2 Tavārīḵẖ 11
rahubiām ko isrāīl se laṛne kī ijāzat nahīṅ miltī
1jab rahubiām yarūshalam pahuṅchā to us ne yahūdāh aur binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko isrāīl se jaṅg karne ke liye bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki rahubiām ke liye isrāīl par dubārā qābū pāeṅ. 2lekin ain us vaqt mard-e-ḵẖudā samāyāh ko rabb kī taraf se paiġām milā, 3“yahūdāh ke bādshāh rahubiām bin sulemān aur yahūdāh aur binyamīn ke tamām afrād ko ittilā de, 4‘rabb farmātā hai ki apne bhāiyoṅ se jaṅg mat karnā. har ek apne apne ghar vāpas chalā jāe, kyūṅki jo kuchh huā hai vah mere hukm par huā hai’.”
tab vah rabb kī sun kar yarubiām se laṛne se bāz āe.
rahubiām kī qil’ābandī
5rahubiām kā dār-ul-hakūmat yarūshalam rahā. yahūdāh meṅ us ne zail ke shaharoṅ kī qil’ābandī kī : 6bait-laham, aitām, taqūa, 7bait-sūr, sokā, adullām, 8jāt, maresā, zīf, 9adūrāīm, lakīs, azīqā, 10sur’ā, ayyālon aur habrūn. yahūdāh aur binyamīn ke in qil’āband shaharoṅ ko 11mazbūt karke rahubiām ne har shahar par afsar muqarrar kie. un meṅ us ne ḵẖurāk, zaitūn ke tel aur mai kā zaḵẖīrā kar liyā 12aur sāth sāth un meṅ ḍhāleṅ aur neze bhī rakhe. is tarah us ne unheṅ bahut mazbūt banā kar yahūdāh aur binyamīn par apnī hukūmat mahfūz kar lī.
imām aur lāvī yahūdāh meṅ muntaqil ho jāte haiṅ
13go imām aur lāvī tamām isrāīl meṅ bikhre rahate the to bhī unhoṅ ne rahubiām kā sāth diyā. 14apnī charāgāhoṅ aur milkiyat ko chhoṛ kar vah yahūdāh aur yarūshalam meṅ ābād hue, kyūṅki yarubiām aur us ke beṭoṅ ne unheṅ imām kī haisiyat se rabb kī ḵẖidmat karne se rok diyā thā. 15un kī jagah us ne apne zātī imām muqarrar kie jo ūṅchī jagahoṅ par ke mandiroṅ ko saṁbhālte hue bakre ke devtāoṅ aur bachhṛe ke butoṅ kī ḵẖidmat karte the. 16lāviyoṅ kī tarah tamām qabīloṅ ke bahut se aise log yahūdāh meṅ muntaqil hue jo pūre dil se rabb isrāīl ke ḵẖudā ke tālib rahe the. vah yarūshalam āe tāki rabb apne bāpdādā ke ḵẖudā ko qurbāniyāṅ pesh kar sakeṅ. 17yahūdāh kī saltanat ne aise logoṅ se taqviyat pāī. vah rahubiām bin sulemān ke liye tīn sāl tak mazbūtī kā sabab the, kyūṅki tīn sāl tak yahūdāh dāūd aur sulemān ke acchhe namūne par chaltā rahā.
rahubiām kā ḵẖāndān
18rahubiām kī shādī mahalat se huī jo yarīmot aur abīḵẖail kī beṭī thī. yarīmot dāūd kā beṭā aur abīḵẖail iliyāb bin yassī kī beṭī thī. 19mahalat ke tīn beṭe yaūs, samariyāh aur zaham paidā hue. 20bād meṅ rahubiām kī mākā bint abīslūm se shādī huī. is rishte se chār beṭe abiyāh, attī, zīzā aur salūmīt paidā hue. 21rahubiām kī 18 bīviyāṅ aur 60 dāshtāeṅ thīṅ. in ke kul 28 beṭe aur 60 beṭiyāṅ paidā huīṅ. lekin mākā bint abīslūm rahubiām ko sab se ziyādā piyārī thī. 22us ne mākā ke pahalauṭhe abiyāh ko us ke bhāiyoṅ kā sarbarāh banā diyā aur muqarrar kiyā ki yah beṭā mere bād bādshāh banegā. 23rahubiām ne apne beṭoṅ se baṛī samajhdārī ke sāth sulūk kiyā, kyūṅki us ne unheṅ alag alag karke yahūdāh aur binyamīn ke pūre qabāilī ilāqe aur tamām qil’āband shaharoṅ meṅ basā diyā. sāth sāth vah unheṅ kasrat kī ḵẖurāk aur bīviyāṅ muhayyā kartā rahā.