tayyār karnā imāmoṅ kī zimmādārī thī. 31qorah ke ḵẖāndān kā lāvī mattitiyāh jo sallūm kā pahalauṭhā thā qurbānī ke liye mustāmal roṭī banāne kā intizām chalātā thā. 32qihāt ke ḵẖāndān ke bāz lāviyoṅ ke hāth meṅ vah roṭiyāṅ banāne kā intizām thā jo har hafte ke din ko rabb ke liye maḵẖsūs karke rabb ke ghar ke muqaddas kamre kī mez par rakhī jātī thīṅ.
33mūsīqār bhī lāvī the. un ke sarbarāh bāqī tamām ḵẖidmat meṅ hissā nahīṅ lete the, kyūṅki unheṅ har vaqt apnī hī ḵẖidmat sar’anjām dene ke liye tayyār rahanā paṛtā thā. is liye vah rabb ke ghar ke kamroṅ meṅ rahate the.
34lāviyoṅ ke yah tamām ḵẖāndānī sarparast nasbanāme meṅ darj the aur yarūshalam meṅ rahate the.
jibaūn meṅ sāūl ke ḵẖāndān
35jibaūn kā bāp yaīel jibaūn meṅ rahatā thā. us kī bīvī kā nām mākā thā. 36baṛe se le kar chhoṭe tak un ke beṭe abdon, sūr, qīs, bāl, nair, nadab, 37jadūr, akhiyo, zakariyāh aur miqlot the. 38miqlot kā beṭā simāh thā. vah bhī apne bhāiyoṅ ke muqābil yarūshalam meṅ rahate the.
39nair qīs kā bāp thā aur qīs sāūl kā. sāūl ke chār beṭe yūntan, malkīshūa, abīndāb aur ishbāl the.
40yūntan marībbāl kā bāp thā aur marībbāl mīkāh kā. 41mīkāh ke chār beṭe fītūn, malik, taharea aur āḵẖaz the. 42āḵẖaz kā beṭā yārā thā. yārā ke tīn beṭe almat, azmāvat aur zimrī the. zimrī ke hāṅ mauzā paidā huā, 43mauzā ke bin’ā, banā ke rifāyāh, rifāyāh ke iliāsā aur iliāsā ke asīl.
44asīl ke chhah beṭe azrīqām, bokirū, ismāīl, s’ariyāh, abadiyāh aur hanān the.