2 Tavārīḵẖ 12
misr kī yahūdāh par fatah
1jab rahubiām kī saltanat zor pakaṛ kar mazbūt ho gaī to us ne tamām isrāīl samet rabb kī sharīat ko tark kar diyā. 2un kī rabb se bevafāī kā natījā yah niklā ki rahubiām kī hukūmat ke pāṅchveṅ sāl meṅ misr ke bādshāh sīsaq ne yarūshalam par hamlā kiyā. 3us kī fauj bahut baṛī thī. 1,200 rathoṅ ke ilāvā 60,000 ghuṛsavār aur libiyā, sukkiyoṅ ke mulk aur ethopiyā ke beshumār piyādā sipāhī the. 4yake bād dīgre yahūdāh ke qil’āband shaharoṅ par qabzā karte karte misrī bādshāh yarūshalam tak pahuṅch gayā.
5tab samāyāh nabī rahubiām aur yahūdāh ke un buzurgoṅ ke pās āyā jinhoṅ ne sīsaq ke āge āge bhāg kar yarūshalam meṅ panāh lī thī. us ne un se kahā, “rabb farmātā hai, ‘tum ne mujhe tark kar diyā hai, is liye ab maiṅ tumheṅ tark karke sīsaq ke havāle kar dūṅgā’.” 6yah paiġām sun kar rahubiām aur yahūdāh ke buzurgoṅ ne baṛī inkisārī ke sāth taslīm kiyā ki rabb hī ādil hai. 7un kī yah ājizī dekh kar rabb ne samāyāh se kahā, “chūṅki unhoṅ ne baṛī ḵẖāksārī se apnā ġalat ravayyā taslīm kar liyā hai is liye maiṅ unheṅ tabāh nahīṅ karūṅgā balki jald hī unheṅ rihā karūṅgā. merā ġazab sīsaq ke zarīe yarūshalam par nāzil nahīṅ hogā. 8lekin vah is qaum ko zarūr apne tābe kar rakhegā. tab vah samajh leṅge ki merī ḵẖidmat karne aur dīgar mamālik ke bādshāhoṅ kī ḵẖidmat karne meṅ kyā farq hai.”
9misr ke bādshāh sīsaq ne yarūshalam par hamlā karte vaqt rabb ke ghar aur shāhī mahal ke tamām ḵẖazāne lūṭ liye. sone kī vah ḍhāleṅ bhī chhīn lī gaīṅ jo sulemān ne banvāī thīṅ. 10in kī jagah rahubiām ne pītal kī ḍhāleṅ banvāīṅ aur unheṅ un muhāfizoṅ ke afsaroṅ ke sapurd kiyā jo shāhī mahal ke darvāze kī paharādārī karte the. 11jab bhī bādshāh rabb ke ghar meṅ jātā tab muhāfiz yah ḍhāleṅ uṭhā kar sāth le jāte. is ke bād vah unheṅ paharedāroṅ ke kamre meṅ vāpas le jāte the.
12chūṅki rahubiām ne baṛī inkisārī se apnā ġalat ravayyā taslīm kiyā is liye rabb kā us par ġazab ṭhaṅḍā ho gayā, aur vah pūre taur par tabāh na huā. darahaqīqat yahūdāh meṅ ab tak kuchh na kuchh pāyā jātā thā jo acchhā thā.
rahubiām kī maut
13rahubiām kī saltanat ne dubārā taqviyat pāī, aur yarūshalam meṅ rah kar vah apnī hukūmat jārī rakh sakā. 41 sāl kī umr meṅ vah taḵẖtnashīn huā thā, aur vah 17 sāl bādshāh rahā. us kā dār-ul-hakūmat yarūshalam thā, vah shahar jise rabb ne tamām isrāīlī qabīloṅ meṅ se chun liyā tāki us meṅ apnā nām qāim kare. us kī māṅ nāmā ammonī thī. 14rahubiām ne acchhī zindagī na guzārī, kyūṅki vah pūre dil se rabb kā tālib na rahā thā.
15bāqī jo kuchh rahubiām kī hukūmat ke daurān shurū se le kar āḵẖir tak huā vah samāyāh nabī aur ġaibbīn iddū kī tārīḵẖī kitāb meṅ bayān hai. vahāṅ us ke nasbanāme kā zikr bhī hai. donoṅ bādshāhoṅ rahubiām aur yarubiām ke jīte jī un ke darmiyān jaṅg jārī rahī. 16jab rahubiām mar kar apne bāpdādā se jā milā to use yarūshalam ke us hisse meṅ dafnāyā gayā jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai. phir us kā beṭā abiyāh taḵẖtnashīn huā.